Cranberry Juice Benefits- Jane Iske Swasth Vardhak Gun
Cranberry jamun ke aakar ka ek lal phal hai jiska swad halka sa teekha hota hai. Isme prachur matra mai antioxidant paya jata hai, jo anya phalo aur sabjiyo ke mukabale bahut adhik hota hai. Yeh Vitamin C ka bhi bahut acha strot hai.
Iske alawa isme kai aur minerals bhi moujud hai jaise ki isme iron, calcium, potassium, zinc aadi hota hai. Ye behad hi swasthvardhak fal hai.
Iska kai tarah se upyog kiya ja sakta hai. Hum aapko bata de ki iske juice ka niyamit sevan karne se cholesterol kam hota hai, aur yeh immunity system ko strong karta hai, tanav dur karta hai aur sath hi aapke khoon ke prahav ko bhi sucharu karta hai. To aaiye jante hai aur bhi kai Cranberry Juice Benefits.
Health Benefit of Cranberry Juice Se Paye Rog Mukt Sharir
Hriday Rogo Mai Faydemand
Cranberry Juice hriday rogo ko dur karne mai kaafi labhdayak hai. Iske sevan se diabetes mai bhi labh milta hai. Yeh khoon mai cholesterol ke star ko kam kar hriday sambandhi rogo se bachata hai. Cranberry mai moujud polyphenol hamare sharir ko bimariyo se bachane wale system ko majbut banane mai madad karte hai. Agar niyamit roop se 2 glass Cranberry Juice piya jaye to dil ki bimariyo ka khatra 10 fisadi tak kam ho jata hai.
Masudo Ki Samasya Se Nijad
Cranberry ka ras masudo ke liye behad hi labhdayak hota hai. Isme paye jane wale tatva urinary tract infection se to bachata hi hai. Sath hi yeh tatva masudo ki samasya ko bhi dur rakhta hai. Yeh daanto ko sadan se bachane ke sath–sath saans ki durgandh ko aane se rokta hai. Par ise 1 glass se jyada na piye kyoki isme sugar ki matra adhik hoti hai.
Pachan Tantra Thik Kare
Cranberry ka ras pine se pachan tantra bhi sucharu roop se karya karta hai. Iske juice mai vitamin C, antioxidant aur salicylic acid hota hai. Iske ras mai proanthocyanidins hote hai, jo blander ki wall par bacteria aur koshikao ko milne se rokte hai. Sath hi urine ke rashte gande bacteria ko sharir se bahar nikalte hai.
Nutrients | Quantity |
---|---|
Calorie | 45 per cup | Potassium | 85 mg | Zinc | 0.10 | Iron | 0.25 | Calcium | 8 mg | Manganese | 0.4 mg |
Pathri Mai Labhdayak
Isme adhik matra mai acid component hote hai jo kidney mai pathri nahi hone dete. Jin logo ko past mai kabhi kidney mai stone ki samasya ho chuki hai wo Cranberry ka ras pine se pehle doctors ka paramarsh jarur lele.
Cancer Se Bachav
Cranberry mai proanthocyanidins moujud hota hai. Jo sharir mai cancer ke cells ko badhne se rokte hai. Kuch shodho ke anusar jin khadya padharo mai flavoniods hote hai us se cancer ki risk kam ho jati hai. Cranberry juice mai anti-carcinogenic components hote hai jo cancer ke cells ka virodh karte hai. Colon cancer aur prostate cancer mai to iska bhaut labh hai. Kuch sodho ke anusar proanthcyanidins, chote tumors ke roktham mai bahut hi sahayak hai. Cranberry mai moujud cell Brest cancer cell ki vraddhi ko bhi rokte hai.
Brain Power Ko Badhaye
Ek sodh ke anusaar pata chala hai ki Cranberry mai paye jane wale antioxidant tatva aur anti inflammatory gun yaddashat shakti badane mai sahayak hote hai. Yadi aap chahte hai ki aap ki yaddashat hamesha acchi bani rahe to niyamit rup se cranberry ke sevan kare.
Vajan Kam Karne mai Sahayak
Karonde ke ras ko rojana pine se yeh sharir ki charbi ko gala deta hai, jisse aapka vajan dhire dhire kam hone lag jata hai. Cranberry fiber se bharpur hote hai jisse aap hamesha urja se bharpur mehsus karenge.
Dil Ko Swasth Banaye
Ek sodh se pata chala hai ki cranberry LDL cholesterol ko kam nahi karta hai lekin HDL cholesterol ko badata hai. HDL accha cholesterol hota hai jo rakt dhamniyo ko behtar karne mai madad karta hai jisse heart attack hone ki sambhavna kam ho jati hai. Iske alawa cranberry mai polyphones mojud hota hai jisse dil ki judi bimariya nahi hoti.
You May Also Like:-Janiye Cancer Causing Foods se Jude Kuch Tathaye
Cranberry Juice Benefits: Anya Labh Inhe Bhi Jane
- Iske rus ka niyamit rup se sevan karne par stan cancer se bacha ja sakta hai.
- Yeh sharir mai moujud vasa ko bhi toudata hai jisse vajan ghatane walo ke liye yeh behad upyogi hai.
- Cranberry Juice mai prachur matra mai calcium hota hai jisse haddiya majbut hoti hai.
- Isse ras ke niyamit sevan se raktchap ki samasya mai bhi labh hota hai.
- Yeh hamare sharir ko rogo se ladne mai sahayata pradan karta hai.
- Jo log ise niyamit tour par lete hai unke chehre par zhuriya nahi padhti hai.
- Isme cancer aur tumor ko rokne ki bhi shamta hai.
- Yeh gale mai khansi, saans aur anya samasyao ko rokne mai madad karta hai.
- Yeh ek poshtik ras hai to stanpan karane wali mahila iska acche se labh utha sakti hai.
- Jinki yadast kamjor hai unhe iska sevan jarur karna chahiye.
- Antioxidants se bharpur hone ke karan isse immunity system sudharta hai.
- Yeh sharir mai Blood Platelets ki sankhya ko badhate hai.
- Yeh pet ki diwaro aur aanto ko salagn karne se rokta hai. Aur is tarah alsar jaise bimari ko bhi thik karta hai.
Khayal Rahe
- Agar ise jyada matra mai liya jaye to pet ki pareshani aur dast ho sakta hai.
- Isme chini ki uccha matra hoti hai. Isliye madhumeh ke marijo ko iska sevan simit roop se hi karna chahiye.
- Iska adhik roop se sevan rakt ko bahut jyada patla kar deta hai.
- Jin logo ko Aspirin se allergy hai wo uska sevan na kare.
- Agar aapko raspberry ya fir blueberry se allergy hai to Cranberry ka sevan karne se pehle chikitsak se paramarsh jarur kar le.