Peanut Oil Benefits, Mungfali ke Tel Ke Bemisaal Fayde

Mungfali ka tel, bharat ke kai pranto ki kitchen mai istemaal kiya jata hai. Lekin kuch pranto mai swaad ke karan log isko istemaal ke karne se katrate hai.

Parantu iske swasthvardhak guno ke bare mai dekhe to aap payenge ki isme kisi anya tel ki apeksha jyada gun hote hai. To chaliye hum aapko batate hai, Peanut Oil Benefits.

Mungfali ka tel mai cholesterol ka level ghatane, dil ko swasth rakhne, cancer se ladane aur pachan prakriya ko doorust banaye rakhne ke gun paye jate hai. Iss tel mai oleic acid, stearic acid, palmitic acid and linoleic acid hota hai, jo swasth ko behtar bana deta hai.

Chuki isme fatty acid, asantulit matra mai nahi hota hai, isliye sharir mai fats bhi nahi bante hai. Aise mai hajaro gun se bhare yeh mungfali ka tel bahut hi faydemand hota hai.

Peanut Oil Benefits

Peanut Oil Benefits, Mungfali ke Tel Mai Chupe Hai Swasth, Baal aur Twacha ke Liye Laabh

Massage

Mungfali ka tel sirf kitchen mai hi nahi balki sharir ki sundarta aur tanav ke liye bhi istemaal kiya jata hai. Saath hi saath iska upyog, kai bimari ke ilaj mai bhi kiya jata hai. Iss tel se massage karne par jodo ke dard mai aaram milta hai. Kyoki yeh Vitamin E se bharpur hota hai. Isse massage karne se twacha mai bhi chamak aa jati hai.

Dil ko Swasth Banaye

Peanut Oil Benefits mai sabse aham bhumika yaha hoti hai. Yeh aapko dil ki bimari se bachata hai. Mungfali ka tel ke sevan se sharir mai fats ki jayda matra nahi pahuchahti hai. Jisse sharir ka bad cholesterol nahi badta hai. Iss tel ke sevan se artery coronary disease namak bimari nahi hoti hai. Saath hi dhamniyo me rakt ka prabhav aachi tarah hota hai.

You may also like:- Health Benefits of Peanuts: Mungfali Ke Bahumulya Fayde

Blood Flow

Peanuts mai Linoleic acid hota hai, jiss mai aise gun hote hai jo sharir ki karya kshamta ko doorusat karte hai. Saath hi pure sharir mai blood ka flow acche se karte hai. Jisse aap hamesha swasth rahte hai.

Cholesterol

Kisi bhi tel ke istemaal se pahle cholesterol ka bhi khayal sabse pahle aata hai. Mungfali ke tel mai aisi samasya nahi hoti hai. Isme bad cholesterol nahi hota hai. Jisse motape ka khatra nahi hota hai.

High Blood Pressure

Isme vasa ki matra bahut kam hoti hai, jo sharir me high blood pressure ko hone se bachati hai. Isme dil ke rog ke hona ka khatra kafi had tak kam ho jata hai.

Peanut Oil Benefits: Paiye Lajavaab Fayde Aapkii Healthy Life ke Liye

Dane ke Upchar

Mungfali ke tel me 2 se 3 bunde nimbu ke ras ki milakar lagane se sharir par nikalne vale dane ka upchar ho jata hai. Yeh ek prakaar ka natural skin care hota hai. Dry skin par ise lagane se kafi had tak aaram milta hai.

Pet ki Samasya Dur Bhagaye

Mungfali ka sevan karne se pet se sambandhit har samasya dur ho jati hai. Kabj, Pachan Kriya, Diarrhoea aadi rogo se nijaat mil jata hai.

Sharir Majboot Banaye

Iss oil mai protein ki matra kafi jyada hoti hai. Har din nishchit matra mai bhojan banate samay iska use kare. Iska sevan kare, jisse apka sharir majboot banta hai.

Peanut Oil

Aromatherapy

Iss oil ko Aromatherapy mai bhi istemaal kiya jata hai. Isse massage karvane se aur worm bath mai iska istemaal karne se twacha mai nikhar aur chamak aa jati hai.

Diabetes Control

Jin logo ko diabetes ki samasya hoti hai, unhe khaaskar mungfali ke tel ka hi sevan karna chahiye. Iss oil ke sevan se sharir mai insulin ki paryapt matra bani rahti hai. Saath hi ye blood sugar level ko bhi control mai rahta hai.

Twacha ki Dekhbhaal

Bahut se lotion aur cream mai peanut oil hota hai. Jisse aapki skin mai chamak aati hai. Aap chahe to nahane se pahle iss oil se massage karke naha lijiye. Isse aapki skin bahut sundar ho jayegi.

Dandruff

Agar aapke baalo mai rusi hai to mungfali ka tel lagaye. Iss oil ko lagane se teen ghante baad baalo ko wash kar le. Yeh dandruff ko hatane ka natural antiseptic hai, jo hamesha ke liye sar ki iss problem ko khatam kar deta hai.

Acche Lips

Apne hotho ko sundar banane ke liye. Ek mug mai garam pani bhar lijiye. Aur isme iss oil ki kuch bunde mix kar lijiye tatha thodi der baad iss pani se apne hontho par massage kijiye. Isse aapko honth sundar ho jayege. Fir cotton se apne hontho ko poch lijiye.

Swasth Baal

Peanut Oil Benefits ki baat kare to iska sabse bada fayda yeh hai. Yeh aapko swasth baal pradaan karta hai. Iss oil ko sar mai lagane se baalo mai honi vali protein ki kami ko dur kiya ja sakta hai. Baalo ko paryapt poshan pradaan karne ke liye iss oil ka use niyamit roop se kijiye. Saath hi yeh do muhe baalo ko bhi dur karta hai aur aapko kale ghane aur sundar baal pradaan karta hai.

Upar aapne jane Peanuts Oil ke fayde aapki skin, health aur hair ke liye. To agar iss oil se aapko itne bemisaal fayde milte hai to aaj se hi iska use start kar do aur hamesha ke liye swasth raho.

Peanuts Oil se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...