Home Remedies for Ant Bites: Chiti ke Katne Par Upchar

Chiti bhale hi bahut chhoti kyu na ho lekin iske katne par asahaniya dard hota hai aur agar laal chiti ne kaat liya hai to dard kuch ghanto tak rehta hai, iske liye aap inn Home Remedies for Ant Bites ko ajmaye aur swasth rahe.

Laal chiti, barr ke dank aadi mai farmic amal hota hai. Chiti ek farmic amal ko twacha mai pravesh kara deti hai jisse tez jalan hoti hai. Isse tez allergic reaction ho sakta hai. Ise medical science anaphylaxis ka naan diya jata hai. Isme bhayankar sujan aur dard hota hai. Iss dard se rahat pane ke liye aap humare dwara tips ko apna sakte hai.

Chiti ke Katne Par Hone Wale Lakshan

  • Twacha ka laal ho jana
  • Sujan (Swelling) aana
  • Minar pain hona
  • Itching hona

You may also like:- Makdi ke Katne Par Aise Kare Gharelu Upchar

Home Remedies for Ant Bites: Chiti ke Katne Par Apnaye Yeh Aasan Gharelu Upchar

Home Remedies for Ant Bites

  • Barf ki Sikhai:

Agar laal chiti wagareh ne kaat lene se aapki skin laal ho jati hai ya uss par sujan hoti hai to aap uss jagah ko barf se malkar thik kar sakte hai. Ek toliye mai kuch barf ke tukde le tatha madhumakkhi ke kaate hure bhaag par 20 minutes tak rakhe. Iski thandak se raht vahikaye sikud jayegi tatha dard aur khujali ka ahsaas nahi hoga.

  • Tea Bag aur Tulsi:

Chiti, macchar ya madhumakkhi jese kido ke katne par hone wali khujali, jalan aur sujan ko kam karne ke liye prabhavit jagah par 10 minute tak tea bag rakhne par aaram milta hai. Kuch taaze tulsi ke patto ko masle aur ise prabhavit bhaag par kuch der lagakar rakhe. Aaiye jante hai Benefits of Tulsi in Hindi.

  • Sendha Namak ka Lep:

Soa aur sendha namak ko chatni banakar lep karne se dard dur ho jata hai. Garm pani mai namak milakar sek karne se dard aur sujan thik hota hai. Kandhe ke dard tave par acche tarah garm kapde ki theli mai dalkar use sikai karne par rahat milti hai.

  • Toothpaste:

Yadi aapko kisi chiti ya madhumakkhi ne kata ho to aap ghar mai moujud colgate ya koi bhi anya toothpaste, jisme mint ki matra adhik payi jati hai. Usko chiti ke katne wale sthan par lagaye. Isse aap turant aaram milega. Isse jalan aur sujan dono hi thik ho jate hai.

  • Aloevera ka Istemaal Kare:

Aloevera gel aapki twacha ko thandak pradan karne mai madadgar hoti hai. Isse itching, dard aur sujan nahi hoti hai. Isko prabhavit jagah par lagane se aapko bahut fayda hoga.

Upar aapne jane Home Remedies for Ant Bites aur rahiye humesha swasth. Iski madad se aap twacha par aayi sujan, laal dhabbe ko hata kar humesha thik reh sakte hai.

Loading...

You may also like...