Hair Fall Tips: Baalo ki Problems ka Solution Minto Mai
Hair Fall ek common problem hai jo har kisi ko hoti rahti hai. Dekha gaya hai ki har umar ke log iss problem se pareshan rehte hai. Agar aap bhi is samasya se grasit hai to chaliye aaj hum aapko batate hai Hair Fall Tips in Hindi.
Baal girne ke mukhya karan hai, pollution, khan-pan me kami, poshak tatvo me kami, tanav aadi.Girte baalo ko rokne ke liye bazar me kai tarah ke products available hote hai, lekin inme se kai aise hote hai jo aapke baalo ki samasya ko bada dete hai.
To hair fall rokne ke liye accha hai ki aap ghar par hi kuch aise hair mask banaye, jo aapko natural tarike se iss problem se bachaega. To chaliye aaj hum batate hai kuch hair masks ke bare me.
You may also like: Long Hair Tips in Hindi: Padiye Lambe Baal Hone Ke Raaz
Hair Fall Tips: Baal Girne ki Samasya se Bachne ke Asaan Tarike
Ande ki Jardi aur Green Tea ka Mask
Anda khane me aur paryog karne dono me bahut hi faydemand hota hai. Isme protein paya jata hai, jo aapke baalo ko majboot banane me help karta hai, jabki green tea me antioxidant paya jata hai. Ek ande ki jardi aur 2 chammach green tea lijiye, iska paste banakar baalo ki jado me lagaiye aur 30 min ke baad baalo ko dho lijiye. Iss mask ko week me kam se kam 3 bar use kariye aur rahiye Hair Loss ki pareshani se dur..
Pyaaj ka Mask
Hair Fall Tips me Pyaaj ek bahut important part hai. Isme antioxidant bharpur matra me hota hai, jo baalo ko girne se bachata hai. Iska mask banane ke liye teen pyaaj ka ras nikal kar isme fitkari ka chhota tukda daal dijiye, phir is mask ko apne baalo me raat bhar ke liye laga lijiye. Subah uthkar shampoo kar lijiye. Is paryog ko week me kam se kam 2 bar jarur kijiye.
Ande ki Jardi aur Kele ka Mask
Ek kele ko acche se masal lijiye, phir isme ande ki jardi ko mix karke paste bana lijiye. Is paste ko apne baalo me 30 se 40 minutes ke liye laga kar chod dijiye, phir halke gungune pani se apne baalo ko dho lijiye.
Shahad ka Mask
Ek chammach shahad, ek chammach rum, ande ki jardi, Vitamin A aur E ke Capsule ko lekar acche se mix kar le, phir is mask ko baalo ki jado ke saath pure baalo me lagaiye aur halki garam theli ko baalo par lapet kar ek gante ke liye chod dijiye, baad me shampoo se apne baal dho lijiye.
Oatmeal Hair Mask
Ek chammach taza dudh aur ek chammach oatmeal lijiye, ise mix karke mota paste bana lijiye, is paste ko baalo me lagane se pahle baalo me acchi tarah se kanghi kar lijiye aur paste ko laga lijiye, phir 20 minutes ke baad shampoo kar lijiye.
Upar humne aapko Hair Fall Tips ke bare me bataya hai. To agar aap bhi baal girne ki problem se pareshan hai to, inme se koi bhi mask ko apna kar is pareshani se chutkara pa sakte hai.
Vese baal girne se bachne ke liye mask ke alava santulit aahar, vyayam aur bharpur neend bhi bahut jaruri hai.
Get more details about Hair Fall Tips from Beauty.