How to Apply Eyeliner in Hindi: Jane ise lagane ke Stylish Tarike

Har ladki ki khwahish hoti hai wo khubsurat dikhe. Vaise to khubsurat dikhne ke liye prakratik sundarta se badhkar kuch nahi hota hai. lekin yadi iske sath hi makeup ka istemal bhi kiya jaye to yeh sundarta doguni ho jati hai. Chehre ke har hisse ke liye alag alag tarah ke makeup products ka istemal hota hai aur unhe lagane ke tarike bhi alag alag hote hai.

Jaise chehre ki twacha ke liye foundation lagaya jata hai. Hontho ke liye lipstick ka istemal kiya jata hai. Vaise hi aankho ki khubsurti ke liye eye makeup ka istemal kiya jata hai. Eye makeup karne se hamari aankhe aur bhi adhik khubsurat dikhai dene lagti hai.

Aankho ka makeup karne ke liye ladkiya roj kajal lagati hai. Lekin kajal ke sath sath yadi aankho par eyeliner bhi lagaya jaye to aapki aankhe aur bhi jyada aakarshit aur badi dikhai dene lagati hai.

Eyeliner ko aapke ankhon ke anusaar aur dress ke color se match karte huye color mai bhi laga sakte hai.

Yeh aapki aankho ko ek jadui aakarshan deta hai jiski wajah se aapke andar aatmavishvas aata hai. Aap khud ke andar sakaratmak urja mehsus karte hai. Lekin iske liye aapko ise sahi se lagana aana chahiye. Yadi aap ise sahi se lagana aur alag alag tariko se lagana sikhna chahte hai to padhiye How to Apply Eyeliner in Hindi.

How to Apply Eyeliner in Hindi: Aankho Ko Banaye Aakarshak
How to Apply Eyeliner in Hindi

Eyeliner Ko Lagane Ka Sahi Tarika

Eyeliner ko lagane ke liye sabse pehle apne hatho se aapki aankho ki twacha ko thoda sa upar ki taraf khiche aur boho ko halka sa uncha kare taaki aapki palke twacha se nahi dhanke.  Aapke hatho ko sahara dene ke liye hatho ki kuhni ko kursi ya table par rakhne se madad milegi.

Eyeliner ko lagane ke liye palko ke upar sate huye bhag par chhote chhote dots banaye jitna mota ya patla liner lagana hai uske anusaar dots lagaye. Ab unn dots ko mila dijiye dhyaan rakhe ki dots ko milane vali rekha hile nahi. Aakhri chor se shuru karte huye pehle chor tak le jaye  Aapka eyeliner lag gaya hai.

Rojana aap naye naye tarike se eyeliner ko laga sakte hai. Bajar mai kai tarah ke eyeliner uplabdh hai jise roj aap ek naya look pa sakte hai.

Casual Look Ke Liye Single Stroke

Yadi aap casual look chahte hai to apni aankho par eyeliner ka single stroke lagaye. Ise aap kabhi bhi laga sakte hai. Yeh office jane ke liye sabse best eye makeup style hai. Chahe aapko bajar jana ho ya sadharan mouka ho, sabhi jagah aap ise lagakar ja sakti hai. Isse lagane ke liye aanko ke ek kone se patli line lagaye aur dusre kone tak le jane par mota karde.

Catty Eyes – Bold Look Ke Liye

Yadi aap bold aur bili jaisi aankhe pana chahti hai to niche ki palak ki tulna mai upar ki palak par thoda mota eyeliner lagaye aur aakhri chore se liner ko thoda bahar ki taraf nikal de.

You may also like:- Day Makeup Tips in Hindi: Aakarshak aur Khubsurat Dikhe

Sham Ki Party Ke Liye Glitter Eyes

Glitter Eyeliner lagane se eye makeup thoda chamakdar lagta hai jise aap raat mai kisi party shadi mai jane ke liye laga sakte hai. Iss glitter eyeliner ko aap apni dress se milta hua laga sakte hai. Iske liye aapko sirf itna karna hai ki traditional eyeliner par patla sa glitter eyeliner laga de.

Smudged Gel Eyeliner

Smudged gel aapko trendy look deta hai aur yeh abhi kaafi chalan mai hai. Isme eyeliner gel se palko ke upar patli si line banaye aur usse smudging tool ki madad se halka sa failaye. Isse aapki aankhe bahut aakarshit dikhai degi. Iss liner ko lagane ke sath palko par masakara jarur lagaye jisse aap aur jyada acchi lagegi.

Contrast Color

Contrast color ke liner ko lagana bhi aajkal ke yuvao ko bahut pasand aa raha hai. Iss look ko pane ke pehle eye shadow ko lagaye aur usse halka sa aankho ke bahar tak lagaye fir sadharan eyeliner lagaye jo na to jyada patla ho na hi jyada mota ho.  

