Dil ki Bimari ke Saath Aise Kare Pregnancy ki Planning

Pregnancy ke douran sone aur khane ka khayal rakhne ko bola jata hai. Exercise karne ke liye bola jata hai. Lekin dil se juid bimari ke bare mai shayad hi koi baat karta hai. Jabki aaj bharat me paida hone wale navjaato mai se 2 laakh navjaat dil ki bimari ke saath paida hote hai.

Pregnancy ke douran heart rate samanya se adhik hota hai aur yeh hona jaruri bhi hai. Kyuki dil jab acchi tarah se kaam karta hai tabhi sahi tarike se oxygen aur blood garbhashay mai bhurna tak pahuchta hai.

Agar iss kriya mai thodi se bhi gadabdi hoti hai to bacche aur maa dono ke liye yeh khatarnak ho sakta hai. Pregnancy ke douran sharir ke andar blood supply badh jata hai jiske karan hi sharir ka heart rate bhi badhta hai.

You may also like:- Pregnancy Tips in Hindi: Banaye Maa aur Bacche ko Swasth

Dil se Judi Samasya Pregnancy ko Karti Hai Prabhavit

Dil se judi samasyao ke douran samanya vyakti ko aisa koi bhi kaam karne ko mana kiya jata hai jisse ki dil ki dhadkane badh jati hai. Lekin pregnancy ke douran dil ki dhadkano ki sankhya aise hi bhurna ko blood aur oxygen supply karne ek karan badh jati hai jisko humesha dhyan mai rakhna jaruri hai.

Kabhi-kabhi bacche ko adhik oxygen ki jarurat padne par dil par oxygen ki supply karne ka pressure banta hai jo dil ke liye kharanak hota hai. Iss douran heart beat ko monitor karne ki vishesh tour par jarurat hoti hai.

Pregnancy-Heart Disease

Heart ki Dusri Complication

Aaj ke vyast jivan mai mahilayo ke swasth ko sabse jyada khatra huya hai. Office aur ghar, dono mai samanjasya bithate-bithate sharir aur dil mai samanjasya baithana mahilaye bhul hi gayi jinka natija hypertension aur dil se judi bimariyo ke tour par dekhne ko mil jata hai.

High BP aur hypertension dil se judi bimariyo ke khatre ko aur adhik badha deti hai. Isliye pregnancy ke douran dil ki bimariyo ko kam karne ke liye jaruri hai ki high bp aur hypertension ko nazarandaaj na kare.

Pregnancy Mai Rakhe Inn Baato ka Khayal

Agar Pregnancy se pehle hi aapko dil se judi bimari hai to pregnancy ki planning kafi ehitiyat baratate huye kare. pregnancy ke douran vajan aur heart beat ke saath blood aur urine test jarur karwaye. Saath hi bhurna ke bare mai samay-samay par jankari lete rahe. Saath hi inn baato ka vishesh tour par khayal rakhe:-

  1. Advance mai kare pregnancy planning Umra badhne par shair mai kafi badlav hota hai aur heartbeat ki sankhya mai kami aati hai to umra ka vishesh tour par khayal rakhe.
  2. Smoking aur alcohol nahi lete hai to thik hai agar lete hai to pregnancy ke douran inn sab chizo se dur rahe. Pregnancy ke douran vajan ka badhna aam baat hai. Lekin wo adhik badhe to chinta ki baat hai. Hafte ke anusar vajan check karte rahe.

Upar aapne jane kese aap dil ki bimari ke saath hi pregnancy ki planning kar sakte hai. To yeh koi chinta ki baat nahi hai. Isse aap aaram se khushi-khushi apne hone wale bacche ko janm de sakte hai.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...