Ovarian Cancer in Hindi: Jane Iske Lakshan aur Karan

Cancer bahut hi gambheer bimari hai, tatha yeh bimari pure vishva mai bahut teji se bad rahi hai.  Jiske chalte kai logo ki asamay hi mout ho jati hai. Yadi ham mahilao ki baat kare to inme kai tarah ke cancer jaise breast cancer, cervical cancer aadi dekhne ko milte hai. Ovarian cancer bhi mahilao mai hone wala ek cancer hai.

Ovarian cancer hone par mahila ke garbhashay mai chhote chhote cyst ho jate hai. Jiske karan mahilao mai garbhashay aur tubes damage hone lagti hai jisse unhe garbhdharan karne mai samasya utpanna ho sakti hai.

Iss bimari ke lakshan samanya tour par lambe samay tak nahi dikte hai aur iski antim avstha mai iska pata chalta hai. Tab tak yeh puri tarah se fail chuka hota hai aur iska illaj hone mai mushkil aane lagti hai.

Iss bimari ka pata ultra sound aur blood test ke dwara kiya ja sakta hai. Iske karan, lakshan aur illaj ke bare mai janne ke liye padhe Ovarian Cancer in Hindi.
 

Ovarian Cancer in Hindi – Jankari Hi Bachav

 
Ovarian Cancer in Hindi
 

Ovarian Cancer Causes – Jane Iske Karan

  • Ovarian cancer ke kuch karan aapke niyantran mai nahi hote hai jaise anuvanshikta, umra, jatiyata aadi.
  • Kai baar bade huye vajan ke karan bhi iss tarah ka cancer ho sakta hai.
  • Kuch mahilao mai reproductive history ke karan garbhashy mai cancer ho jata hai.
  • Mahilao ki umra 50 se jyada hone ke bad ovarian cancer ho sakta hai.
  • Yadi aap jyada garbhnirodhak davaiyo ka sevan karti hai to bhi aapko ovarian cancer ho sakta hai.
  • Sahi samay par mahavari na aane par ya kam umra mai masik dhram ka hona bhi iska karan hai.
  • Antargarbhashya mai dard hona, ya waha sujan aane par bhi iss tarah ki samasya ho sakti hai.
  • Hormonal asantulan bhi ovarian cancer ka ek karan ho sakta.
  • Garbhadharan karne ki shamta na hona.

 

Ovarian Cancer Symptoms in Hindi – Jane Iske Lakshan

Ovarian cancer ke lakshan aasani se dekhne ko nahi milte hai Kyonki isme bane tumor ka aakar bahut chotta hota hai. Aur yeh pet ki cavity  ke sath garbhashya mai hota hai. Jane Symptoms of Ovarian Cancer taki aap inhe dekhkar turant doctor se janch karvaye.

  1. Antargarbhashy mai sujan ka hona
  2. Bhaut jaldi thakan mehsus hona
  3. Pet mai bar bar dard hona
  4. Pet mai marod uthna tatha gas banna
  5. Diarrhea tatha kabj ki samasya hon
  6. Bhukh na lagna tatha bhojan ka accha na lagna
  7. Achanak vajan ka kam hona ya badna
  8. Sex karte samay dard mehsus hona
  9. Tatkal Peshab aana aur mahavari ka aniyamit hona

 
Inn sabhi lakshno ko yadi aap  mehsusu karti hai to aapko ovarian cancer ho sakta hai isliye inn lakshno ko dhyaan mai rakhte huye doctor se jarur janch karvaye.
 

Ovarian Cancer Ki Janch

Ovary mahilao ke ang ka pramukh hissa hai, isi ke dwara mahilao ke sharir mai ande tatha hormones ka nirman hota hai. Iska pata lagane ke liye doctor kai tarah ke test karte hai Jinme sharirik test, ultra sound, khoon ki janch, surgery aur leb test shamil hai. Inn sabke dwara pata lag jata hai ki mahila ko ovarian cancer hai ya nahi.
 

Ovarian Cancer Ka Illaj

Surgery

Samanya tour par ovarian cancer ko thik karne ke liye surgery ka istemal kiya jata hai. Kyonki jab cancer koshikaye badti hai surgey karke hi unn koshikao ko jyada se jyada hataya ja sakta hai.
 

Chemotherapy

Ovarian Cancer hone par Chemotherapy bhi karwana chahiye. Keval surgery par nirbhit nahi hona chahiye.
 

Radiation Therapy

  1. Radiation therapy ko cancer ki pehli avshtha mai upyog nahi kiya jata hai parantu yeh  bhi ek vikalp hai, jiska istemal kar cancer koshikao ko khatam kiya ja sakta hai.
  2. Radiation therapy mai high energy X-ray ka upyog kar cancer koshikao ko nasht kar sakte hai.
  3. Iss therapy ko kuch samay ke liye aur kuch antral ke douran hi diya jata hai.
  4. Yadi iss thaerpy ko ek limit se jyada diya jaye to twacha par allergy, pet mai dard aadi pareshani ho sakti hai.

 
Upar aapne jana Ovarian Cancer in Hindi. Yadi aapko ya aapke parivar mai cancer ka koi itihas raha ho aur aapko uprokt lakshan dikhai dete hai to bina der kiye chikitsak se sampark kare.

Loading...

You may also like...