Colon Cancer in Hindi: Kya Hai Pet Ka Cancer aur Iska Nidan
Puri dunia mai cancer ke marijo ki sankhya din pratidin badhti ja rahi hai. Yeh ek aesi bimari hai jiske karan sabse jyada mote hoti hai. Vaise to ab iska illaj sambhav hai.
Lekin iske liye wakt rehte iske bare mai pata hona jaruri hai. Cancer ke mamle mai agaynata aur laparwahi ke karan hi kai jane chali jati hai. Jab wakt rehte iske illaj nahi hota hai to yeh bahut gambheer rup le leta hai aur iska nidan sambhav nahi hota hai.
Cancer ke kai prakar hote hai. Aaj ham aapko pet ke cancer ke bare mai jankari de rahe hai. Pet ke cancer ko badi aanta ka cancer bhi kehte hai. Isme pet dard, ulti aana jaisi samasyae hoti hai. Jiske chalte ise samanya mankar dhyan nahi diya jata hai.
Yeh cancer mahilao ke tulna mai purusho ko adhik hota hai. Jyadatar mamlo mai iska pata 60 ki umra ke bad hi chal pata hai. To aaiye aaj vistarit roop se jante hai Colon Cancer in Hindi.
Colon Cancer in Hindi: Pet Ke Cancer Ke Lakshan aur Illaj
Cancer kai prakar ka hota hai. Sharir ke kisi bhi hisse par githan ka uthna cancer hota hai. Aaj ham colon cancer arthat pet ke cancer ki baat kar rahe hai. Pet ke cancer mai pet ki koi bhi koshika asamanya rup se badne lagti hai. Yeh pachan tantra ke nichle hisse mai hota hai.
Pachan tantra hi wo sthan hai jaha bhojan pachta hai aur urja paida hoti hai.Yeh tantra sharir kai avshisht padartho ko bhi pacha leta hai. Pet ka cancer andar ki taraf se shuru hote hote bahar ki parto ki taraf failta hai. Issi karan yeh pata lagana bahut mushkil hota hai ki cancer kitne andar tak faila hua hai.
Pet ke cancer se pidit vyaktiyo ki sankhya badti ja rahi hai. Kyuki khane mai shuddh aahar ka shamil hona bahut kam ho gaya hai. Colon cancer mahilao ki tulna mai purusho ko jayda hota hai.aur yahi wajah hai ki pure vishva mai cancer se marne walo ki sankhya mai purusho ki sankhya jyada hai.
You May Also Like:- Anal Cancer Symptoms – Upchar ke liye Lakshan Pehchane
Colon Cancer Symptoms in Hindi: Iske lakshan
Colon cancer ka shuruwati dino mai lakshan sahi rup se samjh nahi aate hai isme aapko pet dard ya fir aise vikar najar aate hai jisko samanya rup se log andhekha kar dete hai. Kyuki pet ke cancer mai vyakti ko sadharan pet ki bimari jaise hi lakshan dikahi dete hai.Niche diye gaye lakshno mai se koi bhi lakshan aapko dikhai de raha hai to bina der kiye aapko chikitsak se sampark karna chahiye. Aaiye jane symptoms of colon cancer.
- Isme kale ranga ka mal nikalta hai.
- Khana khane ke bad ulti hoti hai.
- Sharir mai pachan sahi se nahi hota hai.
- Dast lagna bhi ek samasya hai.
- Kai bar mal ke sath rakt bhi aata hai.
- Bar bar jee ka ghabrane ki samasya hoti hai.
- Iss rog se grasit vyakti ke sharir mai khun ki kami ho jati hai.
- Din pratidin vajan mai kami hona bhi colon cancer ka sanket hai.
- Bhukh na lagna, ya fir bina kuch khaye bhi pet bhara hua lagna.
- Yadi aapko badhajmi ki samasya ya fir pet dard ki samasya aksar hoti hai to yeh colon cancer ho sakta hai.
- Yadi aapko yeh sab rog hai to ho sakta hai aapko pet ke cancer hone ki sambhavanaye hai. Isliye turant doctor se sampark kare. Taki cancer ki bimari ko pehli hi avstha mai hi khatam kiya ja sake.
Colon Cancer Treatment: Jane Pet Ke Cancer Ka Illaj
Pet ke cancer ke liye surgery karwai jati hai. Isme chemotherapy, radiation treatment ke sath pet ke cancer ka illaj kiya jata hai. Chemotherapy and radiation therapy ka upyog karke iske lakshano ko dur kiya jata hai aur bimari ki gati ko dhima kiya ja sakta hai. Iske upchar mai kai bar jyada samay bhi lag sakta hai.
Surgery: Colon cancer ki surgery ko gastrostomy bhi kehte hai. Isme pet ke pure bhag ko bahar nikala jata hai aur iske alawa limb gland ke pass wale bhag ko bhi hataya jata hai.
You May Also Like:- Janiye Breast Cancer Symptoms se Judhe Tathaye
Chemotherapy: Chemotherapy mai anti cancer dawai di jati hai jise muh ya fir sui ke dwara nas mai di jati hai.
Radiation Therapy: Radiation therapy mai ucch urja wale radiation shamil hai jiska istemal cancer wali koshikao ko marne ke liye kiya jata hai.
Cancer se prabhavit shetra aur koshikao ko nasht karne ke liye chemotherapy aur ratioation therpy dono ka istemal kiya jata hai parntu yeh dono therapy swasth tissue ko bhi nasht karti hai Jiske wajah se kai dush parinaam bhi hote hai.
Chemotherapy and radiation therapy ke kai dushparinaam jaise jee ghabrana, thakan lagna, rakt dabav ka kam hona, balo ka jhadna aadi samasya hoti hai. Isliye jaruri hai ki upchaar ke sath santulit aahar ka sevan bhi kare.
E.U.S: E.u.s kafi satik aur surkshit taknik hai. Iss prakriya mai rogi ko surgery se bachaya ja sakta hai aur rogi ko jyada samay tak aspatal mai nahi rakha jata hai. Yeh ultrasound aur endoscopy dono therapy ka mishran hai. Isse kafi satik illaj kiya jata hai.
E.U.S mai dusri therapy ki tarah radiation nahi hota hai. E.U.S pet ki sabhi parte dekhne mai madad karta hai aur pet ke sabhi ango ki acchi tarah se janch ho jati hai. Bina operation ke agar pet ke cancer ka satik illaj karna hai to E.U.S bahut faydemand hai.
Laparwahi aur Jagrukta
Cancer ki bimari ka illaj shuruvati dino mai hi karna sahi hai. Isliye iske chhote chhote lakshano ko andekha karne ki laparwahi na kare isse aapki jaan ko khatra bhi ho sakta hai.
Upar aapne jana Colon cancer in Hindi. Cancer ki bimari ke illaj ki jagrukta sabhi logo ko nahi hoti hai isliye bahut jaruri hai ki log cancer ka illaj karvane ke liye E.U.S. vidhi ka istemal kare. Sahi samay par lakshano ko pehchankar aur illak karke iss ghatak bimari se bacha ja sakta hai.