Home Remedies for Hypertension: Ucch Raktchaap Kam Kare
Iss badlate wakt mai hame har jagah competition ka samna karna pad raha hai, chahe wo school ho ya fir business. Jitne adhik log utna adhik competition. Aur isi competition ki wajah se hamare dil, dimag aur sharir par atyadhik dabaav padta hai.
Atayadhik chinta, krodh ya pareshaniya hamare sharir me rakt sanchar ko prabhavit karti hai. Jisse uccha raktchaap ki samasya ko badhava milta hai. Khane pine par niyantran na hone se bhi kai log ucch raktchaap ke shikar ho jate hai.
Halaki yeh koi bimari nahi hai. Uchh raktchaap ek choti si samasaya hai, parantu yadi samay par dhyan nahi diya jaye to ye badi bimari ka rup bhi le sakti hai. Darahsal hriday ke madhyam se rakt hamare pure sharir main pravahit hota hai. Rakt ke isi prvaah ko blood pressure kehate hai.
Yeh rakt dhamniyo ke madhyam se pravahit hota hai. Jab dhamiyo mai daab badh jata hai arthat raktchaaop 130/80 se upar ho to use uccha raktchaap bolte hai. Uccha raktchapp arthat high bp ko Hypertension kaha jata hai. Iske badh jane par dil ki bimariya, stroke, Engina aadi samasyae hoti hai. Isse bachne ke liye aaiye jane Home Remedies for Hypertension.
Home Remedies for Hypertension: Gharelu Upayo Ko Jane
Vaise to bajar mai raktchaap badhne ke liye kai dwaiya moujud hai. Lekin lagatar dawai ka sevan karna bhi sahi nahi hai. Isliye uccha raktchaap ke liye gharelu upchar hi faydemand hai. To aaiye jante hai uccha raktchaap ko niyantrit karne ke gharelu upaay.
Dil Ke Liye Faydemand Hai Dal Chini
Aapne bhale hi dal chini ka upyog garam masalo ke rup mai hi kiya jata. Lekin dalchini ka prayog ucch rakt chaap ke liye bhi faydemand hai. Iske atirikt dil ki bimari or madhumeh mai bhi iska sevan labhdayak hai. Darahsal dal chini mai bharpur matra mai anti oxidant hota hai jo uccha raktchaap ki samasya ko dur karta hai.
Lehsun Ka Sevan
Uchh raktchaap ko kam karne ke liye aap aap lahsun ka sevan bhi kar sakte hai. Lehsun mai elision namak tatva paya jata hai, jo nitric oxide ko badhata hai jisse manspeshiyo ki dhamniyo ko aaram pahuchata hai. Vaise to lehusn raktchaap ko niyantrit karta hai lekin yeh unn logo ke liye jyada faydemand hota hai jinka blood pressure jyada hota hai.
Iska prayog karne ke liye lehsun ke ras ki 6-7 drops ko 3 chammach pani mai milakar din me 4 bar piye. Isse aapka blood pressure samanya ho jayega. Iske atirikt lehsun ki kaliyo ko pani ke sath niglane se bhi ucch raktchaap niyantrit rehta hai. Iska sevan karne ki khasiyat yeh hai ki yeh na keval rakt pravah ko samanya rakhta hai balki dil se judi bimariyo ko bhi door karta hai. Blood pressure ka mukhya karan rakt ka gada hona hai usi karan rakt ka prvah dheema ho jata hai. lehsun mai adhik matra mai antioxidant hote hai jo rakt ko patla karta hai.
Faydemand Hai Sahajan
Sahajan ki jad se lekar uske phool, pattiyan sabhi mai bhi gunkari tatva paye jate hai. Isme vitamin, protein, khanij lavan bhi hote hai. Sahajan ke sevan ke sath sath iske patto ka ras pine se bhi hypertension ko niyantrit kiya ja sakta hai. Isko khane ka sabse accha tarika hai ki ise masoor ki daal ke sath pakakar khaya jaye.
Gunkari Awla
Vaise to awala ke bahut sare gun hai. Ucch rakt chaap ko kam karne mai yeh sahayak hai. Purane jamane se hi log ise raktchaap ko kam karne mai istemal karte hai. Darahsal aawle mai prachur matra mai vitamin c hota hai jo rakt vahiniyo ko failane me sahayak hota hai.
Awla ke ek bade chammach ras mai shahad milakar subah sham iska sevan karne se ucch raktchaap ko kam kiya ja skta hai.
Muli
Muli har ghar mai salad ke roop mai khayi jati hai. Muli mai potassium or mineral kaafi matra mai hote hai, jo sodium diet ke karan badhne wale blood pressure par asar dalta hai. Isko roj bhojan me lene se ucch raktchaap ki samasya se nijat milta hai. Muli ko kaccha ya sabji banakar khaya ja sakta hai.
You may also like:- Yoga for High Blood Pressure in Hindi: Uchh Raktchap Ke Liye
Pyaj Bhi Labhkari
Pyaj lagbhag har bhartiya bhojan mai istemal hota hai. Pyaj mai quercetin paya jata hai , jo ek oxidant hota hai. Yeh dil ki bimariyo ya attack aane ke khatre ko kam karta hai. Pyaj ke ras mai shuddh shahad milakar roj 10 gram ki matra mai le, yeh ucch raktchaap ko niyantrit karta hai.
