Immunity Boosting Foods in Hindi: Pratirodhak shamta Badhaye

Badalta mosam bahut si bimariyo ko apne sath lekar aata hai. Aese mai jin logo ka immunity system kamjor ho wah jald hi bimar padh jate hai. Vyayam ki kami aur galat khan pan ke chalte sharir ki rog-pratirodhak kshamta kam hone lagti hai. Jisse sharir ki bimariyo se ladne ki shakti bhi kam ho jati hai. Yadi vyakti apni rog-pratirodhak kshamta ko majbut kar le to sharir ko koi bimariyo se jakadne nahi dega. To aaiye jane Immunity Boosting Foods in Hindi.

Immunity system ko badhane ke liye hame apne aaharo par dhyan dene ki jarurat padti hai. Bahut se aese aahar hote hai jo ki sharir ko kai prakar ki bimariyo se ladne ki shakti pradan karte hai. Rog pratirodhak kshamta badhane wale aahar hai santra, papita, amrud, strawberry aadi.

Inn sabhi aaharo mai vitamin C hota hai jo ki sharir ko hone wali sardi, khansi, jukham, bukhar aur kamjori aadi ko dur karne mai madad karta hai. Sharir ke immunity system ko badhane ke liye vitamin C aur beta carotene se yukt strot jaise mosambi, nimbu, santra aadi bahut acche hote hai .

Iske alava sharir mai zinc ki purti ke liye seafood aur dry fruits ka istemal karna chahiye. Wahi vitamins ki purti ke liye phal aur sabjiyo ka sevan labhprad hai. Yeh sabhi aahar hamare sharir ki rog-pratirodhak shamta ko badhane mai madad karte hai.
 

You may also like: Fat Burning Foods in Hindi: Janiye Motapa Kam Karne ke Aahar

 

Immunity Boosting Foods in Hindi: Rogo Se Ladne Ki Shakti Dene Wale Aahar

 
Immunity Boosting Foods in Hindi
 
Badalte mosam ke sath-sath vatavaran mai bahut se bacteria aur virus ikatte ho jate hai. Jo ki hamari saans ke dwara sharir mai pravesh karne lagte hai. Lekin hamara pratirodhak tantra hamesha inn bacteria aur virus se ladta hai jisse yeh hamare sharir mai pravesh na karne paye.

Lekin kai bar inn keetanuo ki shakti bahut adhik badh jati hai jisse yeh hamare pratirodhak tantra ko todkar sharir ke andar pravesh kar jate hai. Natijnat sharir ko jukham, gale ka kharab hona, flu ya fir bukhar aadi samasyao ka samna karna padta hai. Isliye hame apne pratirodhak shamta ko badhane ke liye sahi aaharo ka sevan karna bahut jaruri hota hai. To yaha dekhiye Foods That Boost Immune System .
 

Lehsun   

Lehsun hamari rog-pratiroshak kshamta ko badhane wale khadya padartho mai sabse aham mana jata hai. Lehsun anti-oxidant se bharpur tatv hai jo ki sharir ko kai prakar ki bimariyo se ladne ki shakti deta hai. Iske alava lehsun mai allicin namak ek aesa tatv bhi hota hai jo ki sharir ko hone wale kai prakar ke sankraman aur bacteria se ladne ki shakti deta hai.

Lehsun ka istemal karne se alsar aur cancer jaise rogo se bachav hota hai. Iske istemal ke liye rojana subah lehsun ki 2 kaliyo ko jarur khana chahiye. Isse ucch raktchap ko niyantrit karne mai madad milti hai sath hi rog-pratirodhak shamta bhi badhti hai.
 

Alsi Ka Beej

Alsi hamare sharir ke liye bahut accha immunity booster hai. Sharir ka swasth banaye rakhne ke liye isme bahut se gun hote hai. Lekin aaj bhi kuch log aese hai jo ki alsi alsi ka adhik sevan nahi karte hai. Lekin ham aapko bata de ki alsi ka niymit sevan karne se sharir ko kai prakar ke rogo se chutkara milta hai.

