Onion Juice for Dandruff: Pyaj Ke Ras Se Dur Kare Balo Ki Rusi

Balo mai Rusi hona aajkal behad aam baat ho gayi hai. Aajkal har tisre aadmi ko iski samasya rehti hai. Rusi ki wajah se sar me khujli to rehti hi hai, sath hi hamare baal bhi jhadne lagte hai.

Balo se girti hui rusi, jhadte hue baal hame pareshan to karte hi hai sath hi iski wajah se kai baar hame sharminda bhi hona padhta hai. Kya aap bhi isi pareshani se jujh rahe hai? To ham aapko bata de ki pyaj ke ras ki madad se aap iss samasya se chutkara paa sakte hai.

Pyaj mai mojud sulphur rusi badhane wale bacteria ko marta hai aur balo ki jado ko poshan pradan karta hai. Sath hi yeh rakt sanchar badhakar balo ka jhadna bhi kam karta hai. Isliye bahut se log balo ki lambai badhane ke liye bhi pyaj ka ras lagate hai.

Yadi aap bhi rusi rahit swasth aur lambe baalo ko rakhna pasand karte hai to aaiye jane Onion Juice for Dandruff, pyaj se ras se rusi ko dur karne ke tarike.
 

Janiye Kis Tarah Pyaj Ka Ras Dilata Hai Rusi Se Aajadi

 
Onion Juice for Dandruff
 
Gharelu upcharo mai bahut lambe samay se Pyaj ke ras ka istemal balo ki rusi hatane mai kiya jaa raha hai. Halanki iski teekhi gandh ke karan log ise jyada pasand nahi karte. lekin yeh balo mai hone wali bahut si samasyaon jaise ki domuh balo ka hona, aur scalp ke sankraman ko dur karta hai.

Kyo Hoti Hai Rusi?

Rusi Ke liye upchar karne se pehle aapko yeh jaana jaruri hai ki iske piche ka karan kya hai? Tabhi aap iska behatar tarike se upchar kar payengi. Rusi hone ke kai karan hai jaise ki hamare din bhar ke bhojan ki matra mai kami hona, balo ki safai ki kami, poshan ki kami aur harmone ke asantulan ke karan bhi rusi hoti hai.

Iske alawa bahari karan jaise ki pradushan, balo ka treatment, gel ka istemal, Jaldbaji mai bal dhona, mousam ka badalna, tanav, pareshani bhi iske mukhya karan hai.

Pyaj Ke Ras Ke Istemaal Ke Tarike

Pyaj ka ras nikalkar ise apne sar ki twacha yaani scalp par lagakar 20 se 30 minute ke liye chod den. Iske baad apne sar par toliye ko achhi tarah se lapet de. jisse balo ke rom ise avsoshit kar le fir shampoo se apne balo ko achhi tarah se dho le.

Pyaj Ka Ras aur Beer

Shayad aapko pata nahi hoga beer bhi balo ko prakratik roop se chamakdar banati hai. Pyaj ke ras ko beer ke sath milakar lagane se balo ki growth to badhti hai sath hi baal mulayam bhi ho jate hai. Ise ek saptah mai 2 bar karne se iska asar dikhayi dene lagta hai.

Pyaj Ka Ras aur Nariyal Ka Tel

Nariyal tel ke sath pyaj ke ras ko milakar lagane se balo ka vikas teji se hota hai aur sath hi yeh balo ko poshan bhi pradan karta hai.

Iske liye pyaj ke ras ko nariyal ke tel ke sath milakar balo ki masage kare. Fir balo ko touliye se lpaten aur bhaap len. Yeh vidhi scalp se mrit koshikaon ko hatati hai. Jisse rusi bhi kam hoti hai aur balo ki growth bhi badh jati hai.

Pyaj Ka Ras aur Shahad Ka Mishran

Shahad ki kuch bundo ko pyaj ke ras ke sath mila len aur jaha par bal kam hai waha par yeh mishran ko laga le. Aisa karne se bal kafi majbut aur chamakdar hote hai. Isse balo ki gunvatta mai kafi sudhar aata hai aur baal majbut hote hai.

Pyaj Ka Ras aur Nimbu

Nimbu dandruff ko dur karne mai bahut hi labhkari hota hai. Iske liye pyaj ke ras mai nimbu ki kuch bunde milayen, isse rusi aasani se dur ho jati hai. Iss vidhi se pyaj ki gandh se bhi chutkara milta hai. Pyaj(Onion) ki gandh bahut tej hoti hai, nibu iski gandh ko dabata hai aur balo ko khujli se bhi bachata hai.
 

You May Also Like: Hair Care Tips in Hindi: Prakritik Roop se Ghana Banaye

 

Pyaj Ka Ras aur Besan

Rusi dur karne ke liye pyaj ke ras ke sath besan ko achhi tarah se mila lijiye aur sahi tarah se lagaiye. Ise hapte mai 2 bar lagane se kuch hi dino mai sar se dandruff dur ho jata hai.

Pyaj Ka Ras aur Anda

Yeh to sabhi jante hai ki anda balo ki shining ke liye bahut jarur hota hai. Iske sath yeh balo se rusi ko bhi dur karne mai sahayak hota hai. Iske liye ande ke safed hisse ko pyaj ke ras ke sath achhi tarah mix kar le fir isko 20 se 25 minute tak apne balo mai lagakar rakhe aur shampoo kar le. Aisa hafte mai 2 bar karne se balo se rusi door ho jati hai.

Pyaj Ka Ras aur Aloe Vera

Aloe vera mai kai aushdhiya gun hote hai jisse yeh rukhi twacha ko dur karta hai. Ise lagane ke liye pyaj ke 3 chhote chammach aur aloe vera ke 2 chhote chammach ko achhi tarah se mix kar le. Iss tarah bane paste ko apne baalo par laga le aur kam se kam 15 minute tak ise laga rehne de fir thande pani se balo ko dho le.
 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...