Apamarga in Hindi – Anek Rogo Ke Liye Upyukt Ek Dawa

Bharat desh sadiyo se hi aushdiya vriksho ka gad mana jata raha hai. Yaha anek aise ped poudhe hai jo kisi na kisi prakar se manushya sharir ke liye labhkari sabhit huye hai. Bahut se aise vriksh bhi hai jo aushdhiya ped ke sath-sath jinka dharmik mahtv bhi hai. Aisa hi ek poudha hai jo saharo mai bag-bagicho ke aaspas ya khule sthano par atydhit dekha jata hai, jise hum Apamarga ke naam se jante hai. Aam bhasha mai log isse Aandhi-jhada bhi bola jata hai.

Yeh ek shupjatiya aushdhi hai, jisse chirchita ke naam se bhi jana jata hai. Varsha ke sath hi yeh ankurit hoti hai, ritu ke ant tak badti hai tatha shit ritu mai yeh phulo se sushobhit ho jati hai. Iske phul hare, gulabi tatha beej chaval ke saman hote hai, jinhe tandul kahta hai. Iska bhi ayurvedic dawao mai bahut istemal hota hai.

Iska poudha 3-5 feet ka hota hai. Iske patte andakar 1-5 inch tak lambe aur rom wale hote hai. Yeh lal aur safed do prakar ka hota hai. Safed apamarga ke danthal aur patte hare tatha bhure rang ke hote hai. Iss par jau ke saman lambe beej lage hote hai. Lal apamarga ke danthal lal rang ke hote hai tatha patto par lal rang ke chite hote hai. Iski pushp manjari 10 se 12 inch lambi hoti hai. Jisme visheshtah potash paya jata hai.

Apamarga Tree multah manav rogo ke liye mukh marg se prayukt hota hai, par bahari prayog ke roop mai bhi iska churn matra sunghne matra se aadha sharir ka dard, behoshi, mirgi mai aaram milta hai. Netro rogo mai iska anjan lagane se rahat milti hai. Aise hi yeh anek rogo mai labhprad hai, to aaiye jante hai Apamarga in Hindi aur isse hone wale labho ko vistar se.

 

Apamarga in Hindi: Janiye Iske Aushdhiya Gun aur Labh

 

Apamarga in Hindi

 

Vibhinn Bhashao Mai Naam

Aam bolchal ke alawa anya bhashao mai Apamarga Tree ko alag-alag naam se jana jata hai. Aaiye jante hai –

  1. Sanskrit – Apamarga
  2. Hindi – Chirchita, Latjeera, Aandhi-jhada
  3. Marathi – Adhada
  4. Gujrati – Aghedo
  5. Bangali – Apang
  6. Telegu – Ducchinike
  7. Kannad – Uttren
  8. Tamil – Nakurivi
  9. Malyalam – Katlati
  10. Farsi – Kharevaju
  11. English – Rough Chef Tree

 

Rasayanik Tatv

Iske patto se banane wali rakh mai 13 pratishat chuna, 4 pratishat loha, 30 pratishat shaar, 2 pratishat namak tatha gandhak hota hai. Iske patto ki rakh ki tulna mai iski jad ki raakh mai atyadhit tatv paye jate hai.

 

Apamarga ke Gun

Yeh tishn artha tikha, agni pradipt karne wala, kadwa, pachak aur cough, vaat – pitt, hriday rog, affara ya pet dard, bavasir, khujali, tatha udar rog ko nasht karne mai madad karta hai.

 

You may also like:- Gond Katira Benefits in Hindi – Iske Prakratik Guno Ko Samjhe

 

Apamarga Uses – Janiye Iske Prayog

Apamarga ka upyog ganesh puja, haritalika puja aadi mai bhi kiya jata hai. Aaiye jante hai iss ayurvedik plant ka prayog hum kin-kin rogo mai kar sakte hai.

 

Danto ke Rog

  1. Chirchita ki jad ko kaan par bandhne se daant mai laga kida nasht ho jata hai.
  2. Iski dali ya danthal se datum karne se daant majboot hote hai. Kabhi-kabhi achanak hone wala daanto ka dard dur hota hai, masudo se khoon aana band hota hai. Sath hi iske patto ko chabane se bhi daanto ka dard thik ho jata hai.
  3. Iske phulo ki manjhar ko piskar niyamit datun karne se daanta majboot hote hai. Iske tane ya jad ki datum karne se daant majboot tatha muh ki durgandh dur hoti hai.

 

Aankho ke Rog

  1. Apamarga ko pani mai ubalkar, halka garm pani ko ruyi ke foho ki madad se lagane par aankho ki sujan, jalan, palko par hone wali mawad aadi rog dur ho jate hai.
  2. Iski jad ke 2 gm churn ko 2 chammach shahad ke sath milakar 2-2 bund aankho mai dalne se aankho ka fulna kam ho jata hai.
  3. Latjeera plant ki 10gm jad ko pratidin shaam ke samay mai khane ke baad chabakar sone se 4-5 dino mai hi ratondhi ke rog mai aaram milta hai.
  4. Iski saaf jad ko tambe ke bartan mai, thoda sa senda namak mile huye dahi ke pani ke sath acchi tarah ghiskar aankho par lagane se dhundhala dikhna, aankho ka dard, aankho se pani aana, aankho ki lalima, ratondhi aadi rogo mai labh hota hai.

