Janiye Kuch Simple Steps mai How to Apply Lipstick in Hindi

Lipstick, makeup ka sabse badha hissa hai. Iska ek coat hi aapke chehre par chamak bhar sakta hai. Party ho chahe office har jagah mahilaye iska use karti hai. Taki vo aakrshit aur khubsoorat dikhai de.

Par bahut si baar dekha gaya hai, jab mahilaye isko sahi tarike se nahi lag apati hai, kyoki unhe iske baar mai sahi tarike se jankari nahi hoti hai. Isliye aaiye aaj iss artical mai hum aapko batate hai, How to Apply Lipstick in Hindi.

Aaj kal har mahila ke parse mai Lipstick shade maujud hote hai, jisse vo kabhi bhi use kar sakti hai. Par kabhi bhi ladkiyo kharab lagat hai ki unke subah ki lagai gai lipstick dopahar tak hi fiki pad jati hai.

Agar aapki bhi lipstick lambe samay tak nahi rahti hai. Ya aapko bhi nahi samjh aata ki kese aur konsa lipstick shade hum apne hontho par lagaye. To fir chaliye ab hum aapke sare sawaalo ka javaab dete hai.

Khate vakt ya pani peete vakt agara lipstick kharab ho  jaye to dubara use lagane ki vajah aap kuch niyamo ka palan kare. Jisse aapki lipstick bahut der ta bani rahegi. Jisse aapko bar-bar ise lagane ki jarurat bhi nahi padegi.

Saathi agar aap inn tariko ko apnati hai to aap kisi bhi party mai der tak aapne acche lipstick ke look ko banaye rakh sakti hai. Jisse  aapka confidences bhi badhega. To bas aaj se hi apni beauty ke liye inn tips ko flow kijiye.

How to Apply Lipstick in Hindi

How to Apply Lipstick ke Dwara Bnaiye Apne Hontho ko Khubsoorat

Hontho ko Swasth Rakhe

Agar aapke honth healthy hai, to lipstick apni jagah par lambe samay tak tiki rahegi. Hontho ko lagatar scrub karte rahe, jisse vah smooth bane rahenge. Aap iske liye toothbrush ka bhi prayog kar sakte hai. Iske alawa hontho par lip balm lagan na bhule.

You may also like:- Beauty Tips in Hindi: Sukhe Aur Fate Honth ke Liye

Lip Pencil

Lipstick lagane se pahle hontho par lip pencil lagaye. Aap iske liye new lip color ka prayog kar sakti hai, yeh sabhi prakaar ki lipstick shade ke liye kaam karega. Lip pencil ko hnotho ke beech  mai niche ki aur laga kar pure hontho par mix kare.

Lipstick Lagane ke Liye Brush

 How to Apply Lipstick ki baat kare to brush ka naam sabse pahle aata hai. Lipstick ko brush se lagane ka fayda hai ki, pressure ke saath lagai ja sakti hai aur aapke haatho ka control bhi us par bana rahega. Brush se lagate vakt dhyan rakhe ki brush mai bahut jayad color na bhare.  Apne brush ko week mai ek baar saaf kare.

Bloating

Jab aap apna pahla coat laga le, tab apne hontho ke beech mai tissue paper ko dba kar atyadhik lipsticks nikal le. Pahle coat ko agar bloating paper par poch liya to samjh lijiye ki aapki lipstick jayda na to failengi aur nahi hi mitengi.

You may also like:- Surprising Makeup Tips and Tricks – That Nobody Told you About

Powder Lagaye

Apne hontho par ungaliyo ki sahayta se translucent powder lgaye. Yeh hontho par rang ko set kar dega. Isse aapki lipstick na to halki padegi na hi failengi. Iske baad lipstick ka ek coat aur lagaye.

Makeup Tips

Lipstick Shade, Jo Aapke Hontho ko de Naya aur Trendy Look

Kahte hai ki gulabhi rang bachiyo ka pasindida hota hai, par jab baat makeup ki ho to kishor ladkiyo tatha mahilaye bhi iss rangi ki dawani najar aati hai. Chaliye ab hum aapko aise hi kuch lipstick shade ke baare mai  batate hai, jo ki aap khubsoorati ko nikharne mai kadad karegi.

Magenta

Magenta rang ka lipstick bahut sundar lagta hai. Isse aapka look akdam change hota hai. Aap chahe tab tab iss color ka use kar sakte hai. Isse aapka chehra akrshak aur aapke honth khubsoorat dikhai dete hai.

Baby Pink

Lipstick Shade mai baby pink color ki bahut mukhaye bhumika hai. Baby Pink ek saral tatha pyaara shade hai jo aapke hontho ko ek prakratik rang deta hai. Agar  aapko gahre shade pasand nahi hai tatha aapke hontho ka rang prakratik roop se gulabhi hai, to yeh shade aapke liye ekdam sahi hai. Halaki sham ki party ke liye lipstick ke saath isi rang ka lips gloss ya  lip tint lagaye.

Coral Pink

Agar aap ek aisi lipstick chahiti hai to na jayad gahri ho aur  na jayad fiki ho, to coral pink  aap ke liye perfect choice hai. Iss shade ko aap aam moke par bhi laga sakte hai. Saath hi yeh shade aapke pure look ko ek naya roop pradaan karat hai.

Mov Shade

Mov shade aapko ek stylish tatha fashionable look deta hai. Aap iss shade ko gahre ya fiki dono roop mai lag sakte hai. Aap isse dinner party, office tatha aam savsaro par bhi laga sakte hai.

Rose Pink

Ek chanachal tatha nam look ke liye rozana ek nirmal tatha madhur shade hai ki jaryrat hai. Jiske liye  rose pink ekdam paerfect  hai.Yeh ladkiyo ka pasandida shade hai. Ghunghrele baal, bronze eye shadow tatha irose pink lipstick ka combination bahut aacha dikhai deta hai.

Red Lipstick

Agar aapko lips bahut attractive dikhana hai to aap red color ka lipstick lagaye. Bas dhyan rahe ki, aap jab yeh lipstick lagaye to apne foundation ka color thoda light kar de. Agar aap din ki party mai ja rahe aur aapko lagata hai ki, yeh color bahut uttejak dikhai de raha hai, to aap red ke saath  koi aur color bhi mix kar sakte hai.

Saath hi sabse badi baat gahri red lipstick ki jyada parte na lagye. Agar aapke honth bahut mothe tatha bhare huye tabhi red lipstick ko lagaye. Agar aapke honth patle hai to iss lipstick ko na lagaye.

Upar aapne jane How to Apply Lipstick in Hindi se jude sare jaruri tathaye, to bas der kis baat ki aaj se hi inn tariko ke dwara apne hontho ke liye color shade ko select kare aur hamesha sundar dikhe.

Makeup Tips se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.

Loading...

You may also like...