How to Use Eyeliner in Hindi

Smoky Eyes Ka Jadu

Yadi aap kisi shaadi mai ja rhi hai to smoky eyes wala look aap par bahut accha lagega. Iske liye aap palko ke upar eyeliner ko lagaye aur smudging karke usse thoda mulayam bana le. ise aur jyada trendy dikhane ke liye gahre rang ka eye shadow lagaye.

Jane Kis Tarah Ka Eyeliner Chune

Jab bhi aap eyeliner ko chunte hai dhyaan rakhe ki aap konse color texture aur isse konse tarike se lagana chahti hai. Eyeliner pencil, liquid aur cream ke rup mai milte hai iske alawa kai rang ke color mai bhi aate hai.

  • Jab kabhi aap patla liner lagana chahte hai to cream ya liquid liner ka istemal kare. Patla eyeliner lagane ke liye isse palko ke ekdam pas se lagaye.
  • Yadi aap halki si line banana chahti hai to pencil liner ka istemal kare. Isse aap apne anusaar halki line bana sakti hai.
  • Yadi kisi khas moke ke liye aapke pas chamakdar eyeliner nahi hai to aap eye shadow ke powder mai thoda sa pani milakar eyeliner laga sakte hai, halaki yah traditional eyeliner ki tarah jyada der tak nahi tikega.
  • Wahi jab bhi aap eyeliner kharide acchi quality ka kharide taki wo jyada samay tak tike aur gahre rang ka ho.

You may also like:- Janiye Kuch Simple Steps mai How to Apply Lipstick in Hindi

Chune Apna Pasandida Look

Jaisa ki aap jante hai eyeliner ko din ya rat kabhi bhi laga sakte hai. Parantu jab aap apna manchaha look chahte hai to apni palko ke anusaar thoda soch vichar kar mota ya patla laga sakte hai. Perfect Eyeliner lagane ke liye thodi practice ki bhi jarurat hoti hai.

Eyeliner Ko Kab Lagaye?

Eyeliner ko lagane ke liye pehle foundation, blush, eye shadow, aur mascara lagane ke bad sabse aakhiri mai lagaye. Agar aap pencil liner ka istemal kar rahi hai to pencil ki nok thodi sharp rakhe jisse aapka liner acche se lag jaye.

Apni aankho ka makeup barkarar rakhne ke liye makeup se pehle primer lagaye taki aapka makeup jaldi nahi nikle.

Eyeliner Ko Lagate Samay Dhyan Rakhe Kuch Bate

  1. Jab bhi aap eyeliner ko apni palko ke upar lagate hai tab kuch bato ka dhyan rakhna bahut jaruri hai. 
  2. Eyeliner ko lagate samay hamesha dhyaan rakhe ki bade stroke ki bajaye chote stroke ka istemal kare jisse aapke hatho ka niyantran nahi bigdega aur ek sidhi line banegi.
  3. Yadi aap pencil liner ka istemal kar rahe hai to uski nok ko sharpener se acche se thikha kar le, taaki aapka liner acche se lage. Pencil liner par thoda sa powder chidak de jisse eyeliner acche se lagega.
  4. Aapki rukhi twacha hai aur eyeliner ko lagane mai pareshani aati hai to aap palko ke upar cold cream laga le jisse aapki twacha ko moisture milega aur eyeliner ko acche se laga payenge.
  5. Eyeliner ko nikalte samay hamesha makeup remover ka istemal kare ya fir baby oil ki 2-3 bundo ko rui par dale aur use saaf kar sakte hai.
  6. Jab eyeliner ko saaf karne wale ho use ragde nahi kyonki aisa karne se palko ke bal tut jate hai. Ise halke hatho se saaf kare. Jaha tak ho sake waterproof eyeliner ka istemal kare

Kuch Bato Ka Rakhe Khayal:-

Aapke eyeliner ko kisi dusre ko lagane ke liye na de kyuki isse aankho ka sankraman failta hai, yadi aapko aisa kabhi karna pade to brush ko makeup remover ya alchohal se saaf karke ponch le fir uska istemal kare. Aisa karne se sankraman ka khatra kam ho jata hai. 30 se 60 dino ke bhitar aankho ke makeup ko badal dena chahiye.

Eyeliner ko hamesha bahar ki taraf se lagaye kabhi bhi andar ki taraf se na lagaye isse aankho ke bhitar sankraman hone ki sambhavna ho jati hai.

Upar aapne jana How to Apply Eyeliner in Hindi. Upar di gayi tips ki madad se aap apni aankho ki sundarta ko badha sakte hai. To ab intejar kis baat ka? Jaldi se try kijiye aur dikahye apne aankho ka jadu.

Loading...

You may also like...