Butterfly Tattoos in Hindi: Ajmaye Chitrakari Ke Kuch Khas Ideas

Aajkal samay ke sath sath yuvak aur yuvatiyo mai tattoo banwane ka prachalan badhta ja raha hai. Itna hi nahi log tattoo ki alag alag prakar ki designs aur ideas mai bhi dilchaspi lene lage hai. Log dusro ko jo sandesh bhejna chahte hai, usi ke aadhar par apne sharir mai tattoo ki chhavi aur uska rang chunte hai.

Aajkal bahut saare designs aur ideas uplabdh hai, jinhe chunkar aap apne tattoo ko aur bhi khas bana sakte hai. Agar mahilao ki baat ki jaye, to Butterfly design ke tattoo unke liye bahut hi lokpriya vikalp hai. Butterfly design sundarta aur manoharta ko hi nahi darshata, balki iske bahut se symbolic arth bhi hote hai.

Har vyakti ke liye butterfly design ka alag matlab ho sakta hai.  Koi ise adbhut udan ka pratik manta hai, koi khoobsurati ka aur koi kayapalat ya badalav ka aadi. Kuch log ise aatma ka pratinidhi aur adhyatmik swatantrta ka pratik bhi mante hai. Butterfly tattoos bahut se aakar, rang aur kism ke hote hai. Butterfly tattoo aksar hath, kandhe, pair ya peeth par banwaya jata hai. Agar aap bhi butterfly tattoo lagwane ke shaukin hai, to aaiye jante hai kuch khas prakar ke Butterfly Tattoos in Hindi.
 

Janiye Mahilao Ke Pasandia Butterfly Tattoos in Hindi

 
Butterfly Tattoos in Hindi
 

Wings on the Shoulder Blades

Butterfly Tattoo Designs ki baat kare to kandhe par titali ke pankh ka tattoo banwana ek bahut badhiya idea hai. Ise banwane ke liye aap apne man-pasandida rang, aakar aur pattern chun sakte hai. Aap chahe to chhoti titli aur uske bade pankho ka tattoo banwa sakte hai. Ek alag prabhav ke liye rang ka chayan bahut hi accha hona chahiye, isse log aapki aur aakarshit honge.
 
Wings on the Shoulder Blades
 

All Black

Yah ek naya aur alag tarah ka design hai. Kale rang ka butterfly tattoo banwana bahut si ladkiyo ko pasand hota hai, kyonki aesa mana jata hai ki kala rang kisi tarah ke rahasya ko pratit karta hai aur ladkiyo mai yeh tattoo banwane se yeh bahut hi aakarshit, sexy aur uttejit karne wala hota hai. Agar aap tattoo banwana chahti hai, to black butterfly tattoo apake liye achha vikalp hai. Iska ek karan yeh bhi hai ki is tattoo ko banate samay artist ko rango ke chunav karne mai samay nahi lagana padhta hai aur wah tattoo ko design karne mai apna pura dhyan lagata hai, isse tattoo jyada nikhar se samne aata hai.
 
All Black Tattoo
 

You may also like:– Hair Tattoo Designs- Banaiye Apna Alag Style Statement

 

3D Butterfly Tattoo

3D tattoos aajkal bahut hi prachalan mai hai aur tattoos mai 3D ka prabhav yuvak yuvatiyo ko yeh pasand bhi aa raha hai. Iss tarah ke tattoos ko banane mai bahut hi achhe hunar ki jarurat hoti hai. 3D prabhav dene ke liye badi hi kushalta se shades aur color ka istemal karna padhta ha, jisse tattoo mai bani hui butterfly ki chhavi logo ko vastvik nazar aaye.
 
3D Butterfly Tattoo
 

Personalized Butterfly Tattoo

Ladkiyo mai Personalized Butterfly Tattoo banwane ka bahut hi shauk hota hai, kyunki iss tattoo ko banwa ke ladkiyo apne vichar aur jeevan-sheli ya unke charitra ko sabke samne vyatit kar pati hai. Iske kai tarike ho sakte hai. Aap chahe to apne premi ya premika ka naam likhwa kar uske upar butterfly design karwa sakte hai ya fir koi achha sandesh logo tak pahucha sakte hai. Ya fir chahe to kuch iss tarah ka butterfly tattoo banwaye, jo apni style aur star ko darshaye.
 
Personalized Butterfly Tattoo
 

Gothic Butterfly Tattoo

Gothic butterfly tattoo ek bahut hi alag tarah ka tattoo hai, jo aksar kuch logo ko hi pasand aata hai. Vastav mai yeh sahsi pravrati ke logo ko pasand aata hai, kyonki yeh tattoo rahasymay aur chunoti ko darshata hai, jo apne aap mai hi ek alag style lagti hai. Iss tattoo mai agar kale rang ka prayog kiya jaye, to yeh aur bhi accha dikhta hai. Yeh adhiktar unn logo ko pasand aata hai, jo tandav aadi mai bharosa karte hai.

Gothic Butterfly Tattoo
 

You may also like:– Tattoo Designs for Men: Jane Vibhinna Prakar aur Uske Mahatv

 

Split Butterfly Tattoo

Tattoo design karwate samay usme nayapan lane ke liye aap butterfly tattoo ko do bhag mai vibhajit bhi kar sakte hai. Iska ek accha tareeka yeh ho sakta hai ki butterfly tattoo ka ek pankh apne ek hath mai banwaye aur dusra pankh dusre hath mai. Ab jab aap dono hath ko sath mai layenge, tab butterfly tattoo ki puri chhavi apko aur dusro ko nazar aayegi. Yah tareeka aap apne pairo par bhi kar sakte hain. Agar aap is prakar ke tattoo ko aur bhi khas banwana chahte hai, aur apne kisi khaas ko, partner ko, dost ko ya apne bhai ya bahan ko dedicate karna chahte hai, to iss prakriya mai unhe bhi shamil kar le. Iska matlab yeh hai ki butterfly tattoo ka kuch bhag aapke hath mai aur kuch bhag apne karibi dost ke hath mai banwaye. Yeh ek bahut hi behtarin tarika hai apne pray aur bhawnao ko vyakt karne ka.
 
Split Butterfly Tattoo
 

Butterfly Tattoos on Back

Ladkiyo mai yeh tattoo sabse adhik prachalan mai hai, kyoki kisi bhi function ya parties mai jab ek acchi dress pehni jaye aur Butterfly Tattoo On Back mai bana ho, to yeh apki sundarta ko 4 guna badha deta hai. Isliye ladkiyo ke liye back mai butterfly tattoo banane ke bahut se designs uplabdh hai, jisse wo apne pasandida rang mai banwa sakti hai.
 
Butterfly Tattoos on Back
 
Upar aapne jana Butterfly Tattoos in Hindi. Diye huye ideas aur designs ke aadhar par aap bhi inme se koi ek pasand karke apne sharir mai tattoo banwa sakte hai.
 

Loading...

You may also like...