Alsi mai alpha-linolenic acid, omega-3 aur fatty acid hota hai jo ki hamare sharir ki rog-pratirodhak shamta ko badhane mai madad karta hai. Omega 3 hamare sharir mai apne aap nahi banta hai ise bhojan aur aaharo ke dwara hi liya jata hai. Iske alava shakahari vyaktiyo ke liye alsi hi omega fatty 3 acid ka sabse accha strot hai.
 

Hari Sabjiyo Ka Sevan Kare

Hari sabjiya hamare sharir ke liye bahut jaruri hoti hai. Hari sabjiyo mai kai prakar ke vitamins aur khanij tatv paye jate hai. Hari sabjiyo mai vitamin A, B, C, iron, calcium aur fiber jaise tatv ki adhik bharpur matra mai hoti hai jo ki sharir ki rog-pratirodhak shamta ko badhane mai madad karte hai.

Iske alava hari sabjiyo mai rogo se ladne ke liye anti-oxidant ka gun bhi hota hai. Yeh gun sharir ke free radicals ko khatm karne mai madad karta hai jo ki cancer ka karan banta hai sath hi use badhne se rokta hai.

Hari sabjiya hamare pachan tantra ko bhi majbut banati hai aur pet saaf karti hai. Shayad aap jante honge ki pet ko se sabhi vishakt padartho ko bahar nikalne mai pani aur fiber ki bahut adhik matra mai hona jaruri hota hai. Aap shayad nahi jante honge ki fiber ki sabse adhik matra hari sabjiyo mai hi hoti hai. Isliye apne aahar mai hari sabjiyo ko shamil kare aur rahe swasth.
 

You may also like: Anti Aging Foods: Inn Aaharo Ki Madad Se Chupaye Apni Umra

 

Vitamin C Se Yukt Khadya Padarth

Vitmain C anti-oxidant guno se bahrpur hota hai jo ki sharir ke liye kai taraiko se faydemand hota hai. Sharir ko vitamin C hari sabjiyo aur phalo se prapt hota hai. Iske alava tamatar, shimla mirch, rasile aur khatte phalo mai vitamin c ki adhik matra hoti hai.

Vitmain C sharir ki rog-pratirodhak shamta ko badhane ke sath-sath hamare khun se cholesterol ki matra ko kam karne mai bhi sahayak hota hai. Iske sath hi vitamin C sharir ke safed rakt koshikao ke acche se karya karne mai madad karta hai jisse immunity system majbut banta hai. Iske alava yeh sharir ko kai prakar ke sankraman se ladne ki shakti bhi deta hai.
 

Green Tea Pina Hai Faydemand

Green tea anti-oxidant guno se bharpur hota hai. Isliye iska prayog sharir ki rog-pratirodhak shamta ko badhane, vajan aur motape ko kam karne mai bhi kiya jata hai. Iske alava yadi chay bina shakkar aur chini ke ho to wo bhi faydemand hoti hai. Isme calorie ki bahut kam matra payi jati hai.

Green tea mai vitamin C aur polyphenole ke gun bhi hote hai jo ki sharir se hanikarak bacteria aur virus ko khatam kar immunity system ko majbut banane mai madad karte hai.Green tea pine se sharir ko hone wali sardi, jukham aur khansi se bhi rahat milti hai. Ise aap tea banakar ya fir shahad aur nimbu milakar bhi pee sakte hai.
 

Sukhe Meve

Dry fruit mai vitamin E ki bharpur matra payi jati hai jo ki hamare sharir ki rog-pratiroshak shamta ko badhane ke liye bahut jaruri vitamin hota hai. Dry fruit ka sevan karne se hamare sharir ko takat milti hai. Inme protein, kai prakar ke minerals, iron, fiber, zink aur magnesium ki acchi matra hoti hai jo ki sharir mai hemoglobin ki kami ko bhi pura karne mai madad karte hai.

