Janiye Simple aur Best Way to Detox Your Body

Kya aap hamesha susti ka anubhav karte hai? Kya achanak se aapke chehre par muhase aur twcha par fhunsiya nikal aati hai? kya aap apne pachan tantra me gadabdi mahsus kar rahe hai? Aise me aapke sharir ko Detox ki jarurat hai.

Ek swasth jindgi ka sabse bada raaz hai ki apne sharir se vishele tatvao ko nikala jaye. Isliye ab tak aap apne sharir ke saath jo bura karte hai, unhe sudhar le. To aaiye hum aapko batate hai Best Way To Detox Your Body, jinhe apnakar aap apne sharir me moujud hanikarak tatvao se chutkara pa sakte hai.

Detox Your Body

Janiye Foods That Detox Your Body

Artichokes, Asparagus, Avocados, Broccoli, Cabbage, Dandelions, Garlic, Ginger, Grapefruit, Green Tea, Kale, Lemongrass, Lemons, Olive Oil, Seaweed, Turmeric, Water, Watercress, Wheatgrass aadi.
Lekin Bahut se log Detox ke faydo ke bare me nahi jante hai. To chaliye pahle hum aapko batate hai ki, Detox Your Body ke kya fayde hai.

You may also like:- Essential Oil Benefits: Kuch Avashayak Tel ke Fayde

Benefits of Detoxing your Body

• Engery badate hai.
• Sharir ke hanikarak padarth ko bahar niklata hai.
• Weight loss karne me madadgar hota hai.
• Aapke body ka immune system badta hai.
• Apki skin Ke liye bahut faydemand hota hai.
• Apko better breath process deta hai.
• Swasth parivartan ko badava deta hai.
• Aapke dimag aur man ko shant rakhat hai.
• Majbut baal deta hai, tatha saath hi aapke baalo ki growth me mukhaye bhumika nibhata hai.
• Yeh aapko relaxation ka ahsaas karata hai. Jisse aaaka pura sharir relax ho jata hai.
• Yeh anti-aging hai jo ki aapko saalo tak javan banaye rakhta hai.

Best Way to Detox Your Body: Sharir se Dur kijiye Vishle Padarth

Anti-oxidant Ki Aadat Dale

• Anti-oxidant ka sabase aacha tarika yeh hai ki aap jayada se jayada fhal aur hari sabjiyo ka sevan kare.
• Isme liver enzymes sakiye hoga aur sharir me mojud nuksaandayak padarth ko bahar nikalne me madad milegi.

Herbal Tea Ka Prayog Kare

How To Detox Your Body ki baat kare to hum bol sakte hai ki, yeh herbal tea lena ek bahut accha tarika hai. Pachan tantra ki problem se nijat pane ke liye green tea ya chamomile tea ka sevan kare.
• Isse neend bhi aachi aayegi. Yeh chai sharir me rakt sanchar ko bhi badata hai, Jo sharir se vishele tatvao ko hatane me madadgar hota hai.

Kudh ko Anti- Oxidant Banaye

• Jayda se jayada lahsun aur ande khaye. Yeh sulfuric elements se bharpur hote hai.
• Yeh tatva gluthathyon namak anti-oxidant ke nirmand me sahayak hote hai. Yeh sharir me moujud rasayan aur anye bekar tatva dur ho jate hai.

Lemon Juice Piye

• Ek glass lemon juice peene se na sirf sharir shudh hota hai, balki isse sharir me alkali ki matra bhi badti hai.
• Yhe ek bahut accha delox drink hai, isliye taje lemone juice par jayada dhyan de.

Chini ka Sevan na Kare

• Agar aap apne sharir ke metabolism ko badana chahte hai, aur ise vishele tatvao se dur rakhana chahte hai, to chini ke sevan ki mtra kam kar de.
• Har tarah ke meethe se jaha tak ho sake dur rahe.

Detoxing Your Body, Sharir Se Toxins Ko Bhara ka Aasan Tarika

Halka Khana Khaye

• Lgatar halka aahar le aur kareeb ek mahine tak sharab se dur rahe.
• Is vidhi se na sirf aapki urja badegi balki isse aapke vajan ke saath-saath cholesterol aur blood sugar level ka istar bhi kam hoga.

