Gharelu Nuskhe in Hindi for Long Hair: Paaye Lambe Baal

Kaale, sundar aur chamakdar baal naari ki sundarta mai chaar chand laga dete hai. Purane samay mai hair ke rakh rakhav aur nikhar ke liye nariya anek tarike istemaal mai lati thi, jinse vastav mai hi hair kaale, ghane, majboot aur chamakdar bante the. Home Remedies in Hindi se aapke hair ki samasya kaafi had tak samapt ho jayegi.

Long Hair ke liye sirf acche utpaado ka istemaal hi jaruri nahi hai balki hair ki sahi dekhrekh bhi bahut jaruri hai. Kai baar mahenge utpaado se hair poshak tatva hasil karne ke isthan par samay se purv tut kar girne lagte hai, saath hi safed (White) hone lagte hai.

Iske saath hi upyukt aahar ka sevan na kiya jaaye to bhi baalo ki growth ruk jaati hai. Gharelu Nuskhe in Hindi for Long Hair se aap inn sabhi samsyaoo se chutkara paa sakte hai jo ki aapke liye bahut faydemand hoga aur phir aap sundar dikhege.

Gharelu Nuskhe in Hindi for Long Hair: Lambe Baalo ki Sahi Dekhbhal

You may also like: Hair Care Tips in Hindi: Prakritik Roop se Ghana Banaye

Tel (Oil)

Gharelu Nuskhe in Hindi mai hair ke liye oil massage atyant faydemnad hai. Long hair karne ke liye samay samay par tel ki massage kare. Saptah mai kam se kam hair ko tel hi nahi lagana hai balki acche se malish bhi karni hai, taki tel jado tak jaa sake. Isse aapke hair ko bharpur potion milega aur baal bhi lambe honge.

Faydemand Powder

Amla, aritha aur shikakai ke powder ko raat mai paani ke saath gala kar rakh de aur subah iss paste ko lagakar hair dho le. Iss paste se baal safed hone aur jhadne se bachenge.

Poshtik Churna

Kala til, brahmi aur amla ko mix karke churna banakar rakhe aur rozana ek chamachh sevan karne se hair ko poshan milega, saath hi aapke baal long aur ghane hoge.

Chai Patti

Long hair ke liye chai patti ko thode se pani mai ubaal le. Iske thanda hone par ise baalo ke jado mai laga le. Hafte mai kam se kam 1 baar iss kriya ko jaroor kare. Isse aapke hair majboot ho jayenge.

Gharelu-Nuskhe-in-Hindi-for-Long-Hair

Amla

Baalo ko majboot aur Ghana banane ke liye amla ka pryog bahut hi faydemand hota hai. Amla khaya ja sakta hai aur baalo mai bhi lagaya ja sakta hai. Amla ko lagane se baal chamakdar aur majboot hote hai. Agar aapke baal kale nahi hai to amla aur ritha ka powder lagaye, baal kale ho jayege. Amla ke juice week mai 1 baar lagane se baal majboot hote hai.

Massage Kare

Baalo ko majboot banane ka sabse accha prakritik upay hai baalo kit el se massage kare. Massage karne se pehle tel ko garam kar lijiye, uske baad baalo mai malish kare, isse aapke baal majboot aur ghane hoge aur unka jhadna bhi band ho jayega.

How to Grow Long Hair: Badhaye Baalo ki Growth

Janiye humari Home Remedies tips baalo ko lamba karne ke liye:

  • Baal Dhote Samay: Yadi aap week mai 3-4 baar baal dhoti hai to koshish kare har bar hair ko dhone se ek ghanta pahle tel ya fir dahi lagaye. Dhyan rahe scalp oily na ho tabhi lagaaye.
  • Mehandi Pack: Long hair ke liye ek ya do mahine mai baalo mai mehandi pack bhi laga sakte hai. Jisse hair ko poshan sahi tarah se milega aur baalo ki acchi growth hogi.
  • Methi Dana: Methi Dana ka paste banakar lagane se hair long aur ghane hote hai. Iske saath hi hair ko conditioning karne ke liye shikakai bahut faydemand hota hai.

You may also like:- Long Hair Tips in Hindi: Baalo ki Lambai Badhana Hua Aasan

How to Stop Hair Loss: Inn Tariko se Roke Baalo ka Jhadna

Dhaniya

Hare dhaniye ka paste banakar apne baalo mai lagaye jisse aapke long hair jhadna kam ho jayenge.

Kele ka Guda

Gharelu Nuskhe in Hindi for Long Hair mai kele ka guda nikalkar use nimbu ke ras mai milakar sar par lagane se hair ke jhadne ki samasya kam hoti hai.

Pyaj (Onion)

Pyaj ko kaatkar uske 2 hisse kar lijiye. Jiss jagah ke hair jhad gaye ho vaha par aadhe pyaj ko 10 minute tak roz ragde. Hair jhadna band hoga saath hi baal fir se ugne lagege.

Get more about Long Hair from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

You may also like...