How to Remove Tan- Twacha Ka Kalapan Dur Karne Ke Tarike

Jaisa ki ham sabhi jante hai ki jald hi sardio ka mosam aane wale hai. Iss wakt mai suraj ki dhoop lena sabko accha lagta hai. Vaise to thodi dhoop lena hamare sharir ke liye acchi hai. Lekin agar jyada der iss dhoop mai baitha jaye to sun tan jaisi samasya hone lagti hai.

Sun tanning ya sunburn ki wahaj se hamari twacha kali ho jati hai aur puri ronak kho deti hai. Kuch log isse chutkara pane ke liye bleach ya anya rasayanik utpado ka istemal karte hai. Inn utpado ke istemal se unki twacha sudharti to nahi balki aur kali ho jati hai.

Lekin aapko ghabrane ki jarurat nahi hai kuch aasan upayo ko apnakar aap tanning jaisi samasya se chutkara paa sakte hai. Yaha padhiye How to Remove Tan in Hindi, jiski madad se aap wapis gori aur chamakdar twacha paa sakte hai.
 

Jane Tan Se Rahat Pane Ke Asardarak Upay

 
How to Remove Tan in Hindi
 

Sunscreen Ka Istemaal

Kuch upayo ko apnakar aap sun tanning se chutkara paa sakte hai. Lekin ham aapko bata de ki yadi aap dhoop se nikalne se pehle sunscreen ka istemal karenge to aapko sun tanning hogi hi nahi. Kuch log sochte hai ki sirf garmiyo mai hi sunscreen lagana chahiye lekin aesa bilkul bhi nahi hai, sardi ke dino mai bhi suraj ki kirane twacha ko nuksan pahuchati hai. Isliye chahe koi bhi mosam ho yadi aap dhoop mai nikal rahe ho to sunscreen ka istemal karna naa bhule.

Masoor Ki Dal aur Alovera

Masoor ki dal ghar mai paya jane wala aesa behatarin utpad hai jo ki gahre se gahre tan ko bhi nust kar deta hai. Ise alovera ke sath lagane se twacha ka kalapan hat jata hai. Takriban 15 minute tak masoor ki dal ko pani mai sokh kar rakhe, fir ise piskar iska paste banaye. Iss paste mai alovera jel milaye. Inn sab ko milakar gale aur chehre par acche se malish kare. 20 minute chehre par rakhne ke baad pani se dho le.
 
You May Also Like:- Swimming ke Douran Twacha Par Tanning Dur Karne ke Upay
 

Nimbu Bhi Faydemand

Yadi aap apni twacha ko tan hatane ke sath sath use mulayam bhi rakhna chahte hai to nimbu(Lemon) bahut hi faydemand rehta hai. Taza nimbu lekar use apne sharir ke prabhavit hisse par 15 minute tak ragde. Puri tarah sukhne ke bad ise saaf pani se dho le.

Dudh – Haldi

Kacche dudh mai haldi aur nimbu ka ras milakar use twacha par lagakar kuch samay ke liye chod de. Iske bad ise gungune pani se dho le. Isse bhi jald hi tanning khatam ho jayegi.

Chandan Powder

Chandan powder kali twacha ki rangat nikharta hai aur tanning ko bhi kam karta hai. Chandan ko dudh ya thoda sa nimbu ka ras milakar ek paste bana le. Iss paste ko sukhne tak tanning wali jagah laga rehne de, fir thande pani se dho le. Isse tanning thik ho jati hai.

Ubla Hua Aalu

Skin ke tanning ko hatane ke liye uble hue aalu mai aadha chammach nimbu ka ras milakar chehre par lagaye. Isse skin ka kalapan dur hoga.

Roj Snan Kare

Bahut se log thandi ke dino mai roj nahana avoid karte hai. Lekin kya aap jante hai ki garm pani ke snan se tan jaldi thik hota hai. Darahsal roj snan karne se purani twacha kosikao ko nikalne mai madad karti hai. Aap chahe to tan dur karne ke liye soap ka istemal bhi kar sakte hai. Lekin ek baat ka khayal rahe ki nahane ka pani na jyada garm ho aur na jyada thanda. Jyada garm pani aapki twacha ko khusk bana sakta hai.

Tips to Remove Tan – Anya Tarike Inhe Bhi Jane

  1. Taze dahi mai besan aur nimbu ka ras milakar lagane se twacha mai rangat aati hai. Yadi aap iss mishran ko niyamit tour par do bar lagati hai to aapko skin tan se chutkara milega. Sath hi yadi aapke chehre par muhase ke nishan hai to wo bhi halke pad jayenge.
  2. Strawberry mai rang gora karne ke gun hote hai. Jisse kale dhabbe, yaha tak ki chehre par chakatte banne ki samasya bhi dur hoto hai. Bus pisi hui strawberry aur 2 chammach malai le aur ise chehre par lagakar aadhe ghante bad dho le.
  3. Kesar ka istemal sadiyo se twacha ki dekhbal ke liye kiya jata raha hai. Yeh twacha ko chamakdar banata hai, Use tone karta hai. Tan hatata hai aur muhase se ladta hai. Thode se kesar aur 2 chammach malai ko aapas mai milaye aur chehre par lagaye. Ise 20 minute tak sukhne de fir thande pani se dho le.
  4. Santre mai prachur matra mai vitamin c hota hai jo twacha ki ashuddhiyo se ladne mai madad karta hai. Santre mai mojud cologne umra badhne ki prakriya ko dhima kar dete hai tatha twacha mai kasavat pradan karte hai. 1 chammach santre ke ras mai ek chammach dahi le aur ise apne chehre par lagaye. 30 minute bad pani se chehra dho le.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...