Natural Home Remedies for Sleep Apnea: Jane Prakratik Upay
Din bhar ke kaam se hone wali thakan ke bad har koi chahta hai ki use chain ki neend mile. Lekin aese mai yadi koi kharate mar kar aapki nind kharab karde to aese mai bahut adhik gussa aata hai.
Sote samay kharate aana koi badi bimari nahi hai. Lekin jab yeh bahut jyada aane lage to yeh samanya baat nahi hai. Iske piche ka karan sleep apnea ho sakta hai. Iss bimari mai nind mai insan ki saanse ruk jati hai ya fir wo kharate lene lagta hai. Gharelu upchar ki madad se ise thik kiya ja sakta hai. To aaiye iss pareshani ko dur karne ke liye jane Home Remedies for Sleep Apnea.
Sleep Apnea nind ke douran hone wala asamanya vyavhar hai. Vaise to iss bimari ka upchar karna aasan hai lekin bahut bar ise thik karna muskil ho jata hai. Isliye iske lakshano ko wakt par jaana jaruri hai, taki samay par iska illaj kiya ja sake.
Sleep Apnea ki samasya kisi bhi vyakti ko ho sakti hai. Iss bimari se pidhit logo ko tonsils hona, jabde ki haddi ka badhna, sinus ki samasya aadi ho sakti hai. Kai baar parivar mai kisi ko yeh samasya ho to baccho ko bhi iske hone ki aashanka rehti hai. To aaiye jane iss bimari ke lakshan aur gharlu upcharo ki jankari.
Home Remedies for Sleep Apnea: Kare Iska Sahi Ilaj
Adhik Dhumrapan Se Bache
Adhik dhumrapan karna sehat ke liye hanikarak hota hai. Yeh cancer ke sath-sath sleep apnea ka karan bhi banta hai. Dhumrapan se nikalne wala dhua, seedhe hamare hriday aur fefado tak jata hai. Isse fefade kamjor padne lagte hai aur oxygen ka sahi se prav bhi nahi ho pata hai. Iss wajeh se saans sambandhi samasya hone lagti hai aur kai bar saans lete samay aavaj aane lagti hai jise kharate kaha jata hai.
Adhik se Adhik Pani Piye
Pani hamare sharir mai nami ko banaye rakhne mai madad karta hai. Jab sharir mai pani ki kami hoti hai to hamari naak ki nali bhi sukh jati hai. Iss wajeh se saans lene mai pareshani hone lagti hai aur kharate aana shuru ho jate hai. Isliye dinbhar mai kam se kam 8 glass pani jarur pina chahiye.
Peeth ke Bal Sone Se Bache
Rat mai sote samay peeth ke bal sone ki bajay pet ke bal ya fir karvat lekar sona chahiye. Isse saans lene mai takleef nahi hoti hai aur chain ki neend aati hai.
You May Also Like: Home Remedies for Sinus Infection: Isse Bachane Ke Upay
Vajan Kam Kare
Adhik vajan ka badhna bhi kai samasyao ka karan hota hai. Aapne dekha hoga ki jinn logo ko kharate aate hai wo bahu adhik mote hote hai sath hi unka vajan bhi bahut adhik hota hai.
Adhik motapa ki wajeh se gale ke aaspas atirikt vasa jama ho jata hai jisse saans lete samay oxygen ka pravah sahi tarah se nahi ho pata hai. Aese mai adhik badhi hui charbi ki wajeh se hava ke aavagaman hote samay muh se aavaj aana shuru ho jati hai. Isliye yadi aap kharato se chutkara pana chahte hai to motape aur vajan ko kam karne ka prayatn kare.
Raat mai Alcohol aur Dawaiya Lene Se Bache
Bahur adhik dawaiyo ka sevan aur alcohol lene se sharir ki sabhi maspeshiyo mai adhik khichav hota hai jisse maspeshiya fail jati hai. Iss wajeh se bhi kharate aana shuru ho jate hai. Isliye jitna ho sake alcohol aur adhik dawaiyo ke sevan se bache.
Kali Mirch Aur Shahad Ka Sevan Kare
Ek glass gungune pani mai 1 chammach kali mirch ka powder aur 1 chammach shahad ka mishran banakar raat ko sone se pehle pine se kharate ki samasya se nijad paya ja sakta hai.
Home Remedies for Sleep Apnea: Anya Upaye Inhe Bhi Padhe
- kharate ki samasya ko dur karne ke liye 1 galss gungune pani mai 3 chammach dalchini ke powder ko milakar pina chahiye.
- Rat ko sone se pehle kam se kam 1 cup dhudh pine se bhi kharate aana band ho jate hai.
- Sinus ki samasya se bhi kharate aana shuru ho jate hai. Isliye jab bhi sinus ki pareshani ho to chikitsak ki salah le ya fir ise dur karne ke liye padhe Home Remedies for Sinus Infection.
- Upar aapne jana Home Remedies for Sleep Apnea. Yadi aapko ya aapke parivar mai kisiko kharate ki samasya ho to diye gaye home remedies ko apnaye aur dur kare iss pareshani ko.
Sleep Apnea Ke Prakar aur lakshno ko Pehchane
Sleep Apnea ko mukhyatah teen prakaro mai vibhajit kiya gaya hai to aaiye padhe types of Sleep Apnea.
Obstructive Sleep Apnea: Hava ke pravah ke karan jab vyakti ko saans lene mai pareshani hoti hai tab ise OSA kaha jata hai. Aur yeh rukavat gale mai mojud uttatko (tissues) ke karan hota hai.
Central Sleep Apnea: Yeh tantrika tantra ke karan hota hai. Jab hamara mastishk, sharir ki maspeshiyo ko yeh batane mai asafal ho jata hai ki saans ko kiss tarah se niyantran mai laya jaye tab ise kendriya SA kaha jata hai.
Complex Sleep Apnea: Isme CSA aur OSA dono ke lakshan shamil hote hai.
Sleep Apnea ko pehchanne ke kai lakshan hote hai. To aaiye jane Sleep Apnea Symptoms.
- Yaddasht kamjor hona.
- Gale mai sukhapan mehsus hona
- Sar mai dard hona
- Aksar raat ke samay mai bar-bar peshab lagna
- Sote samay kharate aana
Inn sabhi lakshano ko dur karne ke liye aaiye aaj jane Sleep Apnea Home Remedy. Jiski madad se ghar baithe hi kharrato ka ilaj kiya ja sakta hai.