Skin Pigmentation se Chutkara Pane ke Gharelu Upchar

Badhti umra ke saath-saath aankhon ke niche dark circular  aur skin mai pigmentation hona bahut normal baat ho jati hai. Jisse ki hum hamara chehra kharab dikhai dene lagta hai. Saath hi jiske karan hamara confidence khatam hota jata hai.

To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Home Remedies for Pigmentation. Jisse aap skin ki iss problem se aasani se bach sakte hai. Saath hi apni khoye huye sundarta vapaas pa sakte hai.

Vese dekha gaya hai ki, skin ki koi bhi problem isthai nahi hoti hai. Bas thodi si dekhbhal se aap iss pareshani se aasani se bach sakte hai. Lekin bas dhyan rahe ki aap sahi tarike se dekhbhal kare.

Skin problem hone ka ek aur karan yeh hai ki, agar aapke parivaar mai se agar yeh pareshani kisi aur bhi hogi to aap  bhi iss pareshani se ghir sakte hai.Isliye aacha haga ki aap jald se jald iska ilaj kare aur apni skin ki care kare.

Isliye agar aapko bhi  yeh pareshani hai to, hamare bataye gaye inn tariko ke dwara aap  iss skin problem se hamesha ke liye bach sakte hai. To bas aaj se hi inn tariko ko apna kar  sundar dikhe.

Home Remedies for Pigmentation, Chehre ke Daag Dhabbe ko Hatane ke Liye  Upchar

Home Remedies for Pigmentatio

Nimbu ks Ras aur Haldi

Home Remedies for Pigmentation mai nimbu ka naam sabse pahle aata hai. Skin pigmentation ko dur karne ke liye aap ek katori mai ek spoon nimbu ka ras le tatha isme chutki bhar haldi milaiye. Isse acche se milaiye tatha prabhavit tawcha par isse lagaiye. Ise 15 minutes tak aisa hi laga rahne se. Baad mai chehre ko thande pani se dho lijiye.

You may also like:- Health Benefits of Lemon – Janiye Nimbu ke Anmol Fayde

Badam aur Kesar

Badam le tatha ise kesar ke saath pise tatha fir dono ko ek katori mai milaiye. Iss misharn me dudh mila kar gadha paste bana lijiye. Ab iss paste ko Skin Pigmentation lagaiye aur sukhane dijiye.Aur baad mai sade pani se apne face ko dho lijiye.

Dahi

Pigmentation se hamesha ke liye chutkara pane ke liye dahi ek bahut acchai upchar hai. Kyoki issme  sabhi jaruri gun hote hai, jo ki daag dhabbe ko dur karte hai. Aap inn gahre daag e par seedhe hi dahi laga sakte hai. Isse 20 minutes tak sukhane de aur baad mai chehra ko thande pani se dho lijiye.

You may also like:- Curd Face Pack se Chehra Banae Chamakdar aur Swastha

Papita ki Pattiya ko Chund

Yadi aapke paas samay nahi to papite ki pattiya ka upyog karke face mask banaiye. Isme aloe vera, sukhe huye gulab ka chund, haldi aur multani mitti tatha dudh milaiye. Inn sabhi ghatako ko acchi tarah milaiye tatha baad mai isse pigmentation par lagaiye.

Aloe Vera

Shud aloe vera mai twacha ki sabhi bimariyo ko dur karne ki takat hoti hai. Yeh ek bahut shaktishali astringent hai. Jiska upyog parbhavit jagaho par kiya jata hai.

Tamoto aur OatsMeals

Tamoto mai bleach ka gun hota hai, jo twacha ki dabbhe ko kam karta hai. Dusri aur oatmeal ek accha exfoliating karka hai tatha tamoto ke saath milkar yeh twacha ko poshan deta hai. Aadha spoon tamoto juice, 2 spoon oatmeal milaiye tatha fir iss misharn mai dahi dale. Baad mai iss prabhavit twavha ke pigmentation par lagaiye. Jisse aapko bahut fayda milega.