 

Garbhdharan Karne ke Liye

  1. Atyadhik raktstrav ya aniyamit masik dharm hone ke karan jo mahilaye garbh dharan nahi kar pati hai. Unhe apamarga ke 10 gm patte ya jad ko gaay ke 125 gm doodh ke sath piskar acchi tarah chankar, 4 din tak subah, dopahar aur shaam ko dene se stri garbhdharan kar leti hai.
  2. Iski jad aur laksham buti ko 40 gm matra mai milakar pisle aur chaan le. Isse gaay ke 250 gm kacche dudh ke sath, masik dharm samapt hone ke baad subah ke samay ek saptaah tak dena chahiye. Iske sevan se stri garbhdharan yogya ho jati hai.

 

Pathari ya Pitt ki Pathari Mai

  1. Apamarga ki 2 gm jad ki pani ke sath piskar niyamit roop se pratidin sevan karne se pathari rog thik hota hai.
  2. Pitt ki pathari ho jane par, chirchita ki jad ko 10 gm kali mirch ke sath ya iski jad ke kaada ko 15-50 gm ki matra mai kali mirch ke sath subah shaam khane se labh milta hai. Isse halka garm-garm hi lena chahiye.

 

Asthama ya Shwas Rog

  1. Iski jad ko sukhakar barik pees le aur lagbhag 1 gm pisi jad ko shahad ke sath khane se shwas rogo mai rahat milti hai.
  2. Apamarga ke beejo ko chilam bharkar iska dhua pine se saans se sambandhit rog thik hote hai.
  3. Gale aur fefde mai jame hua cough ko nikalne ke liye, apamarga ka churn shahad ke sath dodno samay khane ke baad lene se aasani se cough bahar nikal jata hai.

 

You may also like:- Home Remedies for Asthma: Dama ka Ilaj Hua Ab Bahut Asaan

 

Gurde ka Dard

  1. Iske jad, tana, phal, phul, patti (Panchang) ko milakar kada bana kar 50 se 60 gm bhojan ke pahle lene se pachan ras mai vridhi hokar dard kam hota hai. Khane khane ke 2-3 ghante baad iske panchang ka halka garm kada 50-60 gm ki matra mai pine se amlta kam hoti hai. Yakrat par accha prabhav hokar pitt ka strav uchit matra mai hota hai. Jiss karan pitt ki pathari aur bavasir mai labh milta hai.
  2. Gurde ke dard ke liye yeh pradhan aushdhiya hai. Apamarga ki 5 se 10 gm taji jad ko pani milakar pilane se adhik labh milta hai. Yeh aushdhi mutrashay ki pathari ko dhire-dhire karke bahar nikal deti hai.

 

Jalodhar (Pet Mai Pani Bharna)

Apamarga ki jad 5 se 10 gm ya isse bana kada 15 se 50 gm ki matra mai lekar mulethi aur gokharu ke sath niyamit subah shaam lene se peshab ki amlta kam hoti hai aur jalodhar mai labh milta hai.

 

Motapa aur Kamjori

Agar aap aniyantri vajan ya motape se pareshan hai to apamarga ke beejo ko chaval ke saman bhaat ya khir banakar pine se bhook kam lagti hai tatha iske prayog se sharir ki charbi dhire-dhire kam hone lagti hai.

Iske beejo ko bhunkar isme bararar matra mai mishri milakar barik pis le. Isse 1 cup dudh ke sath 2 chammach ki matra mai subah shaam niyamit lene se sharir pusht hota hai aur sharirik kamjori dur hoti hai.

 

Aadha Shishi (Aadhe Sar Mai Dard)

Kabhi-kabhi aisa hota hai ki achanak humara aadha sar dard karne lagta hai aur yeh pida itni bad jati hai ki hum sahan nahi kar pate hai. Aesi samasya ho jane par, apamarga ke beejo ka churn ko sungh lene se hi aadha shishi aur mashtak ki jadta mai aaram milta hai. Iss churn ko sunghne se mastak ke andar jama hua cough patla hokar naak ke dwara bahar nikal jata hai aur waha paida huye kide bhi mar jate hai.

 

Mutra Rog

Apamarg ki jad 5 se 10 gm mai mulethi aur gokharu ko subah shaam lene se peshab ki jalan aur sujan dur hoti hai. Iski jad ke kade ko bhi aap mulethi aur gukhru ke sath lene se bhi labh milta hai.

Humare bade-bujurg log iss podhe ko aur isse milne wale aushdhiya labho ko bahut acchi tarah jante hai. Samay ke sath ayurvedik aushdhi ki upyogita humare jivan mai kam to gayi hai lekin inse hone wale fayde hame anek rogo se mukti dila sakte hai.

Aap bhi inn Apamarga in Hindi ke swasthya labho ko samjhe aur jane tatha ek sukhi aur khushaal jivan vyatit kare.

Loading...

You may also like...