Osteoporosis Treatment in Hindi: Haddiyo ki Kamjori ko Dur Kare
Aajkal ke aniyamit jivanshelly aur khanpan ki wajeh se sharir ki haddiya kamjor ho chuki hai. Haddiyo ke kamjor hone ki samasya ko Osteoporosis kaha jata hai. Yeh samasya purusho ke mukable mahilao mai adhik hoti hai. Iske alava umra badhne ke sath-sath bhi sharir ki haddiya kamjor hone lagti hai.
Haddiyo ke kamjor hone ke kai karan hai unme se sabse bada karan hai sharir mai calcium aur vitamin D ki kami hona. Inn vitamin ki kami se vyaktiyo ko Osteoporosis hone ka khatra adhik badh jata hai. Yeh haddiyo ek aesi bimari hai jisme haddiya kamjor pad jati hai aur inka aasani se tutane (fracture) hone ka khatra badh jata hai. Sharir mai bone-mineral density ki kami ki wajeh se bhi yeh bimari ho jati hai.
Haddiyo ki yeh bimari aksar 45 se adhik umra ke logo mai hoti hai aur umra badhne ke sath-sath yeh bahut hi takleefdey ho jati hai. Sharir mai Osteoporosis ka sabse adhik prabhav nitamb (hipps), reedh ki haddi, ghutno aur kalai ki haddiyo par padta hai.
Darahsal haddiya ek prakar ka jivit uttak hai jo ki umra badhne ke sath-sath naye rup mai dhalta rehta hai. Lekin Osteoporosis ki wajeh se nayi haddiyo ka nirman kary ruk jata hai jisse haddiya kamjor ho jati hai. Uchit vyayam, sahi tarah se dawai aur sahi aaharo ke sevan se iss preshani ko dur kiya ja sakta hai. Iske liye yaha padhiye Osteoporosis Treatment in Hindi.
Osteoporosis Treatment in Hindi: Haddiya Kamjor Hone Ka Karan
Hypertension ke bad vyaktiyo mai hone wali yeh tisari sabse badi bimari hai aur pure India mai dhai karor se adhik log haddi ki bimari se pidit hai. Mahilao mai menopause ke bad iske hone ka sabse adhik khatra hota hai. Mahilao mai estrogen namak hormones haddiyo ke density level ko banaye rakhne mai sahayak hota hai lekin menopause ke bad estrogen ka star girne lagta hai aur haddiya kamjor hone lagti hai.
Osteoporosis Ke Lakshan
Jin vyaktiyo mai haddiyo ke kamjor hone ki bimari hoti hai unme kai lakshan dekhne ko milte hai. To aaiye padhe Osteoporosis Symptoms in Hindi.
- Lagatar aur aachank peeth mai dard uthna.
- Aasani se haddiya tut jana
- Thoda bhi uchai se kudane par haddiyo mai bahut tej dard hona.
Osteoporosis Ke Mukhya Karan
Vyakti ke sharir mai bimariyo ke hone ka khatra aur haddiyo ka dravyaman(mass) ek dusare ke opposite hota hai. Sharir mai haddiyo ka dravyaman jitna kam hota hai utni hi jyada bimari sharir ko gherti hai. Lekin kuch aese karak bhi hai jo ki haddiyo ke kamjor hone ke karan hai aur inhe ham control nahi kar sakte hai.
Sex: Mahilao mai estrogen ke star mai kami ki wajeh se haddiya kamjor hone lagti hai. Iss wajeh se mahilao mai Osteoporosis ka khatra puruso ki tulna mai 4 guna adhik hota hai.
Aayu (Age): Vyaktiyo ki aayu badhne ke sath-sath immunity system kamjor ho jati hai sath hi haddiya bhi kamjor pad jati hai.
Genetic: Osteoporosis ek anuvanshik bimari bhi hai. Isliye vyakti ke parivar mai kisi ko bhi yeh bimari hui ho tab bhi vyakti mai bhi iske hone ka khatra badh jata hai.
Sharir ka Aakar: Jin mahila ya purush ke sharir ka aakar bahut kam hota hai unme bhi Osteoporosis hone ka khatra hota hai.
Sex Hormones: Jin vyaktiyo ke sharir mai sex hormones bahut kam hote hai unki haddiya bhi bahut jald kamjor padne lagti hai.
Poshak Tatv: Jin vyaktiyo ke sharir mai jaruri minerals, poshak tatv aur calcium ki kami hoti hai unme bhi Osteoporosis hone ka khatra hota hai.
Adhik Sharab Ka Sevan: Sharab sharir ke swasth ke liye hanikarak to hai hi sath hi yeh hamare sharir ki haddiyo ko din par din kamjor bhi banata hai. Atyadhik aur rojana sharab ka sevan karne se bhi Osteoporosis hota hai.
You May Also Like: Diarrhea Treatment in Hindi: Dast Lagne Ke Karan aur Upchar
Osteoporosis Se Bachne Ke Upay
Haddiyo ko kamjor banane wali bimari Osteoporosis ko rokane ke kai tarike hote hai arthat iska kai tarah se ilaj kiya jata hai. To aaiye padhe Osteoporosis Treatment in Hindi.
Calcium
Ve mahilaye jinke sharir ki haddiya bahut kamjor ho jati hai unhe hormone therapy aur calcium yukt aahar lena chahiye.
Dudh, paneer, cheez, phal, sabji jinme calcium hota hai unka adhik se adhik sevan karna chahiye. Pratidin Baccho ko 800 mg, mahilao ko 1500mg, purusho ko 1300mg calcium ki aavashyakta hoti hai. Iske alava vyakti calcium ki goli bhi kha sakte hai.
Vitamin D
Hamare bhojan se sharir ko milne wale calcium ke avshoshan ke liye vitamin D ki jarurat hoti hai. Vitamin D hame hamare aahar aur twacha se milta hai. Baccho ke liye 400IU, vyasko ke liye 600 IU aur bujurgo ke liye 800 IU vitamin D rojana lena chahiye.
Therapy Ya Dawa Ke Dwara
Osteoporosis ki samasya hone par, chikitsak ki uchit salah se vitamin D aur calcium ki goli ka upyog kiya jata hai ya fir iss bimari ka upchar kar estrogen therapy, calcium therapy ka sahara bhi liya jata hai.
Vyayam
Vyayam hamare swasth ke liye bahut hi jaruri hota hai. Apne jivan mai sharir ko swasth rakhne ke liye aahar aur vyayam ka santulan banaye rakhna chahiye jisse haddiya majbut aur thos ban sake. Vyayam se sharir ki maspeshiya majbut banti hai. Isliye rojana vyayam jarur kare.
Upar aapne jana Osteoporosis Treatment in Hindi. Yadi aap bhi apne sharir ki haddiyo ke dard se pareshan hai to upar diye gaye upcharo ko apnaye aur rakhe apne sharir ko swasth.