Breast Cancer Symptoms in Hindi – Janiye Isse Se Judhe Tathaye

Breast Cancer Symptoms in Hindi – Istan cancer mahilao mai hone vali ek khatranak bimari hai. Jise hone par vah  mout ka bhi shikar ho sakti hai. Iske peeche karan hai ki, mahilaye ko sahi samay par iss bimari ka ptaa nahi chal pata hai.

Lekin sahi samay par iske  lakshano ki pahchan karke mahila iss bimari se bach sakti hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Breast Cancer ke baare mai. Jisse aap istan cancer ke lakshano ko pahchan kar swasth rah sakte hai.

Istan cancer mahilao mai  tezi se badhati huye ek gambhir samasya hai, istan cancer pashimi desho ki tulna mai bhartiye mahilao ko kam umra mai iss bimari ka dar bana rahta hai. Bhartiye aurat mai istan cancer hone ke ausat umra mai lagbhag 47 saal ho gai, jo ki pashichimi desho ke mukable 10 saal kam hai.

Halaki sahi jankari aur thodi si savdhani aur samay par iske lakshano ko phchan aur sahi ilaj, inn sab ke dwara iss samasya ko haraya ja sakat hai. Iske liye aai. Kahne ka matlab hai ki, bas apna thoda sa dhyan rakh kar har mahila jivan bhar sukhi rah sakti hai.

Niche hamare dwara batatye gaye lakshano agar aapko bhi apne andar najar aa rahe ho. To aaj hi doctor se sampark kare aur sahi ilaj karva kar hamesah ke liye ek swasth jivan bitaiye.

Breast Cancer Symptoms in Hindi

Breast Cancer Symptoms in Hindi, Istan ki  iss Bimari Ke Lakshan

Istan mai padne vali gaanth ko monografi ke jariye ptaa kiya ja sakta hai. Isse breast cancer ka bhi ptaa lagay ja sakta hai. Monografi karne mai jyada pese bhi nahi lagete hai. 30 se 35 saal ki mahilao ko ek baar monografi jarur karni chahiye. Breast mai gaanth aur samay ke saath isks asar badhne lagte hai. Saath hi aapko causes of breast cancer ke baare mai jaankari rakhni chahiye.

Istan Mai Parivartan

Breast  Cancer mai asamanye tarike se badhne, bagl mai sujan aana, nipple ka laal padna ya unse khun aana, yadi apke istan mai kai bhi ubhar ya asmanye motai lage to turant apne doctor se sampark kare.

Breast Pain

Breast Cancer Symptoms in Hindi ki baat kare to breast pain iska sabsa badha lakshan hai. Kabhi bhi mahilao ko masik dhram aane ke kuch week  pahle istan mai dard hota hai. Ise Cyclical Mastalgia kaha jata hai. Yhe darad istan upari aur bahari hisse mai hotahai.

Istan mai Sujan

Agar aksar aapke istan mai achanak sujan aane lage. Sath hi agar vah sujan jaldi se jane na matlab yeh sujan lambe samay tak bani rahe. To aap samj jaiye ki yeh ek bahut lakshan hai. Jis par aapko dhyan dena chahiye.

Chhot Lagna

Agar aapke istan mai kisi prakaar ki chhot lagi hai. Jo ki lambe samay tak theek bhi nahi ho pa rahi hai. Jisse ke karan aap takleef mahsus kar rahe to aaj iss gambhir samasya ko se bache.

You may also like:-Understand the Related Breast Pain Causes in Women

Sankraman Najar Aana

Agar aapko breast mai koi infection ho raha hai. Jiske karan aapko bahut si takleefo ka samna karna pad raha hai  ya fir  iss infection ke karan aapke istan par laal-laal nishan dikhai de rahe. To samjh lijiye ki, yeh istan cancer ka lakshan hai.

