Diet Chart for Weight Loss in Hindi: 7 Din Mai Motapa Kam Karne ke Liye Diet
Kya aap apne badte vajan ko lekar pareshan hai aur jaldi vajan kam karna chahte hai. To aaiye jante hai Diet Chart for Weight Loss in Hindi, aur kam kijiye apna vajan wo bhi bas 7 din mai. Isse aapko kafi had tak positive result milega.
Vajan ghatane ke liye jaruri hai ki kam khane ki jagah yeh jaan liya jaye ki kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye. Aksar hume lagta hai ki khana kam khane aur gym jane se vajan ghatne lag jata hai, jo ki galat hai.
Vajan ghatane ke liye aapki aahar yojana me poshak tatvo ko shamil karna chahiye. Ek saath jyada khane ki jagah thodi-thodi der me kuch healthy khate rahana chahiye. Janiye Diet Chart for Weight Loss in 7 Days in Hindi.
Diet Chart for Weight Loss in Hindi: Motapa Kam Karne ke Liye Diet
Jarur aap apna vajan jaldi kam kar sakte hai. Kai sari diet hai jo tezi se Weight Loss me madad karte hai, unme aapko bhukh lagne lagti hai aur kuch kha nahi sakte hai. Lekin kuch visheshagyo ka manana hai ki aap diet kiye bina bhi apne vajan ko kam kar sakte hai. Bas aapko apne jivan shaily me kuch kadam uthane ki avashyakta hai.
Fat ka ek pound 3500 calorie ke barabar hota hai. Aahar aur vyayam sanshodhan ke madhyam se ek din me 500 calorie kam karke aap ek week me karib ek pound vajan kam kar sakte hai. Yadi aap sirf apna vartaman vajan banaye rakhna chahte hai to pratidin 100 calorie nasth karna bahut hai, isse aap ek se do pound vajan kam kar sakte hai.
Diet par jaye bina bhi bhi vajan kam karne me madad karne ke liye inn saral dard rahit tips ko apnaiye aur 7 din mai apne andar antar dekhiye.
-
Har Din Nashta Kare:
Bahut se log sochte hai ki nashta nahi karna calorie kam karne ka accha tarika hai, lekin ve aamtour par din bhar me adhik khate hai. Nashte mai ek hi cheez nahi khani chahiye balki ise badalte rahana chahiye. Sharir ko urja sirf nashte se hi milti hai jo aapki daily diet me aham bhumika nibhata hai.
-
Pani ki Kami se Bache:
Din bhar me 3-4 liter pani aur taral padarth ka sevan kare. Pani na sirf fat kam karta hai balki sharir se jaharile tatvo ko bhi nikalta hai. Yeh bhukh kam karta hai aur kabj ko rokta hai. Pani ke alawa nariyal pani, phalo ka juice, soup, nimbu pani ka prayog bhi kar sakte hai.
-
Lunch me Dhyan Rakhe:
Lunch kesa ho, yeh janana behad jaruri hai. Dopahar ke khane me daal, ahri sabji, roti, taaza dahi ya chawal lena chahiye. Salad ko bhi isme shamil kare. Dhayan rakhe khane me wo sabhi tatva shamil ho jo multi vitamins ki kami ko pura kar sake.
-
Dinner Jaldi Kare:
Raat ka khana supachya aur halka hona chahiye. Dinner raat ko sone se 2 ghante pahale kar lena chahiye. Isse khane ko pachne ka paryapt samay milta hai. Raat me daal, rajama, chawal ke sevan se bache, kyoki yeh aasani se pachti nahi hai.
You may also like:- Weight Loss Tips in Hindi: Vajan Kam Karne ke Upay
-
Apna Bhojan Chabaye:
20 minutes ka ek timer set kare aur khud ko dekhe ki aap kitni dhimi khana khate hai. Yeh jatil diet yojana ke bina vajan kam karne ke abhyaas ki mukhya aadato me se ek hai.
-
No Fat Wale Dairy Products Use:
Diet Chart for Weight Loss in Hindi ki baat kare to yeh sabse faydemmand hai. Vajan ghatane ke liye fat badane wali chizo se bache. Toned Milk me fat nahi hota hai, aap chahe to niyamit roop se ise pi sakte hai.
-
Soup Piye:
Bhojan ki shurvaat me soup le, kyuki yeh aapki bhukh ko niyantrit rakhta hai aur khana khane ki kriya ko dhima kar deta hai. Cream yukt soup nahi le, yeh vasa aur calorie me uccha ho sakta hai. Isliye apni niyamit diet me soup ko jarur shamil kare.
