Janiye Cholera (Haija) Disease ke Lakshan, Karan aur Upchar
Haija (Cholera) aanto mai infection se hone wali gambhir bimari hai. Yeh Vibrio Cholerae namak bacteria se failta hai. Aamtour par iss bimari ki shuruaat ulti ya dust se hoti hai, lekin sahi samay par iska ilaj nahi kiya jaye to ye bimari jaanleva bhi ho sakti hai. Aaiye jante hai Cholera Symptoms, Treatment aur Causes.
Aksar log shuruaat mai haija ke lakshano ko pahchan nahi pate hai jiski wajah yeh samasya gambhir ho jati hai. Haija ke shuruaati avastha mai ulti aur dust ki samasya hoti hai, par agar aapko 1-2 baar se jyada aise samasya ho to aap turant doctor se sampark kare aur unko iske baare mai bataye. Iss bimari se bachne ke liye iske kuch upay.
Kese Failta hai Haija (Cholera)?
Sankramit aahar ya pani se haija ke bacteria sharir mai pravesh kar jate hai. Iske baad yeh bacteria tezi se aanto par hamla karte hai jisse loose motion aur vomit jesi samasya shuru ho jati hai. Shellfish dwara khaye jane wale kacche padarth bhi haija se source ho sakte hai.
Yeh bimari ek vyakti se dusre vyakti mai sidhe nahi failti hai. Isliye sankramit vyakti ke sampark mai aane se bimar hone ka koi khatra nahi hota hai. Cholera (Haija) ka infection hone par 3 se 6 ghante mai rogi ko baar-baar vomit hone lagti hai. Koi ilaj na hone par dhire-dhire yeh samasya ghatak roop le leti hai aur rogi ka blood pressure kam hone lagta hai.
You may also like:- Gharelu Nuskhe for Loose Motion: Dust Se Relief Paye Inhe Apnaye
Cholera Symptoms: Haija ke Lakshan ko Jane aur Pahchane
- Cholera ke bacteria sharir mai pravesh par apni sankhya badate rahte hai aur jab paryapt sankhya mai ho jate hai to wah vish (toxic) paida karte hai, yeh vish rakt dwara sharir ke anya bhaago mai jata hai aur rog badta hai.
- Iss rog mai jabardast ultiya aur dust hote hai. Kai baar ulti nahi bhi hoti hai aur jii machalta hai aur ulti hone jesa pratit hota hai.
- Ulti mai pani bahut adhik hota hai, yeh ulti safed rang ki hoti hai. Kuch bhi khaya nahi ki ulti mai nikal jata hai.
- Ulti ke saath hi loose motion lag jate hai aur ye hote hi rehte hai. Sharir ka saara pani dust mai nikal jata hai. Iss bimari mai bukhar nahi aata hai, bas rogi nidhal, thaka-thaka aur kamjori mahsoos karne lagta hai aur shaktihin ho jata hai.
- Iss rog mai pani ki pyaas jyada lagti hai. Pulse mand pad jate hai, urine kam aata haia ur behoshi tari hone lagti hai.
- Haija hone par rogi ke haath-pair thande pad jate hai.
- Iss bimari ki shuruaat hone par rogi ki saans tutane lagti hai.
- Urine mai samasya aur pile rang ki urine hona ye main Cholera Symptoms hai.
- Rogi ki nadi tez chalne lagti hai aur kamjor rahti hai.
- Haija mai jyada bukhar nahi hota hai, jesa ki dusre infection mai hota hai.
- Haija mai rogi ki heart ki gati bad jati hai.
Cholera Treatment: Iss Bimari ke liye Sahi Tarike se Upchar
Haija ki samasya se bachne ke liye doctor anti-biotic medicine dete hai jo rog ki avadhi kam karti hai aur ise failne se rokti hai. Haija ka ek vaccine bhi hai, jo ki 6 months tak hi kriyashil rehta hai. Rog ki sambhavna hote hi turant doctor se sampark kare. Doctor saline chadakar, anti-biotic medicine dekar rog ko badne se rog sakta hai.
Iske alawa namak aur shakkar ka pani ka ghol bhi pilaya jata hai ya phir bana banaya electrolite pilakar rogi ko lavano ki purti ki jati hai. Rogi ki halat gambhir ho to rakt shira mai injection dekar turant aaram pahuchahne ki koshish ki jati hai.
Cholera Causes: Janiye Haija Rog ke Aneko Karan
Vibrio Cholerae namak bacteria se failne wale rog mai khula khana ya pani nahi pina chahiye. Yeh samasya khaas tour par gandagi ke karan failti hai. Isliye apne aaspaas wali jagah ko saaf-suthara rakhe. Jane kya hai Haija ke karan:
- Municipal supply ka pani.
- Municipal pani se bana barf (Ice).
- Galiyo mai milne wala khula khana.
- Manav malo se ugaye gayi sabjiya.
- Kaccha aur adhapaka mansahari bhojan.
Upar aapne jane Cholera (Haija) Symptoms, Causes aur uske Treatment. To aaj se hi inn sabhi chizo ko dhayn mai rakhe aur aisi koi bhi bimari hone se bache. Haijna jesi bimari se bachne ke liye uski puri jankari hona bahut jaruri hai.
To upar di gayi jankari ke jariye aur saath hi bina der kiye doctor se sampark kare rogi ki jaan bachaye aur iss bimari se dur rahe.