Halasana in Hindi: Plow Pose Ki Vidhi aur Labh

Yog karna swasth ke liye bahut accha hota hai. Rojana yog karne se man ko shanti tatha sharir ko sfurti milti hai. Yog ke antargat kiye jane wale aasano se kai tarah ki sharirik bimariyo mai labh milta hai. Yahi wajah hai ki duniya bhar mai yog ko lekar utsukta dekhne ko milti hai.

Yog ke kai aasano mai se halasana bhi ek hai. Iss aasan ko karna bahut saral hai. Yadi aap yog ke liye naye bhi hai tab bhi aap ise aasani se kar lenge. Halasana ko angreji mai plow pose bhi kaha jata hai.

Iss aasan ko karne wakt sharir ki stithi khet jotne wale hal ke saman hoti hai. Yahi karan hai ki ise halasana kaha jata hai hai. Yadi aap vajan kam karna chahte aur ridh ki haddi ko majboot karna chahte hai to yeh aasan aapke liye bahut accha hai. Iss aasan ki vidhi aur fayde janne ke liye padhe Halasana in Hindi tatha iss aasan ko aap ghar par bhi kar sakte hai.
 

Halasana in Hindi: Reedh Ki Haddi Majboot Banane mai Sahayak

 
Halasana in Hindi
 

Halasana Steps – Ise Karne Ki Vidhi

Ek saaf suthri samtal jameen par chatai ya aasan ko bichaye. Iske bad jameen par sidhe arthat peeth ke bal let jaye, aur dono pairo ko mila le. Hatho ki hatheliyo ko kamar ke paas jameen se ek dam satakar rakhe.

Aapka muh aasman ki taraf hona chahiye aur aankhon ko puri tarah band kar de tatha sharir ko puri tarah dhila chhod de.

Ab saans ko andar ki tarf lete huye pet ko sikude aur pairo ko upar ki taraf uthana shuru kare. Aapki stithi sarvangasana mai aane ke bad dono pairo ko sar ke piche ki taraf le jaye aur jameen par tikane ki koshish kare.

Hatho ki sahayata se kamar aur peeth ko jhukaye tatha hatho ko kuhniyo ki taraf se sidha rakhte huye peeth ke piche ki taraf jameen se laga kar rakhe. Shuru mai peeth piche ki taraf jyada nahi jhukh payegi iske lagatar abhyaas karne se sahi stithi banegi.

Iss stithi mai 30 second tak ruke rahe aur iss aasan mai aap apni shamata anusar bhi ruk sakte hai. Pure aasan mai saanso ki gati ko samanya banaye rakhe. Ab dheere dheere peeth aur pair ko jameen ki taraf punh stithi mai laye.  Yaad rakhe pure aasan mai guthno ka na moude.
 

You May Also Like:- Butterfly Yoga Benefits in Hindi – Titli Aasan Ke Fayde Janiye

 

Halasana Benefits: Jane Iske Labh

  1. Iss aasan ko karne se yeh sharir ke bhitri ango ki malish karta hai sath hi mansik shamta ko badata hai.
  2. Yeh pachan tanta ko aur prajnan tantra ko majboot banata hai.
  3. Halasana anidra ki samasya ko bhi khatam kar deta hai.
  4. Dama ke rogiyo ko halasana ka abhyas karna chahiye.
  5. Isko karne se hriday majboot hota hai jise sharir mai rakt ka bahav teji se hota hai.
  6. Halasana pet par jami charbi ko hatata hai aur vajan kam karne mai sahayak hota hai.
  7. Halasana Yoga aasan ko karne se aankho ki roshni badti hai tatha guda rog se bhi nijat mil jati hai.
  8. Jo bhi vyakti madhumeh ke rogo se grasit hai unke liye yeh aasan bahut faydemand hai.
  9. Iss aasan ko karne se merudand ki haddi ki acche se massage ho jati hai tatha yeh ise majbooti pradan karne ke sath lachila bhi banata hai.
  10. Iss asana ko rojana karne se ekagrata badti hai tatha buddhi ko bhi badane mai sahayak hota hai.
  11. Iss aasan ko pratidin karne se chehre par sundarta badne ke sath chamak bhi badhti hai.
  12. Jin bhi striyo mai mahavari sahi se nahi hoti hai unhe iss aasan ko karne se fayda milega.
  13. Yeh ladkiyo ke liye bahut faydemand hota hai tatha unke sharir ko sudhol aur kamar ko patli banaye rakhta hai.
  14. Jin bhi mahilao ka garbhashay sthir na ho unhe iss aasan ko jarur karna chahiye kyuki isko karne se banjhpan dur hota hai.
  15. Iss aasan ko karne se rakt sanchar thik rehta hai tatha twacha se jude rog dur ho jate hai aur tan ki badbu kam ho jati hai.
  16. Halasana ko karne se thyroid aur parathyroid granthiya ki acche se malish ho jati hai jisse gale ke rog dur ho jate hai.

 

You May Also Like:- Kapalbhati Benefits: Weight Loss Karne Mai Sahayak

 

Halasana Ko Karte Samay Rakhe Savdhaniya

  • Jo bhi vyakti uchha raktchaap, kamar dard, gardan mai dard se pareshan hai unhe Plow Pose ko karne ka abhyas nahi karna chahiye.
  • Yadi aapke sharir ke kisi bhi hisse mai haddi tuti hai ya mocha aa gai hai to iss aasan ko na kare.
  • Yadi aapko dil se judi koi bhi bimari hai to halasana ko na kare.
  • Yadi kisi ke jodo ki katori khisak gai hai to iss aasan ka abhyas na kare.
  • Yadi striyo mai mahavari ka pehla ya dusra din hai to bhi iss aasan ka abhyas na kare.
  • Garbhavati mahila ko kisi bhi mahine mai halasana na karne ki salah di jati hai.
  • Yadi aapke sharir mai atyadhik charbi hai to apni shamata anusar iss asana ko kare. Yaad rakhe aapki shamta se jyada sharir par dabav na dale.
  • Pairo ko upar, piche tatha niche lane ki prakriya ko dhire dhire kare, dhyan rakhe pairo mai jhatka na de.

 
Upar aapne jana Halasana in Hindi. Yadi aap bhi uprokt labh chahte hai to iss aasan ka abhyas jarur kare. Yadi iss aasan ko karte wakt aapko kamar, gardan ya merudand mai dard hota hai to turant chikitsak ke pass jaye aur paramarsh le.

Loading...

You may also like...