Nipple mai Redness Aana

Agar achanak se ya bina kisi karan ke aapke nipple laal ho jaye ya unka rang badalne lage to yeh ek breast cancer ka lakshan ho sakta hai. Yadi aapko iss tarah ke lakshan dikhai dete hai to turant doctor se paramarsh le. Kai baar aapko aesa bhi hota hai ki nipple mai se khun behne lagta hai to aap ise najarandaj na kare.

  • Kai bar nipple mai dane hone lagte hai.
  • Nipple mai khujali hone lagti hai.
  • Kai mahilao mai nipple mai jhanjh

Breast Cancer Symptoms in Hindi

Stage Definition
Stage 0 Cancer ki koshikaye stan vahikao mai badne lagti hai
Stage IA Cancer koshikaye 2 cm tak bad jati hai
Stage IIB Cancer koshikaye 2 cm se 5 cm tak bad jati hai
Stage IIC Cancer koshishaye kisi bhi aakar ki ho sakti hai
Stage IV Cancer koshikaye ek jagah se dusri jahag failne lagti hai

Breast Cancer Symptoms in Hindi – Istan Caner ki Jache Tatha Iske Ilaj

Yeh avshayak hai ki 30 saal ki umra ke baad pratek mahila mahavari ke baad apne istan aur iske idhar udhar hone vale badlavo ki khud chanch kare. Isse tarah 40 saal ki umra se har mahilao ko saal mai ek baar breast specialist se apni chanch karvan chahiye. Saath hi Breast Cancer Symptoms ke prati hamesha jagruk rahna chaiye.

Agar aap hamesha apna khayal rakhengi to cancer ke ilaj mai pure istan ko nikalne  ki jararut nahi padti hai. Iski pahchan shuvaat mai hone par istan ke rogiyo ka  90 se 95 % tak safal ilaj ho sakta hai, Jab istan cancer hone ke baad iss avstha ka ptaa chalta hai, to iske ilaj ke liye pure istan ko operation ke jariye nikalna pad sakta hai.

Mahanagro tatha shahro mai rahne vali aurat mai istan cancer ke maamle adhik deke jate hai. Jaldi hi iss rog ke baare mai agar kuch kadam na uthaye gaye, to cancer jaldi hi bahart mai mahilaye ka sabse badhi bimari ban jayegi. Isse bachne ke liye mahilao ko khud har mahine istan ki chanch karna chahiye aur dekhe ki usme koi gaanth to nahi hai.

Vese istan cancer hone ke kai karan ho sakte hai. Jese der se maa banana, kam bacche paida karan, kam samay tak bacche ko dudh pilana aadi. Family history bhi iska karan ho sakti hai. Iske alawa masik dhram kam umra mai shuru hona. Isliye aap istan cancer se bachne ke liye sharab ka sevan na kare, smoking chhod de, apne sharir ka vajan santulit rakhe tatha niyamit roop se vyayam kare.

Blood Test se ho Sakti hai Breast Cancer ki Pahchan

Haal mai hi huye ek research mai yeh baat samne aai hai ki, ab blood test se bhi istan cancer ki pahchan ki ja sakti hai. Istan cancer mahilao mai hone vali aam bimari hai. Vese dekha gaya hai ki, aaj kal vishv mai iss bimari se pidit mahialo ki sankhaya badti ja rahi hai.

Britain ke scientific ne kaha hai ki, blood test sample se kisi bhi mahila mai istan cancer ke hone ki sambhavna ka ptaa lagaya ja sakta hai. Landan ke ek collage ne cancer aur white cell jeans ke beech ki pahchan ki sambhavna ka ptaa lagne ke bahut kareeb pahuch gaye hai.

Jin mahilao ko iss baare mai samay se jankari mil jati hai unki jan bachne ki sambhavan badh jati hai. Yeh blood test agle panch se das saalo mai uplabhad ho jayega.

Upar aapne jane Breast Cancer Symptoms in Hindi. Jisse aap istan cancer ke lakshano ki pahchan karke jaldi hi iss bimari se aasani se bach sakte aur hamesha ke liye swasth jivan jee sakte hai.

Loading...

You may also like...