Prakrtik Tel ke Saath Haldi

Twacha ki kisi bhi samasya mai haldi ki trivta se upchar karti hai tatha twacha ki asli rangat vapaas lati hai. Prabhavi upchar ke liye haldi ko prakrtik telo (castrol, olive oil, nariyal ka tel, grape seed oil) ke saath milaiye. Dusri aur ghatko ko ek katori mai acchi tarah milaiye. Iss mask ko prabhavit isthano par lagaiye. Ise 30 minutes tak laga rahne de. Baad mai chehre ko pani se dho lijiye. Isse aapko bahut adhik fayda milega Saath hi aapi skin ki har type ki problem  bhi khatam ho jaayegi.

Laal Pyaz

Laal pyaz ko pigmentation par lagaiye par lagiye isse aapko bahut fayda hoga. Iske liye aap ek pyaz ko kat le tatha acche result ke liye use seedhe pigmentation par lagaiye. Jisse aapko bahut fayda milega. To hum bol sakte hai ki, lala pyaz ek acchi Home Remedies for Pigmentation.

Kheera

Skin problem hone ke douran aapke chehre par jhuriya ya daag aur  twacha ki tanning aur pigmentation hona bahut normal hai. Iske liye sabse accha ilaj hai ki, aap kheere ko directly pigmentation par lagaiye. Jisse aapko bahut jaldi fayda milega.

Kaccha Nariyal

Kacche nariyal mai twacha ke kisi bhi prakaar ke pigmentation ko dur karne ki jadui shakti hoti hai. Rui ke pore ki sahayta se nariyal pani ko twacha ke baag dabbhe par lagaiye. 20 Minutes tak sukhne de uske baad chehre ko gungune pani se dho lijiye.

Dudh aur Shahad

Yadi aap apni twacha ko taaza banana chahte ti aap dudh  aur shahad ke  saath milaiye. Aur apne chehre par lagaiye. Tatha thodi der baad isse dho lijiye. Isse aapo bahut fayda milega.

Home Remedies for Pigmentation

Home Remedies for Pigmentation ke Dwara Paiye  Sundar Twacha

Chandan Powder aur shahad

Chandan ke powder mai chikitsak gun hote hai. Tatha niyamit roop se iska upyog karne se twacha ki samasya dur hoti hai. Iss powder ko tamoto aur oatmeal kheere ke ras mai milkar lagane se twacha ke daag ko dur hote hai. Iss misharan ko twacha par lagbhag 30 minutes tal laga rahne de. Jisse aapko bahut adhik fayda milaega.

You may also like:- Sandalwood or Chandan- Glowing Skin ke Liye Gharelu Nuskhe

Shahad aur Badam

Sabse pahle ek katori badam aur 2 chammach shahad mialiye. Baad mai isme nimabu ka ras milaiye. Ise 20 minutes tak laga rahne  de. Tatha baad me gungune pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse bahut aacha upchar hai, jo ki aapko bahut fayda dega.

Ande ki Safedi

Niyamit tor par ande ki safei ka upyog karne se aapki twacha mai  thandak milti hai. Ek ande ki safedi mai pudina ki 6 pattiya milaiye tatha fir ise tab tak milaiye. Jab tak yeh jhagdar na ho jaye. Fir issme aadha chammach pisa huya kheera milkar paste banaiye.Ab iss mask ko 15 minutes ke liye aapne face par  lagaiye.

Santre ka Chilka

Sante ke sukhe huye chilka ke powder ko thande dudh mai milaiye tatha baad mai isme shahad milaiye. Twacha ke daag dhabbe ko dur karne ke liye iss paste ko lagaiye.

Upar aapne jane Home Remedies for Pigmentation. To bas aaj se hi skin ki problem  ko dur karne ke liye inn gharelu upchar ka istemaal kijiye aur hamesha ke liye swasth twacha paiye.

Loading...

You may also like...