Sheetali Pranayama in Hindi: Anidra Ki Samasya Dur Kare
Yog aur pranayama hamare liye bahut faydemand hai. Ise karne se sharir ko urja milti hai. Inn dono ka niyamit abhyas hamare sharir ki kshamta badhata hai. Aaj ham aapko Sheetali Pranayama ke bare mai bata rahe hai.
Thandi ke mousam ne dastak dedi hai. Inn dino yadi aap sheetali pranayama ka abhyas karte hai to aapko bahut fayda milta hai. Darahsal yeh aesa asana hai jise yadi garmi ke dino mai kiya jaye to isse sharir ko thandak milti hai aur wahi yadi thandi ke dino mai kiya jaye to sharir ko garmahat milti hai.
Yeh pranayama tanav ko dur kar mansik shanti pradan karta hai. Jin logo ko bar bar sir dard hone ki shikayat hai unhe to iska abhyas jarur karna chahiye. Iski vidhi aur labh janne ke liye aaiye dekhte hai Sheetali Pranayama in Hindi.
Sheetali Pranayama in Hindi – Jane Ise Karne Ki Vidhi aur Labh
Sheetali Pranayama Steps: Ise Kaise Kare?
Sheetali Pranayama ek tarah ki Breathing Exercise hai. Ise karne ke liye sabse pehle to ek hawadar aur samtal jagah ka chunav kare. Ab iss jagah par aap dari ya chatai bicchakar baith jaye. Iss asana ko karne ke liye aap sukhasana ki mudra mai baith sakte hai. Ab iss mudra mai baithne ke baad apni jeebh ko bahar ki aur nikal le. Jeebh ko bahar nikalne ke baad aapko usse ek nali ke saman banana hai. Yadi aapko nahi samajh aa raha hai to aap diye gaye chitra ko dekhkar anuman laga sakte hai.
Ab apni jeebh jise aapne nali ke saman banaya hua hai iski madad se aap gehri saans le. Aapko itni gehri saans lena hai ki aapka pet vaayu se bhar jaye. Iske paschat apni jeebh ko aap andar kar le tatha muh ko bhi band kar de.
Ab aapko apni gardan ko aage ki aur jhukana hai aur apne jabde ke alge hisse ko chhati tak le jana hai. Iske bad apni swaas ko kuch seconds ke liye rok le.
Ab apni gardan ko chhati se dur kare, fir gardan sidhi kar le. Iske bad naak se swaas ko bahar ki aur kar de. Jab aap saans lete hai usme aapko jitna samay laga, usse jayda samay lagate huye saans ko baahar nikale. Iss asana ka abhyas aap apni khasmta ke anusar hi kare. Ise aap 9-49 baar tak kar sakte hai.
Sheetali Pranayama Benefits: Isse Milne Wale Fayde
- Yeh aapke sharir se garmi ko dur karta hai, isliye ise khaskar garmi ke dino mai kiya jata hai.
- Yeh aapke bhukh ko kam karta hai, isliye vajan ko kam karne ke liye bhi yeh bahut upyogi hai.
- Jin logo ko pachan se sambandhit samasya hai unhe iss asana ka abhyas jarur karna chahiye.
- Yadi kisi vyakti ko pet mai alsar ya fir acidity jaisi samasya hai to wo bhi iss asana ko karke labh paa sakte hai.
- Iska abhyas raktchaap ko kam karta hai. Isliye hriday rog mai yeh bahut upyogi hai.
- Yeh pranayama har mousam mai faydemand hai, yadi ise garmi mai kiya jaye to yeh thandak deta hai wahi ise yadi sardi mai kiya jaye to yeh sharir ko garmahat deta hai.
- Yadi aap ko anidra yane ki nind na aana jaisi samasya hai to ise jarur kare. Ise karne se aapko raat ke samay acchi nind aati hai.
- Sheetali Pranayama ko karne se rakt saaf hota hai. Isliye jo log ise niyamit karte hai unki sundarta badhti hai.
- Jin logo ko bar bar gussa aata hai unhe iss pranayama ka abhyas jarur karna chahiye. Isse unhe labh jarur milta hai.
Dusra Naam | Cooling Breath Technique |
Karne Ki Sankhya | 9-49 |
Fayde | Anidra, Vajan Ghatana |
Karnr Ka Samay | Subah |
Kaun Na Kare | Uccha Raktchaap Se Pidit |
Sheetali Pranayama Precautions – Isme Savdhaniya
- Jin logo ka raktchaap kam ho unhe iska abhyas nahi karna chahiye.
- Thand ke dino mai iska abhyas bahut kam kare, aur yadi sardi jukham ho to bilkul bhi naa kare.
Upar aapne jana Sheetali Pranayama in Hindi. Ise karke aap kai tarah ke labh prapt kar sakte hai. Lekin yadi ise karne par aapko kisi tarah ki kathinai ho raho hai to chikitsak se pehle sampark kare. Iska abhyas pura hone ke bad vishram jarur kare.