Multani Mitti for Hair in Hindi: Baalo Ki Dekhbhal Ke Liye

Multani mitti beauty products mai bahut upyog ki jati hai, kyonki isme kai khanij padarth mile hote hai jo aapki twacha aur baal ke liye bahut faydemand hote hai. Isme moujud zinc oxide, silica aur pani aapke baalo ko mulayam banaata hai.

Inhi guno ke karan multani mitti ka upyog purane jamane se baalo aur twacha dono par kiya jata tha. Lekin aajkal multani mitti ko log chehre par facepack ki tarah lagate hai. Lekin yadi ham aapko iske baalo ke liye fayde batayenge to aap bhi ise istemal jarur karenge.

Hum acche baal pane ke liye kai tarah ke prayog karte hai taki hamare baal khubsurat aur khile khile dikhe. To ek baar aapko iska prayog karke bhi jarur dekhna chahiye. Multani mitti ko baalo mai lagane se baalo se sambandhit kai bimariya dur ho jati hai aur yeh aapke baalo mai jaan dal deti hai. Isse baalo ko milne wale faydo ko janne ke liye padhe Multani Mitti for Hair in Hindi.
 

Multani Mitti for Hair in Hindi: Jane Baalo Ke Liye Iske Fadye

 
Multani Mitti for Hair in Hindi
 

Rusi Se Nijat Dilaye

Baalo se rusi ko hatane ke liye multani mitti bahut prabhavkari hai. Isko kuch dino tak baalo mai lagane par aapke baalo se rusi ki samasya hamesha ke liye gayab ho jayegi. Aur aapke baal swasth aur sundar dikhenge.

  • Multani mitti mai santre ke chilko ka powder mila de.
  • Ab ise gila kar le aur baalo ki jado mai lagaye tatha 25 minute tak ise baalo mai rehne de.
  • Ab baalo ko thande pani se saaf dho le, aesa karne par sar mai rakt sanchar bhi badega.

 

Do Muhe Baalo Se Chutkara Paye

Yadi aapke do muhe baal se chutkara pana chahte hai to Multani Mitti Hair Pack aapke baalo mai lagaye. Kyonki multani mitti do muhe baalo se bachati hai aur jo baal do muhe ho chuke hai unhe khatam kar deti hai.

  • Ise lagane ke liye multani mitti ko bhigo kar rakh de.
  • Ab iske paste ko baalo mai acche se laga le aur paste ko baalo mai sukh jane de.
  • Jab mitti acche se sukh jaye to baalo ko thande pani se dho le aur uske bad baalo mai jaitun ka tel lagaye.

 

Baalo Ki Conditioning Kare

Dhul mitti ke karan baal rukhe aur bejaan ho jate hai, jisse baalo ka jhadna aur do muhe ki samasya aur adhik bad jati hai. Yadi aap baalo ko chamakdar aur mulayam banana chahte hai to multani mitti se baalo ki conditioning kare.

  • Multani mitti mai amla ka ras milaye aur paste bana le.
  • Ab iss bane huye paste ko baalo par acche se laga le tatha 10 minute ke liye chhod de.
  • Iske bad baalo ko thande pani ki sahayata se dho le aapke baalo ki prakratik rup se conditioning ho jayegi.

 

Teliya Baalo Se Nijat Paye

Yadi sar dhone ke bad ek do din mai fir se aapke baal teliya aur chip chipe dikhne lag jaye to multani mitti se baalo ko dhoye. Kyonki teliya baalo mai dhul mitti jaldi chipakati hai aur baal jhadne lagte hai.

  • Jab aap multani mitti ko baalo mai lagane wale hai uske 4 ghante pehle use bhigo de.
  • Multani mitti bhigne ke bad baalo mai lagane se 30 minute pehle usme ritha powder mila de.
  • Iss paste ko baalo mai lagaye aur 5 se 10 minute tak laga rehne de, iske baad baalo ko sade pani se dho le.

 

Rukhe Baalo Ke Liye Prayog Kare

Aapke baal rukhe hai to multani mitti ke prayog se aapke baal mulayam aur chamakdar banenge. Rukhe baalo se nijat pane ke liye niche bataye gaye tarike ko apnaye. Aesa karne par aapko swasth baal milenge.

  • 1 pyale mai 4 chammach multani mitti tatha aadha cup dahi dale.
  • Ab isme 1 chammach nimbu ka ras aur 2 chammach shahad dale.
  • Iss mishran ko acche se mila le aur baalo par 20 minute ke liye laga kar rakh de.
  • Ab thande pani se baalo ko acche se dhoye taki multani mitti baalo mai na reh jaye.

 

Baalo Ko Jhadne Se Roke

Baalo ke jhadne ki samasya bahut aam ho gai hai, isse nijat pane ke liye,

  • 4-5 chammach multani mitti ka powder le aur usme 2 chammach dahi dale.
  • Ab isme 1 chammach kali mirch powder dalkar acche se mila le.
  • Iske bad iss paste ko baalo mai lagaye aur baalo ko 10 se 20 minute ke liye rehne de.
  • Baalo ko chahe to shampoo se dho le ya sade pani se baalo ki safai kar le. Multani Mitti for Hair Loss bahut prabhavi hai.

 
Upar aapne jana Multani Mitti for Hair in Hindi. Uprokat di gai jankari ka upyog kar jiss bhi baalo ki samssya ae aap gujar rahe hai uske anusaar multani mitti ka prayog kare. Kuch hi din mai aapke baal swasth aur chamakdar ban jayenge.

Loading...

You may also like...