Janiye Migraine Symptoms in Hindi Aur Iske Karan

Vaise to sar dard hona behad hi aam baat hoti hai. Poshtik aahar na lena, kaam ka tension inn sab se sar dard hota hi hai. Par yadi sar dard had se jyada ho raha hai to ise najar andaj naa kare. Yeh migraine bhi ho sakta hai.  Migraine aesi bimari hai jiske marij dunia bhar mai badte jaa rahe hai. Yaha tak ki hamare desh mai bhi iski tadat bahut jyada hai.

Migraine ko bahut log adhakapari ke naam se bhi jante hai. Jisme bar bar bahut tez dard hota hai. Iss samasya mai sir ke aadhe bhag mai bhisan dard hota hai. Kuch log sochte hai ki migraine mai sirf sir ki aadhe hisse mai dard hota hai lekin aesa bilkul bhi nahi hai.  Migraine aadhe, pure ya sar ke kisi bhi bhag mai ho sakta hai.

Kuch sodho ke anusar America mai lagbhag 30 pratishat log iss samasya se grasit hai. Aur India ki baat kahe to iska aakada 30 pratishat se bhi kahi jyada hai. Migraine ke duran sardard, jee machlana, ulti jaisi samsya hoti hai. To aaiye jante hai aese hi kuch Migraine Symptoms in Hindi.
 

Symptoms of Migraine: Pehchane Iske Lakshan

 
Migraine Symptoms in Hindi
 
Migraine ki shuruat kisi bhi age mai ho sakti ho. Bacche, kishor aur vayask hone par bhi yeh samasya ho sakti hai. Isse grast vyakti ki drashti achanak dhundali ho jati hai. Aur use apne samne moujud chize kampan karti hui najar aane lagti hai. Migraine pidit vyaktiyo mai nimnlikhit lakshan mai se kuch laksan ho sakte hai.

Nind Ki Kami

Jin logo ko Migraine ki samsya rehti hai. Unhe gehri nind nahi aati. Kuch adhyano se saaf ho chuka hai ki migraine pidit vyaktiyo ko lagatar nind nahi aati. Ek bar nind khul jane par wapis nind aane mai bhi bahut pareshani hoti hai.

Gardan Mai Dard Rehna

Migraine Symptoms ke antargat sir ka dard bhi aata hai. Bahut se logo ko pehle gardan mai dard hota hai. Fir uske bar sir dard ki sikayat rehti hai. Darahsal ek survey mai yeh baat samne aai hai ki 31 fisadi Migraine rogiyo ko pehle gardan mai dard ki sikayat hui fir uske baad Migraine ki samasya hui.

Ji Machlana

Migraine ke dard mai vyakti ka ji machlata hai, ulti aati hai. Inn sari pareshaniyo ke chalte migraine ke rogiyo ka swabhav chidchida ho jata hai.

Tanav

Thodi thodi der mai mood badalna bhi Migraine Rogi ka lakshan hota hai. Iske kai marijo mai dekha gaya hai ki vah achanak tanav mai aa jate hai aur thodi der baad bina kisi karan ke normal ho jate hai. Iske alawa migraine rogi mai chidchide pan ki bhi samasya pai jati hai. Aur aese vyakti uttejit bhi ho jate hai.

You May Also Like: Gharelu Nushke: Migraine ke Rambaan Ilaaj


Anuvanshik Karan

Kuch mamlo mai parivarik itihas ke tour par Migraine ki samasya dekhi jati hai. Aesa dekha gaya hai. Inn parivaro mai paida hone wale baccho ko ek khans umra mai jakar Migraine ka dard shuru ho jata hai.

Aankho Se Pani Behna

Migraine ke kuch lakshano me se ek naak aur aankh se pani behna bhi hai. Agar aapko bhi lagatar aankh aur naak se pani behne ki samasya hai to aapko migraine ki samasya ho sakti hai. Iske alawa aankho mai dard bhi reh sakta hai.

Dhadkan Tej Hona

Agar sar dard ke sath aapki dhadkan bhi badh jaye to yeh bhi Migraine ka hi lakshan hai. Yeh sar dard ke ek taraf ya dono taraf bhi ho sakta hai. Online kiye gaye kuch survey mai dekha gaya hai ki 50 fisadi  Migraine rogiyo ke ek side mai sar dard hota hai. Jabki 34 fisadi ke dono side mai sir dard hota hai.

Migraine Hone Ke Karan

Migraine ke kai karan ho sakte hai. Jin logo ko high ya low blood pressure, blood sugar aur tanav jaisi samasyae hoti hai. Unhe bhi migraine se grast hone ki aashanka badh jati hai. Kai bar to inhi karno se Migraine ho jata hai. Iske alawa hangover, kisi tarah ka sankraman aur sharir mai vishele tatvo ka jamav bhi iski wajah ho sakta hai.

Yaha tak ki Migraine ki samasya anya rogo ke falswarup bhi ho sakti hai. Migraine ki samasya ke liye jo rog jimmedar hai unhe kuch hai najala, jukham aur kabj ki pareshani hai. Iske alawa yeh rog masik dharm mai gadbadi ke karan ho sakta hai. Aankho mai drashtikon ke karan bhi aadhe sar mai dard ho sakta hai.

Migraine Ke Prakar

Aamtor par do tarah ke Migraine attack hote hai. Ek hota hai common migraine aur dusra classic migraine. Common Migraine mai aamtor par sar ke ek hisse mai halka ya bahut tez dard shuru hokar pure sar mai dard fail jata hai. Yeh dard 5 ghante se lekar 3 din tak reh sakta hai. Classic migraine mai dard common migraine ki tarah hi hota hai. Fark bas itna hota hai ki isme pidit vyakti ko chetavani, sar dard shuru hone se pehle hi mil jati hai.

Isme kale dhabbe dikhna, chize ghumti dikhna, bolne ke samay kathinai mehsus karna jaisa pratit hota hota hai. Aesi stithi mai sar dard shuru hone se pehle hi dawai ke jariye ise roka jaa sakta hai.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

 

Loading...

You may also like...