Body Improvement with Age – Umra Ke Sath Hone Wale Sudhar
Koi nahi chahta ki uski umra badhe. Har kisi ko apna purana wakt accha lagta hai. Kyoki jaise jaise umra badhti hai hamari life ka ek din kam hone lagta hai.
Lekin umra ka badhna ek aesi prakriya hai jise nakara nahi ja sakta hai. Umra to badhti rahegi. Ham iss chiz ko badal nahi sakte. Lekin kya aap jante hai umra ke badhne ke sath sath aapko kai acche parinaam bhi milte hai.
Aaj ke lekh mai ham aapko Body Improvement with Age bata rahe hai. Inhe janne ke baad aap apne cake par badhti hui mombatti ko dekhkar dukhi hone ke bajay apne birthdays ko khul ke enjoy kar payenge.
Janiye Badhti Umra mai Hone Wale Acche Sharirik Badlav
Jyada Nind Aane Ki Samasya Se Nijat
Aapne dekha hoga ki kam umra mai nind bahut jyada aati hai. Aksar parents shikayat karte hai ki unke bacche ka adhiktar samay sone mai hi chala jata hai. Ham khud bhi afsos karte hai, ki itna kimati samay ham sone mai gujar rahe hai.
- Lekin ham aapko bata de ki jaise jaise umra badhti jati hai vaise vaise nind ki jarurat kam hone lagti hai.
- Badti umra ke sath nind kam aati hai, jisse aapko apne kaam karne ke liye accha khasa samay mil jata hai.
Aatmavishvas mai Badotari
Chhoti umra mai aatmavishvas bahut kam hota hai. Ham logo ko stage par jane mai dar lagta hai. Sath hi interview aadi dene mai bhi ham nervous feel karte hai. Wahi jab aapki umra badh jati hai to aapke andar se yeh sari chize apne aap khatam hone lagti hai.
- Umra badhne ke baad hamare andar ka aatmavishvas badh jata hai, jisse ham bina dare public speaking kar paate hai.
- Bachpan mai jaha taiyariya karke bhi interview dene mai dar lagta tha, wahi bade hokar aap isse bilkul bhi nahi katrate hai.
Pimples Se Milta Hai Chutkara
14-15 saal ki umra ke baad baccho mai muhase jaisi samasya dekhne ko milti hai. Wahi 26-27 ki umra ke baad yeh samasya khatam ho jati hai. Iss douran twacha par se pimples ke daag bhi thik ho jate hai.
- Darahsal umra badhne ke sath twacha se tel kam hone lagta hai jo ki muhase hone ke mukhya wajaho mai se ek hai.
- Umra badhne par sebaceous glands se oil ka risav kam hota hai, isliye twacha dry ho jati hai.
- Muhaso se nijat pane ke liye aap ayurvedic treatment yaha dekh sakte hai.
Smaran Shakti Badati Hai
Ham bachpan se yahi sunte aa rahe ki umra badhne ke sath sath smaran shakti kamjor hoti jati hai. Lekin yeh keval hamari soch hai. Jaise jaise hamari umra badhti jati hai hamari yad rakhne ki kshamta badhti jati hai.
- Jaise jaise hamari umra badhti hai ham jyada naam, jyada suchnaye aadi chize yad rakh lete hai.
- Bachpan mai ham itni sari baate yad nahi rakh paate hai.
- Yadi ham memory loss ki baat kare to 60 saal ki umra se iski samasya shuru hoti hai.
Anya Baate Inhe Bhi Janiye:-
- Badhe hone ke bad hamare andar decision lene ki kshamta badh jati hai.
- Aapko dinbhar nind aana aur aalas aana jaisi chize nahi satati hai.
- Kuch kiye gaye research ke anusar 40 pratishat logo ko migraine ki samasya umra badhne ke sath khatam ho jati hai.
Upar aapne jana Body Improvement with Age. Yeh sabhi badlav umra ke sath hote hai aur jaruri bhi hote hai.