Home Remedies for Fever: Bukhar ka Rambaan Ilaj

Wese to fever sabhi ko aata hai parantu simple symptoms se pehchan kar bukhar ka treatment kiya ja sakta hai. Fever ka ilaj bhi aasan hai, agar aap puri savdhani barte.

Har badalte mousam ke saath humare sharir ke rog pratirodhak kshamta mai bhi utar-chadav hota rehta hai. Jiske karan bukhar, khansi jesi samasya shari ko jakadne lagti hai. Badalte mousam ke saath sabse adhik viral fever hone ki sambhavna jyada hoti hai.

Bukhar apne infection ke dwara jab liver mai apna sadhan banata hai, to yah hipotytis paida kar deta hai jise aam bolchal mai Piliya bol dete hai. Yahi virus rakt mai milkar toxiemia paida karta hai jisse bukhar ke lakshan jese ki badan dard, sir dard aadi taklif badh jati hai. Bhukh bilkul kam ho jati hai, pani pine mai jee machlata hai, ultiya hone ki taklif bad jati hai.

Lekin inn sab taklifo ka ilaj bahut aasan hai. Aaiye jante hai kuch Home Remedies for Fever ko apnaye aur apni bimari se nijat paye.

Kuch Gharelu Nuskhe jo Bukhar Mai Aaram Pahuchaye

You may also like:- Malaria Symptoms in Hindi: Machhar se Hone Wali Bimari

Tulsi

Tulsi ke patto mai anti-septic ingredients paya jata hai. 10-15 tulsi ke patte aur 8-10 kali mirch ki chaaye banakar pine se khasi, sardi aur Fever mai aaram milta hai.

Mulethi

Mulethi, kali mirch 10-10 gm bhunkar piss le aur 30gm purane gud mai mila le usme se 6 gm pratidin taaze pani se khaye. Aapko bukhar mai laabh hoga.

Lahsun

Kachhe lahsun ke tukade khaye. Iske alawa lahsun ki 2 kaliyo ko olive oil mai milakar, isse garam kar le aur isse apne pairo ke talwo mai massage kare. Apne pairo ko saari raat ke liye lapet kar rakhe.

Gharelu-Nushke-Bukhar-ke-Liye

Sirka

Apne nahane ke pani mai aadha chamachh sirka mila le aur isse nahaye. Sirke ke pani se aapko Bukhar mai aaram milega. Aap chahe to aalu ke kuch tukdo ko sirke mai dubokar isse apne mathe par bandh le.

Pani

Bukhar ki haalat mai aapko khub pani pina chahiye. Jisse aapke sharir ki rog pratirodhak shamta mazbut hogi aur sharir se vishele padarth bahar nikalne mai sahayak honge.

You may also like:- Dengue Symptoms in Hindi: Is Bimari ke Lakshan

Adrak Wali Chai

Adrak wali chai pine se gale mai hone wale dard dur hote hai aur phir isse bukhar se rahat milti hai. Din mai kam se kam 3 baar adrak wali chai ka sevan kare.

Iss douran acchi matra mai khana khaye. Jo aapko accha lage uss chiz ka sevan kare parantu kabhi bhi galat combination ka use na kare. Iss douran dehydration se bachne ke liye khub saara pani piye aur apne iss bimari ko dur bhagaye.

Get more details about Fever (Bukhar) from Home Remedies.

Loading...

You may also like...