Modak Recipe in Hindi: Ganesh Chaturthi Ke Liye Misthan

Ganesh chaturthi ko bus ab kuch hi din reh gaye hai, lekin ganpati ji ko apne ghar bulane ki taiyariya abhi se shuru ho gai hai. Iss din har kisi ke ghar mai tarah tarah ke pakwan banenge aur isme shamil hai,modak ke laddu jo ki ganpati ji ka sabse pasandita vyanjan hai, jise to hum bhul hi nahi sakte.

Ganesh chaturthi par khas karke modak ke laddu banaye jate hai. Iss laddu ko banane mai jyada ghee bhi nahi lagta hai jiske karan aap jitna marji chahe ise kha sakte hai. Modak ko Maharashtra mai sabse jyada banaya jata hai.

Lekin ab pure desh mai modak ya modak ke laddu ko bade hi shok ke sath banaya jata hai. Iss ganesh chaturthi par aap bhi hamari batai hui vidhi ke sath swadishat modak banaye aur ganesh ji ko bhog dekar prasanna kare. Aaiye jante hai Modak Recipe in Hindi.
 

Modak Recipe in Hindi: Ganesh Chaturthi Par Banaye Mitha

 
Modak Recipe in Hindi
 

Modak Banane Ke Liye Aavshyak Samagri

 

Samagri Quantity
Chawal ka aata 2 Cup
Gud 1.5 Cup
Kaccha Nariyal 1.5 Cup
Kaju 5-10 Kaju ke Chhote Tukde
Khaskhas 1 chhota chammach
Elaichi 1 chhota chammach
Ghee 1 Chhoti chammach
Namak 1 Chhoti chammach

 

Modak Recipe Step By Step- Jane Banane Ki Vidhi

Sabse pehle gud aur nirayal ko kadhai mai dale taha use garam kare. Iss mishran ko lagatar chalate rahe jab tak ki gud aur nariyal ka mishran acche se naa ban jaye. Jab mishran ban jaye to isme kaju, kishmish, khaskhas aur elachi powder dal de, modak bharne ke liye mishran taiyar ho gaya hai.

Ab 2 cup pani mai 1 chhoti chammach ghee dale aut iss pani ko ubal le, jab pani acche se ubal jaye to iss pani mai namak dal de aur ise 5 minute ke liye dhak kar rakh de. Iske bad chawal ka aata ek bartan mai nikalkar aata guth le.

Yadi aata thoda sakht lag raha hai to usme 1-2 chammach pani dalkar thoda naram kar le. Isi ke sath ek katori mai ghee nikale aur hath mai thoda sa ghee lekar aate ko math le. Jab tak ki aata naram na ho jaye aur aate ko saaf kape se dhak kar rakh de.

Ab modak ko banane ke liye modak ke sanche mai halka sa ghee lagaye aur aate ko sanche mai puri tarah faila de, ab mishran ko isme bhare aur sanche ko acche se daba de. Taki mishran acche se dhak jaye.

Modak ko sanche mai se nikal le aur isi tarah sanche mai bharkar sare modak bana le. Iske bad ek choude bartan mai 2 glass pani dale tatha bartan ke upar jali stand rakh de. Yeh ek Steamed Modak Recipe hai.

Ab jali mai modak rakh de aur ihne dhak ke rakh de. Modak ko bhap mai karib 10 se 12 minute tak pakne de. Aapke modak taiyar hai aap inhe ganesh ko bhog lagaye aur sako khilaye.
 

Jane Chocolate Modak Banane Ki Jaruri Samagri

 

Samagri Quantity
Kati hui dark chocolate 1/2 Cup
Khoya 100gmp
Pise huye biscuit 1 Cup
Dudh 1/4 Cup
Akhroth 5-6
Elaichi Powder 1 chhota chammach
Chini Swad ausar

 

Chocolate Modak Recipe:

Sabse pehle ek non stick pain le aur use gas par rakh de, ab usme dudh, mava, chini, chocolate sabhi dalkar mila le. Ise tab tak pakne jaise mixer mai pise huye dardare ke saman ek jaisa ho jaye. Ab iss mishran mai elaichi powder dale aur use ek bartan mai nikal kar thanda hone de.

Iss mishran mai biscuit ka chura tatha dardara akhroth ko milakar mulayam aata taiyar kar le. Tatha iss aate ko 5 se 10 minute ke liye fridge mai rakh de. Jab yeh thanda ho jaye to ise fridge mai se nikale.

Ab iss mishran ko thoda thoda karke hath mai le aur modak ka aakar de tatha sare mishran ka isi tarah modak bana le. Aapka swadisht chocolate modak taiyar hai. Baccho ko chocolate bahut pasand hoti hai jab wo inn modak ko khayenge to khate hi reh jayenge.
 
Upar aapne jana Modak Recipe in Hindi. Uprokt batai gai vidhi se aap iss ganesh chaturthi par swadisht aur lajij modak bana sakte hai. Inn modak ko bana kar aap 10 se 12 din tak dibbe mai bharkar rakh sakte hai aur kha sakte hai.

Loading...

You may also like...