-
Yoga aur Dhyan Kare:
Ek adhyayan ke anusar jo mahilaye yoga karti hai unme anya kit ulna me vajan ghatane ki kshamta jyada hoti hai. Niyamit yoga karne wale log apne khane ke prati jagruk drashti kon apnate hai.
-
Green Tea Piye:
Green tea ka sevan aapke badte vajan ko kam karne me bahut madadgar hota hai. Iska sevan karne se aapko bahut had tak laabh milta hai.
-
Chini Kam Khaye:
Niyamit liya jane wala soda jese chini yukt paiy ki jagah pani ya shunya calorie wale fruit juice le aur aapko 10 spoon chini se dur rehna hoga.
-
Ghar ka Khana Khaye:
Ek week me kam se kam 5-6 din ghar par bana huya hi bhojan kare. Ek upbhokta report sarvekshan me paya gaya hai ki vajan kam karne me safal huye logo me yeh aadat sirsh par thi.
-
Bhojan se Pahale Phal Khaye:
Kisi bhi bhari bhojan se kam se kam 30 minute pahale phal khane ki salah di jati hai. Iss tarah phal jaldi pach jayga. Khali pet par phal khane sebadte vajan ko kam karne me madad milti hai aur aapko urja milti hai.
Diet Chart for Weight Loss in 7 Days in Hindi: Vajan Kam Karne ke Behatrin Tips
Vajan kam karne ke liye apnaiye inn tips ko kijiye apna badta vajan kam wo bhi sirf 7 dino mai. Iss diet plan ke tahat vyakti apne aahar me carbohydrate ki matra ko kam deta hai aur dire-dhire ise badata hai.
You may also like:- Motapa Kam Karne ke Upay: Apna Wazan Ghataiye
Yeh diet plan fat kam karne me madadgar hota hai. Aaiye jante hai Diet Chart for Weight Loss in 7 Days in Hindi.
Weight Loss Diet in Hindi – Step 1
Iske pahale charan mai aamtour par 2 week ke liye hota hai. Ek se 2 week aapko 12 se 15 gram carbohydrate pratidin lena chahiye. Iss douran aapko chicken, red meat, ande, paneer, fish, tel, masale aur jadi booti ka sevan nahi karna chahiye. Iske alawa yadi aapne yeh diet plan shuru kiya hai to alcohol bilkul bhi nahi lena hai. Subah ke nashte mai aap kele ka sevan kar sakte hai, yadi aapko anda bahut pasand ho to kha sakte hai wo bhi kewal nashte mai hi le. Iske alawa aap din mai 2 baar snacks bhi le sakte hai.
Weight Loss Diet in Hindi – Step 2
Iss diet plan me aap apni niyamit carbohydrate ki matra ko badakar 25 gm pratidin kar sakte hai. Iss aahar yojana parinam iske 2 week me dikhne lagte hai. Iske dusre charan me yani 2 week baad nashte me 2 ando ko saath hari sabjiyo aur taaze phalo ka sevan kar sakte hai. Dopahar ke khane me paneer, gobhi ke saath salad kha sakte hai. Raat ke khane me maans ke saath sabji le sakte hai. Isme carbohydrate ki matra kam hoti hai, snakes me kaddu ke beeh, phal aur paneer ke tukade kha sakte hai.
Weight Loss Diet in Hindi – Step 3
Iske 3 step me carbohydrate ki matra ko dobara lena shuru karna chahiye jo aapke aahar me pahale se shamil tha. Iss douran aapka vajan kam hota hai tab bhi aap apne diet me pratyek week 10 gm carbohydrate shamil kijiye. Iss me aap soup, salad, phal lijiye. Raat me khane me gehu, sabut anaj aur brown rice khaiye.
Weight Loss Diet in Hindi – Step 4
Iske 4 step mai yani last charan ka palan jivan bhar karna hota hai. Isliye iss charan ko life time maintenance kahate hai. Iss charan tak aap yeh nirdharit kar lete hai ki aapko konsa aahar sabse jyada pasand aaya. Iske pratyek aahar me 10 se 20 gm carbohydrate hota hai, isliye ise aap aasani se chun lete sakte hai.
Aapne vajan kam karne ka pran liya hai to diet chart ka palan jarur kijiye. Apnaiye Diet Chart for Weight Loss in Hindi aur iske saath khane ko ek baar mai khane ki jagah thodi-thodi der me khaye. Saath hi Vajan ghatane ke liye aahar yojana me poshak tatvo ko shamil karna chahiye.
Motapa Kam Karne ke Liye Diet ki adhik jankari ke liye click kare yaha par:- Weight Loss.