Tips for Glowing Skin in Hindi: Aasani Se Paye Damakti Twacha
Bahut hi jald ab Navratri, Diwali jaise tyohar aane wale hai. Aur inn tyohar ke samay mai har koi sundar dikhna chahta hai. Aur sundar twacha ki pehchan saaf aur nikhari twacha se hi hoti hai. Isliye aajkal sondarya utpado ka bajar bhi kaafi badh gaya hai. Lekin baajar mai milne wale yeh cosmetic hamari twacha ko sthayi sundarta nahi de sakte. Twacha ko sundar banane ke liye prakratik chizo ka istemal karna hi sabse accha tarika hai.
Bajar mai milne wale adhikansh cosmetic utpado mai kathor chemicals hote hai, jo ki aapki twacha ke liye nuksan dayak ho sakte hai, aur inka side effect bhi ho sakta hai. Wahi dusri aur agar aap prakratik chizo ka istemal karti hai to aapki twacha swasth rahegi aur isme nikhar bhi aa jayega.
Yaha padiye Tips for Glowing Skin in Hindi, jisme gharelu nushke ke sath diet aur anya chize bhi shamil hai. Kyoki kai ladkiya upri taur par to har chize karti hai lekin acche aahar par dhyan nahi deti hai. Jis wajah se unhe chamakdar twacha nahi mil pati hai. Isliye glowing skin pane ke liye aapko apna har tarah se khayal rakhna hoga.
Twacha Ki Khubsurti Nikhare Inn Tariko Se
Chandan(Sandal)
Jab twacha ko chamkane ki baat aati hai to chandan ka naam sabse pehle dimaag mai aata hai. Twacha ko chamkane ke liye haldi, chandan powder, aur dudh ke ubtan ko twacha par lagaye.
Chandan ki Khasiyat: Antioxidant se bharpur haldi aur chandan twacha mai kasav lati hai. Jabki besan mrit twacha ko hatakar, twacha ko protein uplabdh karwata hai. Dudh twacha ki rangat ko nikharne ka kaam karti hai, aur twacha ko mulayam banati hai.
Papite(Papaya) Se bana Pack
Twacha ko mulayam banana ke liye papita ka guda, nimbu ka rus aur sehad sabko mix karke chehre par 10 min ke liye lagaye.
Iski Khasiyat: Papite mai Papen naam ka enzyme hota hai, jo prakratik tarike se mrit twacha ki parat ko utarta hai. Anti-bacterial gun se yukt shehad twacha ko mulayam banata hai. Jabki citric acid yukt nimbu twacha ko chamkane ka kaam karta hai.
Chini(Sugar) Se Banaye Scrub
Chini, Nimbu ka ras aur olive oil sab kuch milakar aap body scrub taiyar kar sakti hai. Mulayam twacha ke liye yeh scrub sahi hai. Iske mishran ko apne sharir par chini ghulne tak ragde. Isse twacha ki rangat nikharti hai.
Aloe vera
Aloe vera ki patti se jel nikale. Jel ko rui (Cotton) mai lagakar chehre par lagaye. Aadhe ghante ke baad gungune pani se dho le kaafi fayda milega.
Iski Khasiyat: Aloe vera twacha ko kai fayde pahuchata hai. Yeh nisan ko mitata hai, aur twacha mai khujali shant karta hai. Aloe vera mai antibacterial gun hai. Jisse muhase khatam hote hai. Itna hi nahi kasaele gun ke karan yeh dag-dhabbe ko bhi khatam karta hai. Isse lagane se twacha mai nami aati hai.
You may also like: Janiye Kuch Aasan Steps mai Yoga for Glowing Skin in Hindi
Avocado
Avocado ko dahi aur shehad aur dahi ke sath mix karke chehre par lagaye. Isse twacha mai nikhar aata hai.
Iski Khasiyat: Dahi mai lactic acid hota hai, jo twacha ki chamak barkarar rakhne wale cologne ka utpadan karta hai. Avocado mai aavyashak fatty acid hota hai, jo twacha ko naram, majbut aur adhik lachila banane mai madad karta hai. Shehad mai antioxidant hota hai, jo twacha ki chamak barkarar rakhne mai madad karta hai.
Khira(Cucumber)
Skin ko tarotaza rakhne aur chamak lane ke liye khira bahut prabhavi hai. Ek taze khire ka mota slice kat kar chehre par acchi tarah se ragde. Rat bhar usse twacha par chhod de aur subah pani se dho le. Bistar par jane se pehle isse roj kare.
Iski Khasiyat: Khira naa sirf twacha ko poshan deta hai, balki yeh twacha mai nami bhi banaye rakhta hai. Isme jo kasela gun hota hai. Wo twacha ki shratigast kosikao ki marramat kar skin mai chamak lata hai.
Khub pani Pijiye
Rojana khub sara pani pijiye, aur andar se tarotaza rahiye. Isse sharir se gandagi bahar nikalti hai, aur body nai naye cells bante hai. Iske alawa aapko har din do glass juice bhi avsaya lena chahiye. Isse skin mai poshan pahuchega aur skin glow karegi.
8 Ghante ki Nind le
Agar aap apne kaam kaj ke karan der rat tak jagti hai aur subah aapki nind puri nahi ho pati hai to, isse aapki skin par asar pad sakta hai. Din mai kam se kam 8 ghante jarur sona chahiye. Isse bhi aapki twacha fresh najar aati hai.
Nimu Ko kare Apni Diet Mai Shamil
Apni Diet mai nimbu ka prayog kare. Isme prachur matra mai Vitamin C paya jata hai. Jo ki sharir ki gandagi ko dur karta hai. Nimbu ko aap chahe to kisi bhojan mai chidak kar khaye ya fir garam pani mai dalkar pi le. Dono hi tariko mai yeh faydemand hai.
Iske alawa isse face par lagane se bhi aapko dugna fayda mil sakta hai. 1 chamaach nimbu ke ras mai gulab jal milaye. 15 minute apne sharir par laga ke rakhe fir pani se dho le. Isse dhire dhire aapki twacha ki rangat khulte jayegi.