Moringa Tree Benefits: Sahjan Ke Ped Ke Swasth Labh

Drumstick(Sahjan) ki phali ke bare mai to ham sabhi jante hai. Yeh lagbhag har ghar mai banti hai. Khane mai to iska swad sabko khub bhata hai, lekin kya aap jante hai ki iss phali aur yaha tak ke iske ped ke bhi kai swasthya fayde hai.

Sahjan ki phali aur iska podhe dono se hi hame kai tarah ke swasth labh milte hai, kai log iske podhe ko Moringa Tree ke naam se jante hai. Sahjan ke podhe mai jad se lekar phul pattiyo tak sehat ke gun bahre hue hai. Iske taze phulo ka istemaal herbal tonic banane mai kiya jata hai, wahi iski chhal ka prayog gond banane mai kiya jata hai.

Sahjan aushdhiyo guno se bharpur hai. Iski phali netra rog aur gathiya mai upyogi hai. sahjan kai bimariyo ko dur karti hai. Aur sharir ke ango ko bhi majbut banati hai. Aaiye jante hai aur bhi Moringa Tree Benefits, sahjan ke ped se milne wale labh.
 

Moringa Tree Health Benefits Se Paye Swasth Sharir

 
Moringa Tree Benefits
 
Sahjan ke podhe ki pattiyo mai kai aushdhiya gun paye jate hai jisse yeh kai parakar ke netrarog, sytica, moch, gathiya jaisi bimariyo ke liye faydemand hota hai.
 

Uccha Raktchaap Mai Sahayak

Uccha Raktchaap ke marijo ko iski pattiyo ka ras nikalkar kadha banakar dene se labh milta hai. Sath hi iska kadha pine se ghabrahat, chakkar aana, ulti mai bhi rahat milti hai.
 

Haddiya Majbut Banaye

Drumstick yane ki sahajan ki phali mai calcium paya jata hai, jisse haddiya aur daant dono majbut bante hai. Ise garbhavati mahilao ko dene se unke hone wale bacche mai calcium ki matra bharpur milti hai. Jisse hone wala shisu tandrust hota hai. Iske sath hi isme Iron, magnesium, phosphorous ki uchit matra payi jati hai, jo ki sharir ko swasth rakhne mai madad karti hai.
 

Motapa Kam Kare

Motapa aur sharir ki badhi hui charbi ko dur karne ke liye moringa ko ek labhdayak aushdhi mana gaya hai. Isme phosphorous ki matra payi jati hai jo ki sharir ki atririkt calorie ko kam karti hai aur sath hi vasa ko kam kar motapa kam karne mai sahayak hoti hai.
 

Sundarta Badhane Mai Faydemand

Sahjan mai vitamin A bharpur matra mai paya jata hai. Chunki vitamin A twacha ki sundarta ko banaye rakhta hai. Isliye moringa ke tel ka prayog soundarya pranali ke liye bhi kiya jata hai. Iski phali ki sabjiya khane se, ya fir Moringa Seeds tel lagane se twacha mai hamesha chamak bani rehti hai. Jisse twacha shushk aur murjhi hui nahi dikhti.
 

You May Also Like: Health Benefits of Mushrooms in Hindi: Aneko Guno se Bharpur

 

Pachan Tantra Thik Kare

Moringa Oleifera ka upyog karne se pachan se judi sabhi samasya jaise haija, dast, pechis, peliya, colitis ko door karne mai sahayak hota hai. Iske liye Iski pattiyo ke 1 chammach ras mai, 1 chammach shahad aur nariyal pani milakar pine se inn sabhi rogo mai aaram milta hai.
 

Drumstick Tree Health Benefits: Anya Fayde Inhe Bhi Jane

  1. Iski phali ke sevan se khoon saaf hota hai, aankho ki roshni tej hoti hai.
  2. Iski phali ka sevan ucch rakt chaap mai bhi sahayak hota hai.
  3. Moringa Leaves ke ras ko nikalkar kaan mai dalne se kaan ka dard aasani se dur ho jata hai.
  4. Sahjan mai Vitamin C paya jata hai jo ki sardi-jukham jaise choti bimariyo mai bhi dawa ka kam karta hai.
  5. Sahjan ki pattiyo ko pisakar sar par lagane se Migraine se pareshan vyakti ke sar ka dard bhi thik ho jata hai.
  6. Daanto mai lagne wale keede aur muh ke rog jaise Payria mai iski pattiyo ko chabane se aaram milta hai.
  7. Moringa ki chal shiyatika, gathiya, ykrit aadi rogo ke rogtham mai sahayak hote hai.
  8. Sehjan ki pattiyo ko sukhakar uski chatni bhi nbanayi jati hai. Jo ki aankho ke rog aur rakt alpata mai bhi sahayak hote hai.
  9. Iski phali ki sabjiya banakar khane se kabj jaise rogo mai aaram milta hai. Sath hi iski sabji se gurde aur mutrasay mai jami pathari pighalkar nikal kati hai.
  10. Sahjan ki phalli ka sevan karne se garbhavati mahilao ko delivery ke wakt jyada dard nahi hota hai. Aur hone wale bacche swasth aur tandrust hote hai.
  11. Drumstick mai Iron paya jata hai jo ki khoon ko saaf rakhta hai. Jisse yeh chehare par hone wale pimples ko khatam karta hai aur twacha mai sundarta aur chamak banaye rakhta hai.
  12. Jin logo ke pair par moch aa gayi ho unke liye moninga ki patti ko sarsaon ke tel mai pakakar moch wale sthan par rakhne se jaldi aaram mil jata hai. Saath hi iski pattiya kai prakar ke ghav aur sujan ko bhi thik karne mai sahayak hoti hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...