Message Karvaye

• Apne sharir ki acche se massage karvaye. Isse pura blood circulation sahi hota hai.
• Saath hi malish karne se sharir me upsthit vishle padhart hamesha ke liye dur ho jate hai.

Jayada Pani Piye

• Pani ka jyada sevan karna ek Best Way To Detox Your Body hai.
• Har din kareeb 8 se 12 glass pani piye. Isse sharir me moujud kharab tatva mutr aur paseene ke dwara bahar nikal jayenge.

Har Din 45 Minutes Vyayam

• Apne din ki shuruvaat brisk walking, running, jogging aur cycling se kare.
• Isse sharir ke saath-saath dimag ko bhi laabh pahuchta hai.

Naak ki Kare Safaai

• Hum ek aise vatavarnd me rahte hai, jo dhul aur pradushan se bhare pade hai. Isse aapko allergy ho sakti hai.
• Isse bachne ke liye aapne naak ko niyamit roop se dhoye. Aisa karne par vayu pradusaka se chutakar milega aur neend bhi aachi aayegi.

Yog Kare

• Yog na sirf detoxify me help karta hai, balki isse dimag ko bhi fayda milta hai.
• Har subah aap kuch sadharan yog karke bhi apne sharir ke nuksaandayak tatvao se chutkara pa sakte hai.

How To Detox Your Body

Juice Piye

• Taje fhalo aur sabjiyo ke juice peene ki matra ko badaye.
• Juice ka sevan aapke liye har prakaar se faydemnad hota hai. Saath hi yeh aapke body se har prakaar ki bimariyo ko dur karta hai.

Aaram Bhi kare

• Alasya aur susti se chutkara pane ke liye jaruri hai ki aap pryapt matra me neend le.
• Is baat ko sunishchit kare ki aap har din 8 ghante ki neend le.

Exfoliate

• Apni twacha se vishele tatvao nikale ke liye skin exfoliate kare.
• Isse rakt snachar bhi behtar hoga. Jisse aapki skin naturally glow karegi.

Gahri Sans

• Gahri sans le, isse swasth behtar hone ke saath- saath pure sharir me oxygen ka bhi aacha snachar hota hai.
• Agar aap rojana suhah uthkar thodi der shanti se beth kar gahri sans lete hai to yeh ek Natural Way to Detox Your Body hai.

Kuch Aadato ko Chhodo

• Agar aap cigarette aur sharb ka aadhik sevan karte hai, to yeh aadat chhod de.
• Yaha tak ki thodi cigarette pine bhi sharir ke liye nuksaan dayak hota hai. Iske alawa agar aap sharb pite hai to ise jaha tak ho sake kam se kam piye.

Dheere- Dheere Khaye

• Khan adhere dheere khaye. Bhale hi isse jyada samay lage aur bhojan aachi tarah se chaba kar khaye.
• Dhere dheere khane se pachan ki problem se nijat milega aur aap apne bhojan ka anad bhi utha sakenge.

Microwave se Bache

• Khane ko microwave me rakhne se isme moujud protein ki sanrchna badal jati hai.
• Ise khane se sharir ko kafi nuksaan pahuchta hai.
• Itna hi nahi balki microwave se nikale vali radiant sharir ko kafi had tak nuksaan pahuchate
hai.

Beck kiya Huya Aahar na le

• Sikke huye aahar dekhne me bhale hi sundar lagte hai, par yeh food aapki sehat ke liye hanikarak hote hai.
• Isse sharir ke saath saath dimag aur nervous system par bhi bura asar padta hai.

Detox Your Body ke Bare me Janiye Is Video Ke Dawara

Upar aapne jana Best Way To Detox Your Body. To bas der kis baat ki aaj se hi in sab tariko ko apna kar apne sharir se vishele padartho ko bahar nikaliye aur hamesh ke liye swaath rahiye.

See more details of Detox Your Body from Food.

Loading...

You may also like...