Badam mai vitamin E ki bharpur matra hoti hai jo ki hamare sharir ki natural killer cells ko badhane mai madad karta hai. Iske alava badam ka sevan karne se sharir mai b-type cells ki sankhya bhi badhne mai madad milti hai. Yeh b-type cells, anti-bodies banane ka kam karti hai jo ki sharir ke hanikarak bacteria aur virus ko khatam karne mai madadgar hota hai.
 

Anti-Oxidant Se Bharpur Hai Haldi

Haldi, anti-oxidant gun se bharpur hoti hai iIsliye yeh ek acchi immune system booster kehlati hai. Sath hi haldi, rakt ko shuddh karne aur sharir ke rang aur rup ko sudharne ka mahatvapurna kam bhi karti hai. Haldi mai mojud guno ki wajeh se yeh sharir ko cancer se lekar Aljaimer tak ki gambhir bimariyo se bachane mai madad karta hai.

Iske alava haldi mai curcumin namak tatva sharir ke blood se sugar leval ko niyantrit karta hai  jisse glucose ka metabolism sahi se ho sake aur vyakti madhumeh jaisi bimariyo se dur reh sake.
 

Dahi Khana Bhi Hai Faydemand

Shayad aap jante honge ki dahi mai dudh ki apeksha calcium ki adhik matra payi jati hai. Iske alava dahi mai kai prakar ke bacteria aur poshak tatv bhi hote hai jo ki sharir ke liye anti-biotic ka kam karte hai. Jisse hamare sharir ki rog-pratirodhak shamta ke badhne mai madad milti hai.

Dudh ke sath-sath dahi mai kai prakar ke vitamins aur protein ke alava lactose, calcium, phosphorous, iron aadi kai khanij tatv bhi hote hai. Isliye rojana dahi ka sevan jarur karna chahiye. Iske sevan se sharir ko sabhi jaruri poshak tatv aur vitamins milte hai jo ki kai prakar ki bimariyo se ladne ki shakti pradan karte hai.
 

Aahar Mai Mirch Shamil Kare

Sharir ki rog-pratirodhak shamta ko badhane ke liye Mirch ka prayog bhi faydemand hota hai. Yeh sharir ke liye natural blood thinner ka kam karti hai, endorphins ke release mai madad karti hai sath hi sharir ke metabolism ko behtar banane mai bhi madad karti hai. Chilies mai mojud beta-carotene hamare sharir mai pravesh kar vitamin A mai badal jata hai jo ki kai prakar ke sankraman se ladne ki shakti bhi deta hai.
 

Immunity Boosting Foods in Hindi: Inn Aaharo Ka Sevan Bhi Hai Faydemand

  1. Dalchini mai mojud anti-oxidant gun khun ka thakka jamne se rokne aur hanikarak bacteria ke badhne se rokne mai madad karta hai. Sath hi dalchini sharir ke blood shugar aur cholesterol ko bhi niyantrit karta hai.
  2. Sharir ke immunity system ko badhane ke liye shakarkand ka sevan bhi labhkari hota hai. Yeh sharir ke pachan tantra ko majbut banata hai aur Parkinson’s, aljaimer aur dil se judi pareshaniyo se nijad dilane mai madad karta hai.
  3. Iske alava anjeer, potassium, manganese aur anti-oxidant tatvo se bharpur hota hai. Sath hi yeh sharir ki ph level ko bhi niyantrit karne mai madad karta hai. Iske alava isme mojud fiber blood se shugar level ko bhi niyantrit karne mai madad karta hai.
  4. Sharir ki rog pratirodhak shamta ko badhane mai mashrum ka bhi alag yogdan hai. Yeh safed rakt koshikao ke karya ko badhakar sharir ke immunity system ko boost karne mai madad karta hai. Sath hi mashrum sharir ko cancer se ladne ki shakti bhi deta hai.

Upar aapne jana Immunity Boosting Foods in Hindi. Yadi aap bhi apne sharir ki rog-pratirodhak shamta ko badhana chahte hai to aaj se hi upar diye gaye aaharo ka sevan karna shuru kare aur rahe aneko bimariyo se dur.

Loading...

You may also like...