Cancer in Hindi – Iske Lakshano Ko Jane aur Rog se Bache
Aaj ke samay mai rogo ki koi kami nahi hai. Aaj kal aisi-aisi bimaria hone lagi hai jinke bare mai humne kabhi suna bhi nahi tha. Lekin aaj agar hum dekhe to cancer bhi kai prakar ka hone laga hai. Koi bimari ek tarah ki ho sakti hai ye to sab jante hai, parantu kisi rog ke itne prakar soch kar bhi aashcharya hota hai.
Aaj hum aapko cancer ke sambandh mai sampurn jankari dene wale hai. Jinke bare mai shayad hi aap jante ho. Pure vishv mai iss bimari ka atank fela huya hai. Jisme sabse adhik log iss rog ki chapet mai aane par apni jaan gawa dete hai. Cancer ab lailaj bimari nahi rahi, lekin yah jaanleva jarur hai.
Isi karan vishwa swasthya sangathan (WHO) ne har saal 4 fab. Ko Vishv Cancer Diwas ke roop mai manane ka nirnay liya, taki iss bhayanak bimari ke prati logo ko jagruk kiya ja sake.
Yah ek prakar ki bimari nahi hai. Iske anek roop hai. Adhikansh cancer ke naam uske ang ya koshikao ke naam par rakhe jate hai, jinme vah shuru hote hai. Aaiye jante hai Cancer in Hindi, se sambandhit jankari.
Cancer in Hindi: Janiye Iske Prakar, Karan aur Lakshan
Cancer Ki Utpatti
Humara sharir bahut si choti-choti koshikao se milkar bana hai. Inn koshikao ka jivan bahut kam hota hai, isliye sharir mai inke banane aur tutne ka kram nirantar chalta rahta hai. Jab kisi karanvash yah koshikaye badhit hoti hai to aniyantrit roop se badne lagti hai aur shire-shire ganth ka roop le leti hai. Yahi cancer hai. Cancer ki yah koshikaye rakt aur lasika pranali ke madhyam se sharir ke anya hisso mai fel jati hai.
Humare desh mai 100 se adhik prakar ke cancer hai, jinme stan, fefde aur cervical cancer ke bare mai sabse adhik suna jata hai. Parantu sar, muh aur gale ke cancer ke bare mai bahut kam log jante hai. Bharat mai iski jankari rakhne wale logo ki sankhya bahut kam hai lekin isse marne wale logo ki sankhya bahut adhik hai.
Cancer ke kai marij iss bimari ke aage haal maan lete hai. Lekin shodhkartao ke anusar ab cancer ke akhari charan aur bhayavah roop mai jane ke 8 lakshano ka pata laga liya hai.
Shodhkartao ke anusar, cancer ke antim charan mai pahunchne ke 8 lakshan hai. Ger-pratikriyashik aankha ki putli, moukhik samvedna ke liye pratikriya ki kami, drishya samvednao ke liye pratikriya mai kami, palke band karne mai asamarthta, chehre ke aakar mai badlav, gardan ke aakar mai badlav, gale se halki gurahat jaisi dhawni aur upri jathrantra se raktstrav. Shodhkartao ke anusar agar marij mai iss prakar ke lakshan dikhai de rahe hai to 2 se 3 din mai rogi ki maritu sambhav hai.
You May Also Like:- Bile Duct Cancer Symptoms: Iss Bimari Ke Mukhya Lakshan
Cancer Symptoms in Hindi: Jane Iske Mukhya Lakshan
Vishv Swasthya Sangathan (WHO) ne iss bimari ko khatarnak mana aur bataya ki inn lakshano ke jariye iss rog ko pahchana ja sakta hai. Aaiye jante hai Cancer Symptoms in Hindi–
- Sharir ke kisi hisse mai kadapan ya gathan ka hona.
- Awaj mai badlav ya awaj ka bhari ho jana.
- Swar baithna, khansi hona aur adhik samay tak kharash ka bana rahna.
- Khane mai ya nigalne mai taklif hona.
- AAtra ya mutrashay ki aadato mai parivartan aana.
- Sharir mai tatkalik massa ya til mai parivartan hona.
- Sharir ke kisi bhi hisse se pani ya rakt ka strav hona.
- Bina kisi karan se vajan mai kami ya vradhi hona.
- Sharir mai kamjori, thakavat hona ya bukhar aa jana.
- Niyamit Gale mai, gardan mai, kaan mai aur sar mai dard rahna.
Types of Cancer: Jane Iske Prakar
Cancer kai prakar ka hota hai. Yah 100 se bhi adhik tarah ka hota hai. Yaha hum aapko iske kuch pramukh parakar bata rahe hai. Aaiye jante hai Types of Cancer–
Skin Cancer – Twacha Ka Cancer
Skin Cancer ek samanya prakar ka cancer hai jo stri aur purush kisi ko bhi ho sakta hai. Dhup aur pradusham mai adhik samay tak rahna iska karan ban sakta hai. Yah unn logo mai aam hota hai jinhe sun-burn ho gaya ya pariwaar mai kisi vyakti ko ho.
Aaj kal kuch aisi taknike aa gayi hai jinke madhyam se twacha ka cancer seconds mai pakda ja sakta hai. Altra Precision Hyper spectral camera iske prarambhik lakshano ko bhi matra kuch seconds mai pahchan sakta hai, jo samanya aankho se dikhai nahi dete hai.
