Janiye Aasan Steps mai How to Remove Blackheads in Hindi
Ladka ho ya ladki chehre mai blackheads ki samasya kisi ko bhi ho sakti hai. Yeh hamare chehre ki sundarta ko kam kar dete hai aur itna hi nahi ye hamare liye hanikarak bhi hote hai. Kabhi-kabhi pareshan hoke hum ise dabakar nikalne ki koshish karte hai, jo ki nuksaandeh bhi ho sakta hai.
Logo mai yeh myth hota hai ki blackheads bahar ki dhool, tanav, nind ka pura na hona, hygiene mai kami aur sharir mai poshak tatvon ki kami hona aadi ki wajah se hota hai. Parantu aesa nahi hai. Jab sebum ya twacha ki koshikaye hawa se sampark mai aati hain tab iske oxidization ki wajah se blackheads ho jate hai.
Yeh tab hota hai, jab aapki twacha ke pores khul jate hai aur oxidization twacha ko kala bana deta hai. Yeh paya gaya hai ki purusho ki tulna mai mahilayen naak mai blackheads hone par jyada pareshan ho jati hain. Halaki, aaj ke daur mai, mahilaye hi nahi balki purush bhi isse chhutkara paane ke tarike dhundne lage hai. Halanki isse chhutkara pana thoda mushkil hota hai, lekin naa munkin nahi hai. Isse nijat ke liye kayi upay hote hai. Aaiye jante hai How to Remove Blackheads in Hindi.
How to Remove Blackheads in Hindi: Paye Swasth Twacha
Blackheads ke chalte twacha kali aur gandi dikhai deti hai. Iske liye aap beauty parlor ke chakkar katate hai. Lekin ab aapko aesa nahi karna hoga kyonki ham aapko bata rahe hai How to Remove Blackheads at Home in Hindi:-
Extractor ka Surakshit Istemal
Agar aap blackheads ko apne hath se nikalne ka prayas karte hai, to yeh apki twacha par nishan chhod sakta hai. Aese mai extractor ke surakshit upyog se bina dag-dhabbe aur khoon ke aap saaf twacha pa sakte hain. Step by step jane Best Way To Remove Blackheads.
Twacha Ke Pores Khole: Extractor ka prayog karne se pehle blackheads ko saaf aur nam karne se ise dur karne mai aasani hoti hai. 2 se 3 minutes tak garam aur gili toliye se chehra dhakne se ya fir chehre par steam karne se pores open ho jate hai.
Hatho Ko Saaf Kare Ya Dastane Pahne: Apne hatho ko face ke sampark mai aane par bacteria se bachane ke liye hathon ko achhe se dho le. Ya vaikalpik roop se, extractor ka prayog karne ke liye apne hath mai dastane pahne. Iss tarah, blackheads ko hatane ke liye aapki safalta ka star aur bhi badh jaega.
Blackheads Ko Sterilize Kare: Extractor tool ko upyog karne se pehle blackheads ko achhe se saaf karle taki bacteria pores mai na ja sake. Aakhirkar, hamara mukhya lakshya to bacteria ko hi pores se nikalna hai. Jis kshetra mai aapko tool ka prayog karna hai, waha toop ke istemal se pehle thodi si alcohol se rub karke use achhe se saaf kar le. Iske alawa extractor tool ko bhi achhi tarah se dho kar saaf kar le taki bacteria se bach sake. Ek cottn mai thodi sa alcohol leke tool ko achhe se rub kar le.
You may also like:- Home Remedies for Blackheads: Comedones Se Nijad Paye
Sahi Extractor Tool Chune: Blackheads ko hatane ke liye come dome extractor tool ka istemal kiya jata hai, wahi whiteheads ko extractor se nikalne se pahle ek tej lancet ki madad se pierce karne ki avashyakta hoti hai. Blackheads ke liye upyog kiya jane wala sasbe aam extractor tool 2-ends wala hota hai, jiske dono ends alag alag size ke hote hain. Chehre se blackheads nikalne ki prakriya shuru karne se pehle aap apne blackhead ke size ke anusar tool ke end ka size chun sakte hain. Aur, tool ka istemal bahut hi savdhani se kiya jana chahiye.
Extractor Se Blackheads Nikale: Extractor ko blackheads ke kshetra mai kendrit karke blackheads ko nikale aur thoda pressure ke sath extractor se dhire dhire aspas ke kshreta ke blackheads ko nikale. Iss tarah blackheads puri tarah se follicle se nikal jaega aur aap pores se tel rista dekhenge.
Bahe hue Khun ko Treat kare: Kuch cases mai, extractor tool ke upyog karne ke bad twacha se thoda khoon bhane lagta hai. Mahin ya reshmi kapde ki madad se twacha par lagaye, taki khoon absorb ho sake. Agar ise achhi tarah se kiya jae, to kuch hi palo mai khoon bahna band ho jayega.
Aakhiri Charan: Sankraman ko rokne ke liye atirikt satark rehna jaruri hai. Blackhead rahit twacha ko saaf karne ke liye alcohol pads se twacha ko rub kare. Extractor tool ko bhi acchi tarah se dho lena chahiye. Yaad rakhe, acche hygiene aur saf-safai ke liye satark rahne se blackheads ke ilaaj mai achhe aur behtar parinam milte hai.
You may also like:- Day Makeup Tips in Hindi: Aakarshak aur Khubsurat Dikhe
Stripes Ka Istemal
Stripes ka upyog chehre mai pores se blackheads ko nikalne ke liye kiya jata hai. Stripes ka kushalta se prayog karne par bina kisi nishan ke pores chhote ho jate hai. Jane ise istemal karne ki prakriya;
- Sabse pehle naak achhe se saaf kar le.
- Saaf pani se nak ko dho le.
- Ab nak ke blackhead pores par stripe ko chipkaye aur ungaliyon ki madad se dabaye.
- 15-20 minutes ke bad ise dhire dhire se nikal le.
Upar aapne jana How to Remove Blackheads in Hindi. Yeh do mahatvpurn tariko ki madad se aap bhi aasani se aur badi kushalta se blackheads se chhutkara pa sakte hai.