Home Remedies for Eye Infection: Aankhon ke Liye Gharelu Ilaj

Aankhon mai sankraman hona bahut aam baat hai aur yeh kisi bhi age aur kisi bhi ling ke kisi bhi vyakti ko prabhavit kar sakta hai. Aankhon ke sankraman ka upchar mukhya roop se sankraman ke karano par nirbhar karta hai.

Kuch gharelu nuskhe dwara bhi aankho ke sankraman ka ilaj kiya ja sakta hai jo prakritik hone ke saath-saath bahut prabhavi bhi hote hai.

Aaiye jante hai Home Remedies for Eye Infection, jo prakritik hone ke saath-saath bahut prabhavi bhi hote hai.

You may also like:- Improve Eyesight Naturally, Swasth Aankhon ka Raaz

Home Remedies for Eye Infection

Home Remedies for Eye Infection: Aankhon ke Sankraman ko Dur Kare

Aaiye aankhon mai sankraman ke ilaj ke liye aise hi kuch gharelu upayo ke baare mai jane aur swasth rahe:

 

Honey (Shahad)

Source: “healthyfoodhouse.com”

  • Shahad (Honey):

Eye ke sankraman ke liye shahad sabse prabhavi ilaj mana jata hai, yaha tak ki yeh aushadhiya eye drop ke naam se bhi jana jata hai. Aankhon ke sankraman hone par aap isse gulabjal mai milakar istemaal kar sakte hai. Iske alawa 3-4 chamacch shahad ko pani mai milakar aankhon ko dhone se sankraman se rahat milti hai.

Apple Sirka

Source: “homeremediesweb.com”

  • Apple ka Sirka:

Apple ka sirka prabhavi roop se aankhon ke bacterial sankraman ko dur kar sakta hai. Seb ke sirke mai malic acid hota hai jo bacterial sankraman ke khilaf ladta hai. Isko istemaal karne ke liye ek cup pani mai ek chammach sirke ko milaye aur cotton ki madad se apni aankhon ko saaf kar le.

 
 

Dhaniya Pani

Source: “coimbatoreonlineshopping.in”

  • Dhaniye ka Pani:

    Dhaniye ki kuch sukhi pattiyo ko lekar pani mai ubal le. Ab iss pani ko kuch der thanda hone ke liye rakh de. Iss pani ko sankramit aankhon ko dhone ke liye istemaal kare. Yeh upay na kewal aapko jalan se rahat dene mai madad karega, balki dard aur sujan ko kam karne mai bhi aapki  madad karega.

 

Warm-Guava-Leaves

Source: “onlymyhealth.com/”

Amrud ke Patte:

Home Remedies for Eye Infection mai Amrud ka hissa aham hai. Amrud ke kuch patto ko le aur unhe tab tak garam kare jab tak ki patte garam na ho jaye. Inn amrud ke garam patto ka istemaal aankhon ki palko ke sankraman ke ilaj ke liye kiya ja sakta hai.

 
 

Tulsi

Source: “onlymyhealth.com/”

  • Tulsi:

Anek rogo ka ilaj tulsi se kiya ja sakta hai. Tulsi aankhon ke infection ko dur karne mai bhi bahut laabhkari hoti hai. Aankhon ke sankraman yani conjunctivitis se nipatne ke liye ek katori pani mai tulsi ki 2-3 pattiya raat ko bhigo de. Subah iss pani se aankhon ko dho le, isse aapko bahut fayda hoga.

 

Curry-Leaves

Source: “onlymyhealth.com/”

  • Curry Patta:

    Curry patte ke taaza ras ka istemaal motiyabind jese aankhon ke vikaaro ko rokne ke liye kiya ja sakta hai. Curry patte ke taaza ras ko aankhon ke aas-paas failane se aankhe tez hoti hai aur motiyabind ke prarambhik vikaas ko rokti hai.

 
 

Salt-Namak

Source: “onlymyhealth.com/”

  • Namak (Salt):

    Thoda sa namak lekar use ubalte pani mai milaye. Iss pani mai rui ko bhigokar prabhavit jagah par lagaye. Yeh aankhon ke sankraman ke liye sabse aasan upay mana jata hai. Abhi tak yeh conjunctivitis ke upchar ke liye sabse upyogi upayo mai se ke hai.

     

    Amla

    Source: “onlymyhealth.com/”

    • Amla:

      Amla aankhon mai sankraman ke ilaj karne ke liye ek aur prabhavi gharelu aushadhi hai. Aankhon ke infection ko dur karne ke liye ek cup amla ke ras mai 2 chamacch shahad milakar din mai do baae pine se laabh hota hai.

     
     

    Yogurt-Dahi

    Source: “onlymyhealth.com/”

    • Dahi (Curd):

      Dahi aapki aankhon ke liye bahut hi faydemand hota hai. Sankraman se rahat pane ke liye aankh ke prabhavit kshetra par dahi ka lep lagane se fayda hota hai.

     
     
     

    Fennel Seed-Saunf

    Source: “onlymyhealth.com/”

    • Saunf ke Beej:

      Thode se saunf ke beej ubal le. Ubalne ke baad pani ko thanda hone ke liye rakh de. Ab iss pani ka sankramit aankhon ko dhone ke liye ek din mai kam se kam 2 baar istemaal kare. Iss upay se aapke dard, lalima aur sujan ko kam karne mai madad milegi.

    Upar aapne jane Home Remedies for Eye Infection aur dur kijiye aankhon se judi har samasya ko  taki aap swasth rah sake aur iss pareshani ko dur kar sake.

    Get more details about Eye from Diet and Fitness.

    Loading...

You may also like...