Home Remedies for Eye Wrinkle: Aankho Ki Jhurriya Hataye

Aankho ke nich jhurriya hona kaafi aam samasya hai, yeh samasya mahila tatha purusho dono mai dekhne ko milti hai. Jaise jaise umra badhti hai jhurriya bhi badne lagti hai. Kintu shuruwat mai aap aankho ki jhurriyo ko andekha kar dete hai aur baad mai iske liye upay khojte rehte hai.

Yeh jhurriya aapki khubsurti ko kam kar deti hai sath hi isse aap aapki umra se jyada bade lagne lagte hai. Kai log inse nijat pane ke liye mehenge mehenge cosmetics ka istemal karte hai aur inse fayda bhi milta hai lekin jaise hi aap ise chhodte hai jhurriya wapis lout aati hai.

Isliye jhurriyo se nipatne ke liye aap aese gharelu upay ajmay jinse aapko na to paisa kharch karna pade aur na hi aapki twacha par koi musibat aaye. To aaiye jante hai Home Remedies for Eye Wrinkle.
 

Home Remedies for Eye Wrinkle in Hindi: Jhurriyo ke Liye Upay

 
Home Remedies for Eye Wrinkle
 

Kheera Kakdi Ka Kare Upyog

  • Kheera kakdi aankho ki jhurriya mitane ke liye bahut hi accha vikalp hai.
  • Kheera ko barik pise ye iska ras nikalkar aankho ki jhurriyo ke niche lagaye.
  • Aap chahe to kheera kakdi ka patla sa tukda kat le aur aankho pe rakh kar let jaye.
  • Isse karib 15 minute tak aankho par laga rehne de. Kheera kakdi ko kuch dino ta upyog karne par aankho ki jhurriyo se nijat mil jayega.
  • Iske aur bhi kai benefits hai. Janne ke liye padhe kheera kakdi ke fayde.

 

Pineapple Ras Ka Istemal Kare

Pineapple ke ras mai sakriya enzyme bromelain hota hai, jo ki anti inflammatory agent aur alpha hydroxyl acid se milkar bana hota hai. Yeh dono gun ise behtarin Eye Wrinkles Home Remedy bante hai.

  • Pineapple ke ras aankho ke niche lagane se jhurriyo se nijat mil jati hai.
  • Pineapple mai astringent hota hai jo twacha ko sikhudne se bachata hai.

 

Aleo Vera Jhurriya Hataye

  • Aleo vera aapko aasani se kahi bhi mil jata hai aur yeh aapki twacha mai kasavat lake jhurriyo se nijat dilate hai.
  • Isse lagane ke liye alo vera ki pattiyo mai se thoda sa aleo vera gel nikale aur taje gel ko aankho ki jhurriyo par lagaye.
  • Ise 15 se 20 minute tak laga rehne de aur thande pani se aankho ki dho le.
  • Iske alawa aap aleo vera gel ke capsule ko istemal kar sakte hai Jisme vitamin A mila hota hai. Isse aankho par lagaye aur 1 ghnde bad garam pani se aankho ko dho le.

 

Nariyal Ke Tel Se Malish Kare   

  • Coconut Oil for Wrinkles under Eyes bahut hi prabhavi nuskha hai.
  • Nariyal ka tel le aur usse kuch der tak aankho ke aaspas malish kare.
  • Tel ko rat bhar laga rehne de kyonki isse aapki twacha ko poshan milta rahega.
  • Subah uthkar chehre ko dho le kuch dino mai aap jhurriyo se nijat pa lenge.

 

Badam Jhurriyo Se Mukti Dilaye

  • Badam mai fiber, vitamin E, iron, zinc, calcium, folic acid, oleic acid aadi hote hai jo badti umra ko rokne mai madadgar hote hai.
  • Badam ko ratbhar kacche dudh mai bhigo le, tatha subah badam ke chilke nikal kar uska paste taiyar kar le.
  • Isse jhurriyo tatha kale ghere par 20 se 30 minute ke liye laga kar rakh de, aur garam pani se muh dho le.
  • Acche parinaam ke liye yeh prakriya niyamit rup se kare, aap chahe to badam ke tel se malish bhi kar sakte hai.

 

Nimbu Ka Ras Lagaye

  • Nimbu twacha ke bahut faydemand hai aur yeh twacha mai kasavat bhi banaye rakhta hai.
  • Eye Wrinkle Treatment at Home ke liye nimbu ke ras mai thoda sa shahad milakar aankho ke aaspas lagaye tatha kuch der bad chehra dho le.
  • Isse kuch din tak karne par aapki twacha mai fark mehsus hone lagega aur jhurriya gayab ho jayegi.

 

Kuch Anya Upay Bhi Jane:-

  1. Apne khanpan ka accha khayal rakha chahiye.
  2. Adhik se adhik matra mai pani pina chahiye.
  3. Jyada chinta banaye rakhne par bhi jhurriya ho jati hai isliye chinta mukt rahe. Iske liye meditation kar sakte hai.
  4. Yadi aap dhumrapan karte hai to use chhod de yeh na keval twacha ko kharab karte hai balki aapke swasth ke liye bhi hanikark hai.
  5. Jhurriyo ko hatane ke liye ande ke safed bhag ko aankho ke aaspas lagaye aap jhurriyo se mukti pa lenge.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Eye Wrinkle in Hindi. Inn bataye gaye tariko ko aap ghar par hi istemal kar sakte hai tatha badti umra ke karan padi hui jhurriyo ko aapke chehre se hamesha ke liye hata sakte hai.

Loading...

You may also like...