Home Remedies for Eyelash Growth: Palko Ko Ghana Banaye
Aankhe aapke sharir ka mahatvapurn ang hone ke alawa aapki khubsurati ko badane mai bhi madadgar hai. Jab baat aankho ki khubsurati ki aati hai, to ghani palke hi hoti hai jinki wajah se aankhe badi aur khubsurat lagti hai. Lekin badti umra ke sath palko ke baal bhi kam hone lagte hai.
Patil palke aapki khubsurti mai kami si la deti hai, kai logo ko aapne dekha hoga unke aankho ki palke murjhai si hoti hai wahi kai logo ki palke ghani aur khubsurat hoti hai. Aankho ki palko ka patla hona anuvanshikta , kisi poshak tatvo ki kami, hormonal samasya tatha badti umra aadi ki wajah se hota hai.
Kai ladkiya aankho ko sundar dikhane ke liye nakali palko ka istemal kar rahi hai, aur yeh fashion mai kafi chal raha hai kintu inhe lagane se natural khubsurati nahi mil pati. Lekin aap ghabraye nahi aese vikalp bhi hai jisne aap iss samsaya ko dur kar sakte hai. Aaiye jante hai Home Remedies for Eyelash Growth. Yaha diye gaye gharelu tariko ke jariye aap palko ki dekh rekh kar unhe ghana aur khubsurat bana sakti hai.
Home Remedies for Eyelash Growth: Ajmaye Prakratik Upay
Arandi Ka Tel Faydemand
Arandi ke tel mai kai aushdhiya gun hote hai, jo palko ko ghana banane mai sahayata pradan karte hai. Ise lagane ke liye arandi ke tel ko rui mai le tatha cotton ki madad se palko par lagaye. Arandi ke tel se palko ko paryapt vitamin E milega jo palko ke liye bahut jaruti hota hai. Subah uthkar chehre ko saaf pani se dho le. Isse aap kuch hi dino mai ghani palke payegi.
Palko Par Lagaye Petroleum Jelly
Yadi aap rojana raat ko petroleum jelly ko palko par lagayenge to yeh aapki palko ko badane mai madad kar sakta hai, Ise aap mascara brush se bhi laga sakti hai. Yadi aap rojana ise nahi laga sakti to hafte mai teen bar lagaye. Yeh kaafi asarkari illaj hai.
You may also like:- Eye Health Tips in Hindi – Aankho Ki Behtar Dekhbhal
Gunkari Green Tea
Green tea waise to kai tarah se hamare liye faydemand hai aur isme moujud gun palko ki growth ke liye bhi faydemand hai. sse lagane ke liye cotton ko green tea mai duboye tatha use halka sa nichod kar aankho ki palko par lagaye. Iske rojana istemal se palke ghani bhi hogi tatha unki safai bhi ho jayegi.
Olive Oil aur Nimbu Ka Kare Upyog
Jaisa ki olive oil baalo ko badane mai kaafi faydemand hota hai iske alawa yeh palko ko na keval poshan deta hai balki palko ki conditioning bhi karta hai. Aap oilve oil mai nimbu ka ras ya nimbu ke chhilke kuch din dalkar rakh de. Iss bane huye tel ko palko par lagane se raat ko sote samay lagaye tatha subah uthkar aankho ko dho le. Nimbu bacteria ko marta bhi hai, isliye iss tel ko lagane se gandagi bhi dur rahegi aur palke bhi ghani bani rahegi.
Aap jaitun ke tel ko direct bhi laga sakti hai. Sirf ise rojana palko par lagane se bhi palke ghani hoti hai tatha halke hatho se isse malish karne par palko mai rakt sanchar acche se hota hai. Jisse palke teji se badti hai. Long Eyelashes ke liye yeh ek achha upay hai.
Protein Ka Kare Sevan
Yadi aapke aahar mai protein ki kami hoti hai to palko ke baal jhadne lagenge aur palke dheere dheere patli ho jayegi. Aapke sharir mai protein ki purti sirf phal aur sabji nahi kar sakte isliye machali, ande tatha wo chije khaye jisme protein ki matra bahut ho.
Faydemand Multivitamins
Vitamin C, A, B5, B12 aadi ka sevan karna chahiye jisse vitamin ka sanchar sharir ke praytek bhaag mai ho. Yeh sabhi vitamin aapke palko ko ghana banane mai madad karte hai. Kyoki rakt aur oxygen ka sanchar hona bahut jaruri hai aur yeh vitamin C aur A se juda hai. Isliye vitamins ka sevan karna aapke liye bahut accha hota hai.
Aloevera
Aloevera bhartiya gharo mai aasani se mil jata hai kyuki yeh gunkari hone ke sath jadi butiyo mai bhi iska istemal kiya jata hai. Isko lagakar aap palko ko ghana kar sakti hai. Isse lagane ke liye aloe vera patto se 1 chammach gel nikale aur jojoba tel ke sath mishrit kare. Iss bane huye mishran ko aapko palko par lagakar 15 minute tak rakhe. Aap thik usi tarah lagaye jis tarah aap mascara lagati hai, aur fir kuch samay bad ise saaf pani se dho le.
You may also like:- How to Apply Eyeliner in Hindi: Jane ise lagane ke Stylish Tarike
Achhe Bhojan Ka Sevan Kare
Yadi aap accha bhojan nahi karenge to iska aapke palko ke vikas par kafi prabhav padega. Palko ko lamba tatha ghana banane ke liye ucch vasa wale padhartho jaise dudh aur anya dairy khadya padartho ka sevan karna kaafi aacha hota hai. Iske alawa Natural Eyelash Growth ke kuch acheh phalo aur sabjiyo ka sevan bhi karna chahiye.
Halke Hatho Se Malish
Yadi aap chahti hai ki aapki palke prakratik rup se ghani aur lambi bane rahe to aapki palko par malish kare. Isse palko mai rakt sanchar badega. Malish karne se rakt baalo tak pahuchta hai aur aavshyak poshak padartho ka sanchhar karta hai. Isse aapki palke ghani banegi. Malish ko karne ke liye hatho mai thoda tel lekar palko par lagaye tatha halke halke hatho se malish kare.
Upar aapne jana Home Remedies for Eyelash Growth. Yadi aapki palke bhi patli hai aur iske karan aapki khubsurti kam ho gayi hai to diye gaye upayo ko jarur apnaye.