Natural Birth Control Benefits: Prakritik Nirodhak ke Fayde
Garbh Nirodhak parivar niyojan ke liye apnaya jane wala tarika hai. Garbh nirodhak ke jariye bacche ke janm par niyantran lagaya jata hai. Yeh soch samajhkar apnaya jane wala tarika hai. Aaiye jante hai Natural Birth Control Benefits aur uske kuch aasan fayde, jo aapke swasth aur jivan mai aham bhumika nibhate hai.
Prakritik roop se garbh nirodhak ajmane ke kai fayde hote hai. Iska sabse bada karan hai ki iska koi bhi side effect nahi padta hai. Iske alawa natural garbh nirodhak prayog karne ke kai anya karan bhi hai.
Unchahe garbh se bachne ke liye ye ab tak ka sabse accha aur behtar prakritik garbh nirodhak hai. Iska prayog bahut hi aasan hai, iska koi bhi side-effect nahi hota hai aur ye aapke kaam ko bahut hi aasan kar deta hai.
Agar sahi samay par iska prayog nahi kiya jaye (Youn sambandh banane ke 72 hour ke andar) to yeh asar nahi karti hai. Inn dawao ka adhik prayog karne se banjhpan ki samasya bhi ho sakti hai. Isliye prakritik garbh nirodhak ko janm par niyantran ke liye sabse behtar tarika mana jata hai.
Dawao ya anya garbh nirodhako ki tulna mai prakritik garbh nirodhak adhik prabhavi hai. China mai huye ek shodh ki mane to prakritik roop se apnaye gaye garbh nirodhak ke prabhavi hone ki sambhavna 97 se 100 pratishat tak hoti hai. Yani yeh puri tarah se surakshit tarika hai.
Natural Birth Control Benefits: Unchahe Garbh ke Liye Prakritik Nirodhak
1) Stan Cancer se Bachav:
- Kuch shodho ki mane to garbh nirodhak ke liye prayog kiye jane wali goliya ka adhik sevan karne se breast cancer ke hone ki sambhavna adhik hoti hai.
- Jabki Prakritik garbh nirodhak ke prayog se iss prakar ka koi khatra nahi hota hai. Yani yeh aapko breast cancer jesi jaan leva bimari se bachta hai.
You may also like:- Male Vasectomy (Purush Nasbandi): Garbh Nirodhak Upay
2) Youn Kshamta Badaye:
- Garbh nirodhak goliyo ka prayog karne wali mahilayo ki youn kshamta bhi prabhavit hoti hai aur youn sambandh ke prati unki ruche bhi samapt hone lagti hai.
- Jabki Natural Birth Control Benefits ko dhyan mai rakhkar aap aapne jivan saathi sambandh bana sakte hai. Iske saath aisa nahi hota hai, yani aapki youn kshamta barkarar rehti hai. Yani iss tarah ka Birth Control ka prayog karke aap sex ka maja puri tarah se le sakte hai.
3) Sharir Bhi Swasth Rehta Hai:
- Unchahe garbh par niyantran pane ke liye agar aap goliyo ka prayog karte hai to usse aapka swasthya bhi prabhvit hota hai. Sar dard, badan dard, anindra, bhukh jesi samasya contraceptive pills ke prayog hone lagti hai.
- Jabki prakritik garbh nirodhak ka prayog karne se aisa nahi hota hai.
4) Hormone Santulit Rehta Hai:
- Garbh nirodhak ka prayog karne se mahila ka masik chakra bhi prabhavit ho sakta hai. Isse unko bahut si pareshani ka samna karna pad sakta hai.
- Jabki prakritik garbh nirodhak ka prayog karne se mahilao ke sharir mai hone wale hormone badlav mai koi samasya nahi hoti hai.
5) Yeh Bahut Aasan Hai:
- Prakritik garbh nirodhak ka prayog karna bahut hi aasan hota hai. Mahavari ke baad aane wale ovalution periods (Mahavari shuru hone ke 10th day se 16th day ke beech) ke douran youn sambandh na banaye. Inn dino ke alawa aap kabhi bhi youn sambandh bana sakte hai aur unchahe garbh se bachav kar sakte hai.
6) Pura Maja Uthaiye:
- Prakritik garbh nirodhak aapki youn kshamta ko prabhavit nahi karti hai, yani aap apni sexual life ka pura maja utha sakte hai. Iska prayog karne se aapke partner ko aapse koi shikayat bhi nahi hoti hai.
You may also like:- Sexercises Jo de Sex Enjoyment Aur Exercise Ek Saath
7) Muft mai Paye Ilaj:
- Garbh nirodhak ke liye prayog ki jane wali dawao mai aap hazaro rupaye kharch karte hai, jabki prakritik garbh nirodhak ki sabse badi khasiyat yeh bhi hai ki iska prayog karne mai koi paisa kharch nahi hota, yani yeh bilkul muft hai aur bahut hi asardar bhi hai.
8) Jimmedari ka Ahsaas:
- Prakritik roop se garbh nirodhak ka prayog na kewal unchahe garbh se chutkara dilate hai balki aapke partner ko jimmedari ka ahsaas bhi dilata hai. Iss kaam ke liye kewal mahila hi nahi pati ki bhi jimmedari hoti hai. Iski ek khaas baat aur hai ki iss tarike ka prayog karne ke baad aap jab bhi chahe dobara maa ban sakti hai.
Dekhiye Video aur Janiye Birth Control se Judi Kuch Jaruri Baate
Upar aapne jane Natural Birth Control Benefits. To aaj se hi prakritik garbh nirodhak ka istemaal kare aur paye unchahe garbh se chutkara. Iski madad se aap apni sambhog life ko bahut hi acche se ji sakte hai aur bina kisi pareshani aur tanav ke saath aap aapke jivan saathi ke saath sambandh bana sakte hai.
Birth Control se judi khuch jaruri baato ke liye yaha jaye:- Sex & Love