Home Remedies for Insomnia: Anidra Se Bachne ke Upay

Hamare jivan mai jitna jaruri kaam-kaaj hota hai utna hi jaruri bharpur neend lena bhi hota hai. Lekin aajkal ke log apne kaam mai itna vyast ho gaye hai ki unhe kai prakar ki tention aur tanav hone laga hai. Iss wajeh se logo mai neend na aane ki parshani dekhne ki mil rahi hai.

Dinbhar ke kaam ke bad yadi hamare sharir ko puri tarah se neend nahi milti hai to kai prakar ki bimariya jakad leti hai. Neend na aana anidra ki bimari hoti hai. English mai ise Insomnia kaha jata hai. Yeh anidra ki bimari yadi lambe samay tak hone lage to yeh pareshani ka karan ban sakti hai. Aur kai bar anidra ki parshani itni badh jati hai ki yeh mansik sthiti ko bhi kharab kar deti hai.

Chikitsako ki mane to ek swasth manushya ko 7 se 8 ghante ki neend avashya lena chahiye. Ek bharpur neend dimag, swasth aur mansik vikas mai vraddhi karti hai. Fir bhi kuch log aese hote hai jo ki kaam ke chalte apni neend ko bhul jate hai aur baad mai pareshani hone par nind ki dawaiyo ka sevan karne lagte hai.

Bharpur neend aur aaram ke liye aaiye jane Home Remedies for Insomnia in Hindi, jiski madad se bina dawaiyo ke bharpur neend lee ja sakti hai.
 

Home Remedies for Insomnia in Hindi: Anidra Ka Gharelu Upchar

 
Home Remedies for Insomnia
 

Apne Bedroom Ko Saf aur Vyavasthit Rakhe

Bharpur neend lene ke liye hamare sone ka sthan saaf aur suthra hona bahut jaruri hota hai. Yadi hamare aaspas ka vatavaran saaf nahi rahega to ghar ko saaf karne ka ek aur tanav neend mai badha ban sakta hai.

Iske sath hi sharir ko aaram dene ke liye kamre ki light ko band kar dena chahiye kyonki jalti hui light bhi neend mai rukavat ban sakti hai. Iske sath hi aaspas ki khidkiyo ko khula rakhe jisse taji hawa aa sake.
 

Hari Sabjiyo Ka Jyada Sevan Kare

Hari sabjiyo ka sevan na keval swasth ke liye faydemand hota hai balki ek behtar neend ke liye bhi bahut jaruri hota hai. Iske sath hi jinn sabjiyo ke patte bahut bade hote hai aur jinme lislisapan hota hai unka sevan karna chahiye, inke sevan se neend aane mai kafi madad milti hai. Palak ka sevan bhi bharpur neend lane mai madad karte hai.

Bharpur neend lene ke liye raat ko sote samay ek glass dudh ke sath ek chammach shahad ko le. Iske atrikt sone se pehle kele ka sevan kare yeh sharir se serotonin namak chemical ko bahar nikalne mai madad karta hai aur neend lane mai madad karta hai.
 

Jyada Unghai(Nape) Se Bache

Din mai kam karte wakt kuch logo ko bahut unghai aati hai. Yeh unghai bhi causes of insomnia hota hai. Isliye din ke samay apne aap ko jyadatar kam mai vyast rakhna chahiye.
 

Sone Ka Samay Nirdharit Rakhe

Bharpur neend lene ke liye sabse jaruri hot ahai sone ka samay nirdharit hona. Kuch logo ke sone ka samay hamesha badalta rehta hai, iss wajeh se neend bhi kabhi bhi aane lagti hai. Isliye sone ka samay nirdharit karke rakhna chahiye.
 

You May Also Like: Home Remedies for Dark Underarms: Bagal ka Kalapan Hataye

 

Caffeine, Sharab aur Nicotine Ke Prayog Se Bache

Sone se pehle sharab aur caffeine ka sevan bhi anidra ka karan banta hai. Isliye raat mai inke sevan se bachna chahiye. Sath hi sham ke samay dhumrapan karna bhi Insomnia ka karan banta hai.
 

Magnesium aur Calcium

Apne aahar mai magnesium aur calcium se bharpur bhojan ka sevan karna chahiye. Yeh dono hi neend ko badhane wale chemicals kahe jate hai. Inke sevan se sharir ko dil ki bimari hone ka khatra bhi kam ho jata hai. Isliye rojana raat mai 200 gram magnesium aur 600 gram calcium ka nishchit rup se sevan kare.

Lekin dhyan rahe magnesium ka jarurat se jyada istemaal se bache. Kyonki iski adhikta Diarrhea ka karan banti hai.
 

Yog aur Vyayam Bhi Hai Madadgar

Yoga se kai prakar ke rogo se nijad paya jata hai. Lekin kya aap jante hai ki yoga se neend na aane ki samasya bhi dur ho jati hai? Vajrasana, Shavasana aadi kai aese yog hote hai jinhe karne se neend na aane ki samasya mai labh milta hai. Iske alava thoda bahut vayyam aur pranayam bhi neend lane mai madad karte hai.

Iske alava yadi aap raat mai kitabe padhne ke aadi hai to isse bache. Kyunki raat mai sone ke samay jyada kitabe padhne se neend gayab ho jati hai.
 

Home Remedies for Insomnia in Hindi: Anya Upaye Inhe Bhi Jane

  1. Rojana subah aur sham 200 se 250 gram gajar ke ras ka sevan karne se neend na aane ki samasya dur ho jati hai.
  2. Yadi neend na aaye to pyaj ko aag mai bhunkar ras nikal lijiye. Rojana 2 chammach iss ras ka sevan kare, isse neend na aane ki pareshani se nijad paya ja sakta hai.
  3. Sonf, ajvain ya jayfal ka rojana sevan karne se acchi neend aati hai.
  4. Raat mai sote samay green tea ka sevan karne se bhi aachi neend aati hai.
  5. Rojana sone se pehle pair aur haath ke talve ki malish kare. Aesa karne se rakt ka pravah sahi hota hai aur acchi neend aati hai.
  6. Yadi jyada neend na aane ki shikayat hai to salad ya patte ka sevan kare. Yeh thakavat, depression aur anidra ki pareshani se nijad dilane mai madad karte hai.

Upar aapne jana Home Remedies for Insomnia in Hindi.  Yadi aap bhi neend na aane ki samasya se pareshan hai to upar dee gayi home remedies ko apnaye aur acchi neend le.

Loading...

You may also like...