Janiye Kuch Simple Step mai How to Reduce Face Fat
Face par charbi ya kahe double chin keval kuch hi age tak accha dikhai deta hai. Jaise aapki age badhane lagti hai vaise-vaise slim face ki sundarta ki category mai daal diya jata hai.
Kai ladkiya ko apne fhule huye gaal bilkul nahi pasand karti kyoki isse mai wah moti dikhai dene lagti hai. To chaliye aaj iaa article mai hum aapko batate hai, How to Reduce Face Fat.
Face par charbi hone se aap badhe dikhai dene lagte hai. Kahane ka matlab hai ki, aapki age jyada dikhai dene lagti hai. Isliye accha hoga ki, aap apne face ke fats ko jaldi hi kam kar le.Taki aapki sundarta hamesha bani rahe.
Face par charbi kai vajah se badh sakti hai jese, pani ka sevan kam karna, diet mai vasa ka hona ya fir vnshanugat. Ise chupane ke liye aap chahe make-up kar le, lekin yeh chupne wali cheez nahi hai.
Aaj hum aapko kuch upay bataiyenge jinki help se aap apne face ki charbi ko khafi kam kar sakti hai, aaiye jante hai, inn bemisaal tarike ke baare mai, jo aapko iss pareshani se hamesha ke liye dur kar sakte hai.
How to Reduce Face Fat, Chehre ki Charbi Kam Karna Huya Aasan
Khub Sara Pani Pijiye
Yadi aap bahut jyada pani piyenge to apka weight jaldi kam hona start hoga. Yeh sharir mai dehydration ko theek kar ke chehre ka aakar sahi karta aur fats ko kam karta hai. Yeh sharir mai pani ki kami aur Electrolytes ko kami ko bhi theek karta hai. Saath hi agar aap rozana pani ki ek nishchit matra ka sevan karenge to aapke sharir se sari gandgi bhi bahar nikal jayegi.
Diet mai Fat Ghataiye
Apni diet mai vasa kam kijiye kyoki aahar ke madhayam se jo vasa aap khati hai vah seedhe jama ho jata hai, jisse aapke gaal bhari dikhai dete hai. Yeh har kisi ke saath nahi hota par aapka face phale se hi bhari hai to vasa ka sevan kam kar de. Jisse ki aap apne chehre ke fats ko kam karne mai safal rahe.
Breakfast na Chhode
Poshtik breakfast khane se aapka metabolism tez hoga. Isliye aap dinbhar mai jab bhi aahar khati vah puri tarah se breakdown ho jata hai. Yadi aap apna breakfast chodegi to aapka metabolism slow padh jayega, jisse fat jama hone shuru ho jayega. To dhyan rahe ki bina nashte kiye kabhi bhi ghar se bahar na jaye.
Khub Sare Fruits Khaiye
How to Reduce Face Fat ki baat kare ti yeh ek bahut accha tarika hai ki,aap phalo ka sevan kare. Fruits khane se usme moujud pani se apka pet jaldi bhar jayega, jisse aap karb aur fatty food khane se bach jayengi. Jo log khub jayada phalo ka sevan karte hai unka face patla rahta hai. Saath hi unka swasth bhi bahut aacha rahta hai. Unhe koi bimari bhi nahi hoti hai.
Reduce Face Fat Tips Ke Dwara Aakar Dijiye Apne Chehre ko
Calcium ka Sevan
Calcium wale aahar khane se weight kam hota hai aur face ke andar jama huya pani khatam hota hai. Aap dudh dahi se bane utpaad, sea food, daal, hari pattedar sabji aadi kha sakti hai. Jisse ki aapko calcium ki ek sahi matra mil jaye aur aap hamesha swasth rahe.
