Janiye Paralysis Symptoms, Causes aur Iske Liye Aahar

Stroke ya Paralysis jise hum Lakwa bhi kehte hai, uske padne se sharir prabhavi kshetra ki sanvedan-shakti samapt ho jati hai tatha uss bhaag ko ghumana-phirna mushkil ho jata hai.

Lakwa tab lagta hai jab achanak hi humare dimaag ki kisi bhi hisse me rakt pahuchna band ho jata hai ya phir dimaag ki koi khoon ki nail phat jati hai aur mastishk ki koshhikayo ke aas paas ki jagah par khoon bhar jata hai. Aise me insaan apni bolne aur samjhne ki kshamta ko kho baithta hai aur saath me uske sharir ka ek hissa akad jata hai.

Kya aap jante hai ki stroke kis-kis ko ho sakta hai? Wese to stroke kisi bhi vyakti ko ho sakta hai lekin jyadatar yeh aadmiyo ko hota hai jo ki 55 saal ki umra paar kart par kar chuke ho, wo log jinke parivar me kisi ko lakwa maar chukka ho , high blood pressure wale marij, high cholesterol, madhumeh rogi, Motape se grast vyakti, atyadhik kokin, sharab ka prayog karne wale vyakti, aadi ko stroke hone ki sambhavna sabse jyada hoti hai.

Chehre ka stroke atyant vyapak roga hai aur har aayu me ho sakta hai, jisme aadha chehra kisi bhi din sabere ya nahane ke baad lakwa gwast ho sakta hai. Yeh prayae aadhe chehre par hi apna asar dikhata hai. Lekin turant ilaaj ke dwara is bimari se bcha ja sakta hai.

Paralysis Symptoms ke bare me baat karte hai. Hisse ki aap iske lakshano ko pahchan kar. Jaldi is bimari se bach sakte hai. Iske hone ke turant baad hi dimag ki koshikaye marne lagti hai aur sanket saaf dikhai dene lagte hai.

Paralysis Symptoms

Paralysis Symptoms in Hindi, Lakwa ke Lakshano ko Pahchaniye

• Bolne me taklif.
• Sharir sunn hona.
• Double dikhai dena ya dhundla bhi dikhai deta hai.
• Sar me tez dard hona.
• Behoshi hona.
• Haath aur pairo me akdan.
• Chalne me pareshani.

Types of Paralysis, Janiye Stroke ke Prakar ko

• Monoplegia
• Diplegia
• Paraplegia
• Hemiplegia
• Quadriplegia

You may also like:- Home Remedies for Diabetes: Madhumeha ka Ilaj Ab Ghar Par hi

Causes of Paralysis ko Pahchan kar Lakwa se Bachiye

• Jyadatar marijo ko dhamniyo me kharabi ki vajah se is bimari ka shikar ho jate hai.
• Ya phir mastishk ki koi rakt vahika fat jati hai, jiske karan rakt sahi tarike se sharir ke ango tak nahi pahuch pata hai.
• Mastishk me achanak raktstrav hona. Jiske karan marij ke haath pair chalna band kar dete hai.
• Aamtor par kai mamlo me dekha gaya hai ki, ucch tor par brain tumor se pidit logo ko bhi iske hone ki sambhavna hoti hai.
Paralysis sharir ke kisi bhi bhaag ya mastishk me cancer hone ke karan bhi log is pareshani se grasit ho jate hai.
• Cerebral palsy yeh ek aisi condition hai jo ki bacche ke janm ke douran prabhavit karti hai. Jo ki aage chal kar, mashpeshiyo ki jakdan ka bahut bada karan hoti hai.

Paralysis Food, Lakwa se Bachne ke Liye Khaiye Yeh Aahar Aur Rahiye Swasth

Paralysis Food

Ek badi research ke anusaar ptaa chala hai ki aaj ki hamari badalti hui life style aur khan pan, is bimari ke liye sabse adhik jimmedar hai. Research me yeh baat sabit ho gayi hai ki, bahar ka unhealthy khana khane se 58 % tak stroke hone ki sambhavna ho sakti hai, balki jabki yadi aahar me sabut anaaj, phal, sabjiyo aur machli aadi ka sevan kiya jaye to 30% tak stroke se bachne ki sambhavna ho jati hai. To aaiye jante hai, kuch aise aahar ke bare me jo ki hume stroke se bacha saka hai.

Beans Vitamin B aur Folate

• Beans na keval heart attract ke liye accha hota hai balki yeh mastishk ke liye bhi bhaut faydemand hota hai.
• Beans me Vitamin B and folate paya jata hai, jo ki 20% tak stroke ki samasya ko paida hone vale vikaro se rokta hai.

Oats, Badam aur Soya

• Yeh teen khadya padarth cholesterol ke level ko kam karte hai.
• In teeno se hi sharir par jami hui charbi kam hoti hai, jo ki bad cholesterols ke level ko bhi kam karta hai.

Antioxidant

• Sabjiyo aur phalo me mojud antioxidant dhamiyo ki sujan ko badane se rokta hai.
• Antioxidant se khoon ki dhamniya me rakt prabhav acche prakaar se hota hai. Jisse stroke ke lakshan hone ke chances bahut kam ho jate hai.

Potassium Wale Khadya Padarth

• Kela khaiye kyoki isme potassium adhik matra me hota hai, jo ki aapke sharir ke liye bahut laabhakri hota hai. Experts ke anusar yadi aapke sharir me rozana 1.5 gram se kam Potassium pahuchta hai to aapko stroke hone ki gunjaish bad jati hai.
• Isliye aap roz apne aahar me kam se kam 1.5 gram potassium ka sevan jarur kare.

Kam Fats Wala Dudh

• Kam fats wale dudh aur usse banane wale padarth me Potassium, Calcium, Magnesium ki adhik matra hoti hai.
• Jo ki cholesterols ke level ko kam karta hai. Jisse apne aap hi stroke hone ki sambhavna kam ho jayegi.

Magnesium se Bharpur Food

• Aise Aahar jisme bhari matra me magnesium paya jata ho, usko khane se 30% tak stroke hone ki sambhavna kam ho jati hai.
• To dhyan rahe ki aise aahar ko apne bhojan me aaj se hi shamil kijiye.

Salmon Fish

• Machli khane se omega 3 fatty acid milta hai, jisse khoon ki nali me khoon ka prabhav acche se hota hai aur khoon jamne se rukta hai.
• Isliye apne aahar me fish ko shamil karke iss bimari se dur rahiye.

Upar aapne jana Paralysis Symptoms, Causes aur isse bachne ke liye aahar. To bas der kis baat ki aaj se hi iss bimari ke lakshano ko pahchan kar isse bachne ke liye in aahar ka sevan start kar dijiye aur swasth rahiye.

Get more details about Paralysis from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...