Best Eye Makeup Products in Hindi: Khubsurat Aankho Ke Liye
Aankhe hamare liye kitni mahatvapurn hai yeh baat ham sabhi jante hai. Isi ki madad se ham iss khubsurat duniya ko dekh sakte hai. Mahatvapurn hone ke sath sath yeh hamare sharir ka sabse khubsurat ang hai.
Waise to aankhe bahut sundar hoti hai kintu inhe aur bhi sunar dikhane ke liye ladkiya aur aurte kuch utpado ka istemal karti hai.
Kyoki yadi aapki aankhe acchi dikhegi to wah aapke vyaktitva ko aur bhi jyada nikhar degi. Ham sabhi ko accha dikhne ke liye makeup karne ki jarurat padti hai. Aankho ke acche makeup se aap logo ke bich khas lagengi.
Aap kai tarah se aankho ka makeup kar sakti hai jaise halka ya bold, aapke dress aur occasion ke anusaar jo aapko accha lage wese makeup ka chunav kar sakti hai. Bajar mai milne wale sabse acche utpad ke bare mai janne ke liye dekhe Best Eye Makeup Products in Hindi.
Best Eye Makeup Products: Kare Acche Utpad Ka Istemal
Maybelline Colossal Kajal
Kajal aankho ki khubsurati badane ke liye sabse mahtapuran hota hai. Ise lagane par aapki aankhe kali dikhegi sath hi aapke aankho par iska koi dushprabhav bhi nahi hoga. Maybelline colossal kajal aankho par aasani se nahi failta taaki aapka makeup kai ghanto tak barkarar reh sake. Yeh bahut jyada istemal kiye jane wala Beauty Product hai.
Eye Studio Master Precise Ink Pen Eyeliner
Pencil eyeliner mai bahut patli nib hoti hai jisse aap asani se laga sakte hai. Tatha pencil eyeliner unn logo ke liye bahut accha hai jo pehli bar eyeliner lagane ki shuruvaat kar rahe hai. Ise aap halke halke hatho se palko ke upar line bana sakte hai.
Yeh line aapki pasand ke anusaar patli ya moti bana sakte hai. Aajkal eyeliner mai kai saare colour bhi aa rahe hai aap chahe to apni dress ke sath match karta hua liner ka istemal kar sakte hai. Yadi aap liner lagane ka tarika chahte hai to dekhe How to Apply Eyeliner in Hindi.
Maybelline Colossal Volum’ Express Mascara
Mascara aapke palko ko Ghana banata hai isko lagane par aapki aankhe badi dikhai deti hai. Mascara lagane ke bad aapki aankhe jyada acchi dikhne lagti hai. Lekin mascara bhi ek acche brand ka istemal karna chahiye taaki aapke aankho par koi galat prabhav na pade.
Isliye Maybelline Mascara aapki aankho ke liye bahut accha hai. Jab aap isse lagaye 3 coats mai lagaye taaki palke acchi dikhai de.
Revlon Photoready Eye Primer + Brightener
Eye primer ko aankho ke upar lagate hai tatha isse eye shadow se pehle lagaya jata hai. Taaki eye shadow lagate samay aapki aankhon ke upar ka hissa smooth ho jaye aur eye shadow aankhon ke upar kaafi der tak tika rahe.
Revlon photoready Eye Primer ek tube mai aata hai aur ise kuch hi second mai lagaya ja sakta hai. Iske alwa isko lagane par aapki aankho ka texture bhi change hota hai. Revlon Eye Primer Review market mai kaafi accha hai.
The Nudes Wear Eyeshadow Palette
Eye Makeup ki yadi baat kare to eye shadow ke bina yeh adhura hai. The nudes wear eyeshadow palette sabse acche eyeshadow mai se ek hai. Yeh aapko bajar mai aasani se mil jayega tatha iss eye shadow ko primer lagane ke bad lagayene to aapki aankhe bahut acchi dikhai degi sath hi yeh aapki aankhon par pure 1 din tak tika rehta hai.
Iss shadow ka texture bahut hi halka aur soft hota hai. Aap chahe to ise halka ya glitter ke rup mai bhi laga sakte hai. Isse lagane ke baad sabki najre aap par hi tiki reh jayegi aur aap sabse aakarshit lagegi.
Eye Concealer – Maybelline Instant Age Rewind Eraser
Kai logo ke aankho ke niche kale ghere ho jate hai jiske karan unki khubsurati kam ho jati hai. Inn kale ghere ko ekdam se hatana mushkil hai aur kisi party ya function mai jane ke liye iske hatne ka intejar bhi nahi kiya ja sakta.
Parantu inhe Maybelline Instant Age Rewind Eraser concealer ki sahayata se chupaya ja sakta hai. Ise lagane se aapke kale ghere nahi dikhenge aur aapki aankhe chamakdar dikhai degi. Yadi aapko kale ghere hai to iska istemal jarur kare. Ise lagane ke liye halka hatho se dark circle par acche se laga le.
Upar aapne jana Best Eye Makeup Products in Hindi. Yeh sabhi utpad acchi company ke hai. Inke prayog se naa keval aap aakarshak dikhengi balki aapko kisi tarah ke nuksan ka bhi dar nahi rahega. Yadi aapki twacha sensitive hai to pehle inhe hatho par check kar le.