Bhramari Pranayama in Hindi: Tanav Se Nijat Dilaye

Tanav aajkal ki jindagi ka hissa ban gaya hai aur isse na keval bade balki bacche bhi grast ho rahe hai. Chahe sabke tanav ka karan alag alag ho parantu tanav hone se har koi vyakti pareshan rehta hai. Aur iss tanav ka asar aapki jindagi par bhi padta hai.

Aap aapki jindagi se dar, chinta, irshya, manorog  aadi ko yadi dur karna chahte hai to niyamit pranayam ke abhyas se behatar kuch bhi nahi hai. Ise karne se aap mansik tanav ko dur kar vicharo ko kabu kar pate hai.

Bhrmari pranayama tanav se mukti pane ka sabse accha sadhan hai. Iss pranayam ko karne par aapke andar bhavre jasi gujan hogi, jiske karan ise humming bee breath bhi kaha jata hai. Iss asana ko aap kursi par baithkar ya sote samay bhi kar sakte hai. Aaiye vistar se jante hai Bhramari Pranayama in Hindi.
 

Bhramari Pranayama in Hindi: Bee Breath Ki Vidhi aur Labh

 
bhramari-pranayama-in-hindi
 

Bhramari Pranayama Steps, Ise Karne Ka Tarika

  • Bhramari Pranayama Yoga ko aap subah ya sham dono mai se kisi bhi samay kar sakte hai.
  • Iss asana ko karne ke liye sabse pehle jamin par chatai ya dari bichaye.
  • Jab dari par baithe to aapko sukhasana ya padmasana mai baithna chahiye.
  • Ab aapki aankhe band kare tatha dimag ko puri tarah shant kar le.
  • Iske bad dono hatho ko bahar ki taraf khole aur kandhe ke samantar lekar aaye.
  • Dono hatho ki kuhniyo ko mode tatha hatho ke kan ke pas laye aur dono hatho se kano ko band kar de.
  • Aapke kamar, pith aur gardan ek sidh mai hona chahiye aur unhe sthir rakhe.
  • Ab aapki naak ke dwara shwas le aur naak ke dwara shwas ko bahar ki taraf chhode.
  • Jab aap saans ko bahar ki taraf chhoudte hai, tab gale se bhavre ke saman aawaj kare.
  • Jab tak aap saans chhod rahe hai tab tak bhavre ke saman aawaj nikalni chahiye.
  • Inn dhavni tarango ko apne mastishak mai mehsus kare. Iss douran danto ko khula rakhe aur honth ko puri tarah band rakhe.
  • Aapki saans ko lene ka samay karib 10 second tatha saans ko chhodne ka samay 20 second tak hona chahiye.
  • Iss pranayam ko shuruvati samay mai 5 minute tak kare aur dhire dhire iska samay badaye.
  • Aap bhramari pranayam ka abhyas aankho ko hatho se dhak kar bhi kar sakte hai.
  • Yadi aap shuruvati samay mai kan nahi band karna chahte to bhi bhramari pranayam kar sakte hai.

 

Bhramari Pranayam Benefits: Iske Fayde

  1. Jab aap bhramari pranayam ko karte hai to aapka man aur mastishak dono shant rehta hai.
  2. Aapke sochne ki shamta badti hai sath hi aapki soch sakaratmak hoti hai.
  3. Aapki buddhi tej hoti hai jisse kisi bhi samasya ko hal karna aapke liye aasan hota hai.
  4. Iss pranayam ko karne se aapki yaddasht shakti badti hai to students ko ise jarur karna chahiye.
  5. Jo bhi logo ko ucch raktchap ki samasya se pidit hai to unn logo ke liye kafi faydemand hai.
  6. Yadi aap sinusitis rog se se pidit hai to bhramari pranayam karne se aapko kaafi rahat milegi.
  7. Jin logo ke vichar nakaratmak ho jate hai woh log iss asana ko karne se sakaratmak soch ki taraf badte hai.
  8. Yadi aap ise niyamit rup se karte hai to hriday aur phephde majboot bante hai.
  9. Agar aap bolte samay haklate hai ya tutlate hai to iss pranayam ka abhyas aapko jarur karna chahiye.
  10. Jab aap iss pranayam ko karte hai to aapki thuddi ko gale se lagakar karne par thyroid rog mai labh milta hai.
  11. Iss prananyam ko karne se aapke andar se bhay, chinta, dukh, krodh, mansik tanav tatha mansik vikaro ko dur karne mai madad milti hai.

 

Bee Breath Yoga Precautions: Ise Karte Samay Savdhaniya

  • Aapki kshamta se jyada abhyas ka prayas naa kare.
  • Iss pranayam ke abhyas ki sahi prakriya samjh kar hi prayas kare.
  • Aapke naak ya kan mai kisi prakar ka koi sankraman hai to iss pranayam ko na kare.
  • Pranayam karne ka samay dhire dhire badaye, pehle din se hi jyada der abhyas naa kare.
  • Yadi iss pranayam ko karte samay sar dard, chakkar aana, ghabrahat hona, khasi aana aadi ho to iska abhyas naa kare.

 


Karne Ka Samay    5 Minute aur Kshamta Ke Anusar
Karne Ke Liye Umra  Bacche Se Lekar Bade
Karne Ka Fayda  Tanav Dur Kare, Sakaratmak Banaye
Kab Na Kare   Kan ya Naak mai Sankraman Hone Par

Upar aapne jana Bhramari Pranayama in Hindi. Uprokat di hui jankari mai aapko iski vidhi tatha labh ke bare mai bataya gaya hai. Iski vidhi ka palan kar aap ghar par mai iss pranayam ko kar sakte hai.

Loading...

You may also like...