Herbal Shampoo ke Dwara Paiye Khubsoorat Baal

Aaj kal har koi baao ki  samasya se pareshan rahta hai. Jiske liye na jana vo kya kya try karte hai. Saath hi kon-kon se shampoo ka istemaal karte hai. Aise mai unke baal acche hone vajah chemical ke karan aur kharab ho jata hai.

To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Herbal Shampoo. Jiss aap ghar par ise bana kar apne baalo ki saaf karke natural tarike se inhe khubsoorat dikha sakte hai. Kyoki inn shampoo ke use se  na sirf pese ki bachat hoti hai balki aapke baal bhi majbut hote hai.

Ghar mai banaye gaye prakrtik shampoo bazaar mai bikne vale anye shampoo ke mukable kahi behtar hote hai. Yeh  banane mai aasan hote hai aur baalo ke liye acche hote hai. Saath hi inhe  aap apne hisab se bana sakte hai, jisse amla, reetha aur shikakai dalan bahut jaruri hota hai.

Dinbhar ki dhul mitti aur pradushan bhare vatavarn ki vajah se baalo ki halat kharab ho jati hai. Saath hi roz-roz shampoo aur conditioner se baalo ka sara parkrtik tel khatam ho jata hai. Jisse baal bejaan aur rukhe lagte hai.

Agar aap ke baal bhi bejan lagne lage hai, To chemical vale shampoo ka paryog band kar dijiy. Aur ghar pa banaye gaye shampoo ka istemaal kijiye aur hamesah ke liye sundar dikhiye.

Herbal Shampoo

Herbal Shampoo mai Chupa Khubsoorat Baalo ka Raaz

Niche Bataye gayi samagri ke dwara aap aasani se apne ghar mai hi ek accha shampoo bana sakte hai. Saath hi  Apne baalo ki khubsoorati ke dwara apni personality ko behtar bana sakte hai.

  • Herbal Shampoo ki baat kare to reetha ka naam sabse pahle aata hai. Raat bhar amla, reetha aur shikaki ko alag alag bartano mai pani mai daal kar bhigo dijiye. Subah baal dhone ke vakat iss pani ko chhan lijiye aur Iss pani se apne baalo ko dhoiye. Iss shampoo se sar ki rusi , rukhapan aur baal jhadan ruk jayega. Saath hi Long Hair pane ke liye yeh bahut accha hota hai.
  • Shikakai, bhringraj aur amla powder ko gram pani mai mila lijiye. Uske baad nimbu ka ras aur sirak mila lijiye ab 30 minutes ke liye aapne baalo par lagaiye firsade pani se apne baalo ko dho lijiye. Isse scalp ki samasya aur rusi dono hi gayab ho jayengi.

You may also like:- Home Remedies for Dry Hair, Rukhe Baalo Ke Liye Upay

  • Reetha, shikakai, sukha amla aur brahmi ki paatiyo ko pani mai ubal le.Fir isko chhan le aur baalo mai laga le. Yeh herbal shampoo bahut hi faydemand hota hai. Iske acche result ke liye iska istemaal week mai kam se kam 3 baar jarur kijiye.
  • Raatbhar sukha reetha pani mai bhigo dijiye aur subah pis lijiye. Ab iss pani chhan kar isme shikakai powder daal dijiye aur acche se mix kar ke baalo mai lagaiye. Aap chahe to iss ghol ko apne shampoo mai bhi mila kar laga sakte hai.
  • 24 Ghante ke liye 1 liter pani mai amla, reetha, mehandi ke patte aur shikakai ko bhigo dijiye. Fir iss ghol ko ubaal lijiye tatha thanda hone dijiye. Ab isme sirka mila lijiye aur isse apne baalo ko dhoiye.
  • Reeth har shampoo aur sabun mai prayog kiya jata hai. Saath hi agar baala mai jua ho to bhi iska use kiya jata hai. Iss shmpoo ko banana ke liye 6 reetha le kar 2-3 cup pani mai raat bhar ke liye bhigo dijiye. Iske baad iss pani ko apne baalo par 15 se 20 minutes tak ke liye dale aur fir baad mai sade pani se apne baalo ko dho lijiye. Isse aapke baal bahut saaf najar aayenge. Aap cahhe to isme thodi se chhanch bhi mila sakte hai.
  • Baalo ko saaf karne ke liye backing soda ka prayog kijiye. Isme prakritik alkaline cleaners hota hai. Iss shampoo ko banane ke liye 1 chammach baking soda ko ek cup pani mai mila lijiye aur baalo par laga lijiye. Iske baad baalo ko 15 minutes baad acche pani se dho lijiye. Agar aapke baal isko lagane se dry lag rahe ho to shahad aur sirka ko milakar conditioner ki tarah lagaiye.

best herbal shampoo

  • Iske prayog se aap baalo ko aacha bana sakte hai. Iske liye 1-2 chammach sirka lekar garam pani mai milaiye aur halke haatho se sar mai 20 minutes ke liye massage kijiye . Acche hoga ki aap apple cider vinegar ka bhi prayog kare, jisse baal acche se saaf bhi ho jayege.
  • 2 se 3 egg lijiye ise pani mai ubaal lijiye . Ab iss pani se apne baalo ko saaf kijiye. Isse baalo natural tarike se sundar dikhte hai. To hum bol sakte hai ki, yeh ek accha Herbal Shampoo hai.
  • Dusra tarika hai ki aap egg ka yolk part lijiye ab isme honey mila lijiye. Ab isse apne baalo par shampoo ki tarah use karne ke liye isse apne baalo par laga kar massage kijiye. Aur thodi der baad apne baalo ko acche pani se dho lijiye.
  • 2 egg mai 2 chammach vodka aur 2 drop lemon juice mila lijiye. Ab iss ghol se pane baalo ko dhoiye.
  • 1 chammach baking soda ko 3 egg ke yolk hisse ke saath mix karke paste bana lijiye. Ab iss paste se apne baalo ko dhoiye.
  • Ek avocado ko pis lijiye aur isme ek chammach baking soda aur thoda sa pani mila lijiye. Aur iss paste se apne baalo ko dhoiye. Isse aapke baal bahut sundar dikhai denge. Saath hi aapke baalo ki asli chamak barkrar rahegi.
  • Ek chammach soda, ek egg aur ke chammach vodka aur thoda sa pani. Inn sab ko mix kar lijiye. Ab iss pani mai ubaal lijiye. Ab iss pani se apne baalo ko dhoiye. Aur hamesa ke liye sunda hair paiye.

Upar aapne jane  Herbal Shampoo ko kese banante hai. To bas der kis baat ki apne baalo ki khubsoorati ke liye aaj se hi inn prakritik cheezo ka istemaal kijiye aur hamesah sundar dikhiye.

Loading...

You may also like...