Vyayam
Rozana 30 minutes vyayam karne ki aadat daal lijiye. Aap chahe to jogging, swimming ya brisk Walking kar sakti hai. isse apka weight jaldi kam aur face par fats nahi jamega. Kyoki yhe tips na sirf aapke face balki aapki puri body ki sehat ke liye acchi hoti hai. Isliye aaj se hi inn aapi dincharya mai vyayam ko shamil kare.
You may also like:- Beauty Tips in Hindi: Vyayam jo Chehre ko Rakhe Bright
Humesha Muskrati Rahe
Yeh ek type ki facial exercise hai, jisse face ka fats turant khatm hota hai. Smile karne se face ki maspeshiya aur tight banti hai. To bas dhyan rahe ki apne vyast jivan mai apni muskurahat ko hamesha barkarar rakhe. Jisse ki aapke face ko ek sahi aakar milenga.
Aache se Soye
Neend ki kami hone ki vajah se hormones imbalance ho jata hai, jisse weight badhne lagta hai. Isse face par bhi charbi badh jata hai. isliye humesha 8 hour ki neend puri kare. Neend na sirf aapko vajan badhe se bachati hai, balki yeh aapko tanav aur thakan se dur rakhati hai.
Hairstyle mai Change Kare
Hairs ko ek aisa shape de, jisse apka face mota na dikhe. Iske liye apni Hair stylists se baat kare. Agar aapke hair sahi shape mai kate hai to apka face jayada bhari nahi dikhega.
Na Piye Sharab
Agar face suja hua dikhai dene laga ho to samjhe ki aap ne jayada sharab peena shuru kar di hai. Weight badhne ke alava sharab liver ki bhi bimari ko lata hai. To agar aap bhi jayda sharab pite hai to aaj se iska sevan chhod de aur hamesha swasth rahe.
You may also like:- Benefits of Quitting Alcohol: Sharab Chodne ke Gharelu Nuskhe
Facial Exercises, Vyayam ke Dwara Kam Kijiye Apne Face ki Charbi
Blow Balloons
Gubaare mai hawa bharne se aapke chehre ke saare fats bahut jadi khatam ho jate hai. Yeh ek bahut acchi exercise hai, jo ki aapko bahut jaldi result deti hai.
Rotating Tongue Exercise
Exercise to reduce face fat ki baat kare to rotating tongue ka naam sabse pahle aata hai. Yeh ek bahut simple par bahut jayad effective facial exercise hai. Iske liye aap apne muh ko band karke apni jeebh ko charo aur ghumaiye. Ise rozana 15 minutes ke liye roz kijiye. Isse aapko bahut aache result milenge.
Face Massage
Facial massage ek bahut acchi exercise hai aapne chehre ki chrabi ko kam karne ke liye. Saath hi isse aapke chehre ka glow bhi bana rahat hai.
Face Stretching Exercise
Yeh exercise aapke face ke ko stretch hai. Jisse ki aapke face par jama charbi hamesha ke liye khatam ho jati hai aur aapka face ka ek alag shape milta hai.
You may also like:- Benefits of Stretching se Banaye Apni Body ko Flexible
Gargle Exercise
Yeh bhi bahut aacha aur aasan tarika hai ki, aap din mai 3 se 4 bar gram pani ke kula kare. Iske liye aap apne muh mai pani bhar kar us pani ko muh ke andar charo aur ghumaye.
Puffy Cheeks Exercise
Yeh bahut prabhavi exercise hai, apne face ke upar aur beech ki charbi ko kam karne ke liye. Isse aap rozana kare. Iss exercise mai aap apne muh mai hawa bhar kar thodider apne muh ko aise hi rahne de, fir dheere-dheere yeh hawa ko muh se bahar nikal de. Isse aap din mai kam se kam 2 baar jaruru kare.
Upar aapne How to Reduce Face Fat ki baare mai puri jan kari to leli hai. To bas der kis baat ki aaj se inn tarike ke dwara pane chehre ki charbi ko kam kijiye.
Reduce Face Fat se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Weight Loss.