Blood Cancer – Khoon Mai Cancer
Yah bhi ek prakar ka samanya cancer hai lekin skin cancer jitna nahi. Leukemia ek prakar ka blood cancer hota hai, jo rakt koshikao ke canceras hone ke karan ho jata hai. Jo vyakti isse pidit hote hai, unka vajan kam hone lagta hai aur khoon mai kami aane lagti hai. Raat mai sote samay adhik pasina aur atydhik bukhar bhi ho jata hai.
Vegyaniko ne iska sambhav ilaj dhundne ka dawa kiya hai. Unke anusar leukemia se prabhavit koshikao se ek protein ki parat ko hatane par blood cancer ko rokna sambhav hai.
Brain Cancer – Mashtishk Ka Cancer
Brain Cancer ke mukhya karan aaj bhi agyaat hai, lakin kuch karano se iski aashanka bad jati hai. Sharir ke kisi hisse mai cancer huya ho to uske mashtik tak badne ki sambhavna bad jati hai. Isme dimag ke kisi hisse mai ganth banane lagti hai. Kisi prakar ke rasayan ke sampark mai aane se bhi yah ho sakta hai. Mashtishk ke aage aur piche ke bhaag mai hone cancer ke lakshan alag alag hote hai.
You May Also Like:- Brain Tumor Symptoms in Hindi: Mastishk Cancer Ke lakshan
Bone Cancer – Haddiyo Ka Cancer
Bone Cancer ko chikitsiya bhasaha mai tumor tatha hindi mai asthi mai kark rog kaha jata hai. Yah do prakar ka hota hai.
Primary Bone Cancer – Jab cancer ka rog haddi ki koshikao se shuru hoti hai to ise prarambhik asthi kark rog kahte hai.
Secondary Bone Cancer – Jab kakrk rog ki bimari haddi ki koshikao se bahar nikalkar kisi anya ang ki koshika se shuru hota hai aur dusre kram mai felkar wahi bimari haddiyo ko prabhavit karti hai, to ise dwitiyak asthi kark rog kahte hai.
Breast Cancer – Stan Cancer
Stan ke samanya parivartan sharir ke hormones mai parivartan ke sath sath hota hai. Nirantar chalne wali prakriya mai thoda sa bhi badlav hone par koshikaye aniyantrit hone lagti hai aur inke phal-swaroop stan mai ganth, nipple mai khoon ka risav aadi ke roop mai samne aati hai.
Adhiktar iske rogi ki ganth 2 se 3 cm ke bich ki hoti hai. Jisme stan cancer hone ke baad bhi stank o bachane ka operation kiya ja sakta hai. Kai baar aisa bhi hota hai ki stan cancer ko shuvati stage mai hi pakad liya jata hai, jisse marij ko kimo therapy ki bhi jarurat nahi padti hai.
Mouth Cancer – Muh Ka Cancer
Aamtor par muh ka cancer tambakhu, cigarette, sharab jaise avyavo ke atydhik sevan se hota hai. Inke niyamit sevan se muh ke andar ki sthiti behad kharab ho jati hai. Iski pahli stage mai vyakti fibrosis ka shikar hota hai, yah pre-cancer ki sthiti hoti hai. Iss sthiti mai rogi ka upchar sambhav hai. Fibrosis mai muh ke andar safed spots aa jate hai aur muh mai jalan hone lagti hai.
Lung Cancer – Fefdo Ka Cancer
Lung Cancer bhi bahut logo mai paya jata hai. Iska mukhya karan bhi cigarette aur tambakhu ka adhik sevan karna hota hai. Fefde ke cancer ke douran cancer koshikaye kis tarah sharir ke anya bhago mai felti hai, iska pata shodhkartao ne laga liya hai. Iske liye fefde ke cancer ki koshikaye sabse pahle unn koshikao ko khatm kar deti hai, jo unhe dusri koshikao se jode rakhti hai.
Throat Cancer – Gale Ka Cancer
Throat Cancer ka sabse mukhya lakshan hai aawaj ka parivartit ho jana. Kai baar cigarette aur tambakhu ke niyamit sevan se gale ki swar granthiya prabhavit ho jati hai aur awaj mai badlav hone lagte hai. Gale ka cancer tab hone lagta hai, jab sans lene, bolne aur nigalne ke liye upyog mai layi jane wali koshikaye asamanya roop se viksit hokar vibhajit hona shuru ho jati hai aur inka vikas samany se bahut adhik hone lagta hai, to gale ka cancer hota hai.
Pancreatic Cancer – Agnashay Ka Cancer
Anya cancer ke mukable yah bahut kam logo ko dekha gayah hai. Lekin iske rogi ke bachne ki sambhavna na ke barabar hoti hai. Haal hi mai vegyaniko ne iske shuruvati charan ka pata lagane ke liye kam kharch wali teast viksit ki hai. Ab tak iss test ke 90 pratishat natije sahi paye gaye hai.
Aaj aapne jana Cancer in Hindi, yaha humne aapko isse sambandhit mahatvpurn jankariya di hai taki iske lakshano ko karano ko jankar aap iss bimari se bach sake aur agar aap iss bimari se grasit hai to samay rahte chikitsak se sampark kare aur apne bahumulya jivan ko bachaye.