Sex During Pregnancy in Hindi: Garbhavastha ke Douran Sambhog

Sex During Pregnancy in Hindi: Pregnant mahilaye garbhavastha ke douran bahut satark ho jati hai. Vo har samay na keval apne hone vale bacche ka balki apne swasth ke bare me bhi sochti hai. Garbhavastha me satarkta ke chalte ve apne pati se sharirik tor par har sambhav duri banana ki koshish karti hai.

Is time me mahilao ke mann me ek sawal hota hai ki, kya iss time me uhne sex karna chahiye ya na nahi. Vo sochti hai ki is time me sex karna thik nahi hoga. Vo darti hai is time me sex karne se.

Lekin Doctor ke according is time me sex karne se koi nuksaan nahi hota hai. Lekin dhyan rahe ki iss time kuch sex positions ka khaas khayal rakhna chahiye.

Har pregnant mahila bahut confused hoti hai. Iss baat ko lekin ki vo pregnancy time me sex kare ya nahi, lekin ghabraye na aaj hum aapko Sex During Pregnancy ke bare me batate hai.

Sex during pregnancy

You may also like:- Pregnancy Tips in Hindi: Banaye Maa or Bacche ko Swasth

Sex During Pregnancy in Hindi: Garbhavastha me Sambhog Karne ke Tarike

Ek study ke anusar pata chala hai ki swasth garbhavastha me sambhog aur samay se pehle shishu ka janam hone ke bich koi sambandh nahi hai.

Garbhavastha me sambhog ke bare me aur adhik jankari prapt karne ke liye aage pade.

  • Pregnancy ke douran sex to kare, lekin kisi bhi naye prayog ko na apnaye.
  • Halaki pregnancy ke prasav pida ke pahle tak sex kiya ja sakta hai. Lekin garbhavati mahilao ko taklif hone ya taklif ka ahsaas hone par na kare.
  • Doctor swasth pregnancy me sex karne se mana nahi karte hai lekin surakshit sambhog ki salah dete hai.
  • Ek study ke anusar pata chala hai ki swasth garbavastha aur bacche ki acchi growth ki hone par pregnancy ke antim mahine tak sex kiya ja sakta hai.
  • Sex During Pregnancy me dhyan rahe ki, pregnenet mahila ki icha ke khilaf nahi hona chahiye.
  • Garbhavastha me pati ko sambhog ke douran khaas khayal rakhna chahiye Jayda jor-jabardasti nahi karna chahiye.
  • Kuch vyayam ke dwara bhi sex kiya ja sakta hai. Lekin dhyan rahe ki doctor ki salah ke baad hi aisa kare.

Sex Position During Pregnancy in Hindi: Garbhavastha me Sambhog Prakriya

Garbhavastha ke douran sambhog karte hue kuch positions ka dhyan rakhna Jaruri hai. Aise me kuch positions ke madhyam me surakshit sambhog kiya ja sakta hai, jisse hone wale bacche par koi prabhav nahi padega.

Position 1: Purush aur mahila ek dusre ke samne let jaye. Mahila apna left pair purush ke sharir par rakh de. Iss avastha me sambhog karne se garbh ko jhatka nahi lagat hai.

Position 2: Mahila pith ke bal takhne modkar apni tange purush ke kandhe par rakh kar sex kare. Isse pet par koi dabav nahi padega.

Position 3: Purush chair par baithe aur mahila purush ke uppar baith sambhog kare to bhi safe sex kiya ja sakta hai.

Iss douran sex to kare lekin kisi bhi prakar ke naye prayog ko karne se bache.

Sex During Pregnancy: Garbhavastha ke Time Kare Surakshit Sambhog

Sex During Pregnancy in Hindi, iss bare me ek bar doctor ki salah jarur le. Kyoki kuch sex position aisi hoti hai, jinko agar aap pregnancy ke douran karte hai to bacche par bura asar padta hai. Saath hi yeh har mahilao ke sharirik istithi par depend karta hai.

Get more updates about Sex During Pregnancy from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...