Pyaj ka ras rakt mai ldl cholesterol ko kam karta hai or sath hi nervous system ko bhi majbut banata hai. Pyaj , lehsun or adrak ka paste bnakar khane ke sath sevan karna chahiye yeh bure cholesterol ko khatam karta hai aur isse dhamniyo ke aaspas ki mashpeshiyo ko bhi aram milta hai.
Guno Se Bharpur Methi dana
Uchh raktchaap mai methi dana bahut hi labhkari hota hota hai. ½ chammach methi dane ko raat me bhigokar rakh dijiye or subah uthkar bhigoi huye dano ko kha lijiye isse aapka blood pressure niyantrit rahega or yadi apka ucch raktchaap bada hua hai to use samany avshtha main le aayega. Yeh ek behtarin Home remedies for High Blood Pressure hai.
Tarbooz
Tarbooz mai potassium adhik matra mai hota hai. Potassium ucch raktchaap ko kam aur dil ki dhadkano ko samanya avstha mai rakhta hai. Tarbooz ke beej ki giri aur khaskhas ke dano ko barabar matra mai pees le. Aur subah-sham 1-1 chammach khali pet pani ke sath le kuch hi din ucch raktchaap ki samasya se nijat mil jayegi.
Anya Tarike Inhe Bhi Jane
Dark chocolate mai catechin aur procyanidin compound hote hai jo blood pressure ko niyantrit karne mai madad karte hai. Aap hafte mai ek ya do baar iska sevan kar sakte hai. Isse mood bhi sudharta hai.
High Blood Pressure Treatment ke liye bhahar ki chijo ko kam khaye sath hi tel or mirch ka upyog kam se kam kare . Ankurit aahar jaise gehu, dal makai ke dano ko apne aahar mai sammilit kare. Jayda namak wale bhojan se parhej kare.
Agar aapko uccch raktchap se grasit hai to niyamit rup se vayayam kare. Usse aapke rakt ka pravaha samanya avstha mai hoga. Iske atrikt roj subah jaldi uthkar nange pair ghas par rojana chalne se bhi aapka ucch raktchaap niyantrit rehta hai. Roj subah nage pair ghas par chalne se aankho ki roshni bhi badhti hai.
You may also like:- Foods that Lower Blood Pressure: Kam Raktchap ke Upchar
Pregnancy Main Hypertension Ki Samasya
Uchh raktchaap ki samasya grabhvati mahilao ke liye bhi hanikark hai. Isse unke shishu par bhi bura asar padhta hai. Yadi aap garbhvati hai to aapko ucch raktchaap ko niyantrit karna chahiye.
Jab raktchaap 140/90 se jayda ho to isse kai samasya ho sakti hai. Yadi 20 saptah tak bhi yeh bana rahe to yeh preeclampsia ka rup bhi le sakta hai. Iss condition ko toxemia kehte hai. Iske hone ke karna garbhavati ko kai tarah ki samasya jaise ki sar mai dard, sharir mai akdan, hath pairo mai sujan aane lagti hai.
Ucch raktchaap jyada badne se sharir ang shatigrast hone ka khatra rehta hai. Hypertension in Pregnancy ke badne par shishu ke vikas ki gati bhi dheemi ho jati hai, sath hi uske vajan mai bhi kami aane lagti hai. Pregnancy ke samay kuch savdhani baratkar iss samasya se chutkara paya ja sakta hai.
- Garbhaavastha mai namak ko bahut kam kar de or yadi aap ko blood pressure ki samasya hai to 3 gm se adhik namak ka sevan naa kare.
- Tobacco, bidi, cigarette ka sevan yadi aap karte hai to turant band kar de. Isse bhi uchh raktchaap ki samasya uttpan hoti hai.
- Rojana yoga krne se bhi aapka raktchaap niyantrit rahega. Yog aesi chiz hai jisse aapke purn swasth ko hi labh milega. Lekin yog sikshak ki dekhrekh mai hi yog ko kare.
- Din bhar kuch na kuch taral padhart lete rahe. Aap pani ke alawa sharkara rahit phalo ka ras aur namak rahit sabjiyo ka ras pee sakte hai.
- Vyayam jaise ki roj subah sham tahalna bhi garbhavastha mai uccha raktchaap ki samasya ko theek karta hai aur aapke swasth ko bhi susharta hai.
- Chinta, krodh aur tanav bhi raktchaap ki samasya ko badha
- Garbhavastha mai aap ek nahi do jindagi ka khayal rakh rahi hoti hai. Ek to khudki aur dusra apne andar ke shishu ki. Isliye tala bhuna khana chhod de aur santulit aahar ka sevan kare. Jitna ho sake apne aahar mai phal sabjiya aur omega 3 se bharpur chizo ko shamil kare. Isse bhi aapka uccha raktchaap samanya rehta hai.
Upar aapne jana Home Remedies for Hypertension. Yadi aap bhi uccha raktchaap ki samasya se pareshan hai to upar diye gaye gharelu upcharo ko apnaye. Lekin samasya jyada hone par aur garbhavastha ke douran pehle chikitsak ki salah lena hi sahi rahega.