Janiye Side Effects of Antibiotics aur Usse Bachne Ke Upay

Kabhi kabhi samay aata hai, jab aapki antibiotics ka sevan karna jaruri ho jata hai. Jaha yeh aapki bimari theek karte hai, vahi inke karan aapko kai side effect jese pet fulna, dakar aana, gas, kabj aur diarrhea jaisi kai bimari ho jati hai.

Lekin iska karan yeh hota hai ki logo ko iske karan ke bare mai theek tarike se jankari nahi hoti hai. Jiske chalte wah iss pareshani se ghirte chale jate hai. To aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Side Effects of Antibiotics.

Jesa ki naam se hi ptaa chalta hai ki, antibiotics bacterial ko marne ke liye hota hai. Par sabse badi baat hai ki kabhi bhi yeh acche bacterial ko bhi mar dete hai. Jo ki aapke swasth ke liye bahut nuksaan dayak hota hai.

Aapki aanto mai mai ek ya do kilo acche bacterial aur yeast hota hai. Acche bacterial na keval pachan mai sahayak hote hai, balki Vitamin B ke niramd mai bhi sahayta karte hai.

Keval yahi nahi yeh universal yeast ko palat kar mukabla karne ko badhaye karte hai tatha is praakar sankraman se ladane mai sahayak hote hai.

Antibiotics lene se yeast adhik matra mai badne lagte hai. Jiske karan  bahut kharab istithi utpann ho jati hai. Isse aapka immune system kamjor ho jata hai. Jiske chalte aapko bahut si bimariyo ka samna karna hota hai.

Side Effects of Antibiotics Ke Baare Mai Jaruri Tathaya

Side effects of Antibiotics

To chaliye ab hum aapko batate hai kis type Antibiotics class ki dawa lene se aapko konse type side effect ho sakte hai.

Penicillins

Penicillins type ki antibiotics se aapko rashes, diarrhea, abdominal pain, nausea/vomiting, drug fever, hypersensitivity (allergic) reactions jese kai pareshani mai daal deti hai.

Cephalosporins

Iss antibiotic class ki medicine se aapko rash, diarrhea, nausea/vomiting (rare), hypersensitivity (allergic) reactions, serum sickness, vaginal candidiasis jese side effect ho jate hai.

Aminoglycosides

Isse aapko renal (kidney) toxicity, ototoxicity (hearing loss), dizziness, nausea/vomiting, nystagmus aadi pareshani se gujarna padta hai.

Aminoglycosides

Iss type ki antibiotics ke sevan se aapko renal (kidney) toxicity, ototoxicity (hearing loss), dizziness, nausea/vomiting, nystagmus jesi parshani ho sakti hai.

Carbapenems

Carbapenems ek aisi antibiotic class mai aate hai, jisske chalte diarrhea, nausea/vomiting, headache, rash, liver toxicity, eosinophilia (elevated white blood cells) inn sab problem ka samna karna padta hai.

Antituberculosis Agents

Antituberculosis Agents iss type ki antibetic mai diarrhea, nausea/vomiting, anorexia, hemolytic anemia, liver toxicity, headache, peripheral neuropathy, dizziness, reddish-orange body fluids (rifampin, rifabutin only) ki pareshnai hoti hai.

Glycopeptides

Glycopeptides iss type ki antibiotics se aapko inn side effect ka samna karna padta hai jesevancomycin: red man syndrome (flushing, hypotension, itching); phlebitis; telavancin: taste alteration, nausea/vomiting, headache, dizziness aadi.

Macrolides

Macrolides se aapko abdominal pain, diarrhea, anorexia, nausea/vomiting, taste alterations (clarithromycin) aadi ho sakta hai.

Sulfonamides

Sulfonamides ek aisi antibiotic class mai aate hai jisse aapko nausea/vomiting, diarrhea, anorexia, abdominal pain, rash, photosensitivity, headache, dizziness inn side effect se pareshan hona padta hai.

Tetracyclines

Tetracyclines se judi antibotc ka sevan karne se aapko pseudomembranous colitis (may be severe), diarrhea, vomiting, rashes, hypersensitivity, jaundice (clindamycin) aadi prabhav ka asar dekhna pad sakta hai.

You may also like:- Drug Side Effects: Sex Life Par Dawao ka Bura Asar

Miscellaneous

Miscellaneous type ki antibiotic ka sevan karne se aapko nausea/vomiting, dizziness, headache, vaginal candidiasis, metallic taste jese khatrnak Side Effects of Antibiotics ka samna kar padta hai.

Side Effects of Antibiotics Se Bachne ke Kuch Khaas Upay

Side effects of Antibiotics

Lekin Fir bhi aap chahe to iss pareshani se bach sakte hai. Aap aasani se inn side effect ka saman aakar paa sakte hai.To chaliye hum aapko kuch aise upay batate hai, jiski help se aap iss isithi se aasani se bach sakte hai.

Smoking aur Sharab ka Sevan na Kare

Side effects of Antibiotics se bachne ke liye sabse accha tarke hai aap smoking aur drinking na kare. Sabhi soda yukt padarth chhod de. Chocolate, meethe padarth aur starchyukt padarth na khaye. Iske alawa sabhi dudh se utapann aur masaledar padarth, chai aur coffee aadi ka sevan bhi na kare. Aisa karne se aap iss pareshani se aasani se bach sakte hai.

Santre ka Ras na Piye

Santre ke ras mai Vitamin C milta hai. Isko pine se sharir mai sugar ki matra badti hai, jiske karan aapki istithi adhik kharab ho jati hai.

Probiotics Lena Start Kare

Jab bhi aap antibiotics le rahe ho tab dahi ke roop mai niyamit tor probiotics lena shuru kar de. Anibotic ka sevan khatam hone par kahi mahino tak probiotics lete rahe.

Sahi  Bhojan

Halka tatha aasani se pachne vala khana khaye kyoki antibiotics lene ke kuch mahino baad tak bhi aapki pachan prakriya mai todi gadbadi rahti hai.

Pudina ki Pattiyo ka Sevan Kare

Ek gilass pani mai panch pudhina ki pattiya, aadha inch adrak ka tukda aur aadha chhota chammach ajwain milakar tab tak ubale jab tak pani na rah jaye. Fir iss pani ko din mai teen baar aadha-aadha gilass piye.

Vyayam

Aapke sharir ko fit banane ke liye halka-fulka vyayam bhi utna hi jaruri hai jitna ki ek antibiotic. Bas dhyan rahe ki aap rozana vyayam karte rahe. Isse aapke pure sharir ki majbooti bani rahegi saath hi aapki pachan shakti bhi badegi.

Lahsun

Lahsun bhi ek chamatkari aushadhi hai. Bas niyamit tor par iska sevan kare jisse aap iss Side effect of Antibiotic se bach sakte hai.

Vitamin

Vitamin A, E, Zinc aur Selenium bhi bahut sahayak hota hai. Aloe vera ka ras aanto ki parat ki raksha karta hai.

Kabj na Hone De

Dhyan rahe ki aapko kabj se bachana hoga. Jiske liye aapko isarglol aur alsi ka sevan karna hoga. Iske sevan se na keval aapko mal tyag karne mai aasani hoti hai, balki aapke sharir ka extra pani bhi avshoshit hota hai, jisse aap diarrhea se bach sakte hai.

Upar aapne jane Side effects of Antibiotics aur isse bachne ke upay. To bas agar aap iss type ki medicine ke bure prabhav se grasit hai. To aaj se upar bataye gaye tariko ke dawra iss type ki medicine ke side effect se bache aur swasth rahe.

Antibiotics  se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...