Gharelu Nuskhe: Spider Aur Varicose Veins Ka Upchar
Spider Veins (Telangiectasia) phaili hui nerves ka ek aisa samuh hai jo twacha ki satah par tree branches jesi phaili hui hai. Chehre ki upari satah ki twacha par laal ya nila rang me ve pehchane ja sakte hai. Ye nerves twacha par bina koi lakshan chode aati hai aur jati dikhai padti hai. Spider Veins 50 years se adhik wale logo me payi jati hai.
Spider Veins me Varicose Veins jyada khatarnak hoti hai. Ve gambhir samasya khadi kar sakti hai aur sanchar ki samasya ko badati hai.
Spider Veins Causes: Janiye Iske Karan
Varicose Veins aur Spider Veins ke karano ka pata nahi hai lekin yeh parivaro me paya jata hai. Mahilao me yeh samasya purusho ki tulna me adhik payi jati hai. Mahilao me estrogen star me parivartan varicose aur spider veins ke vikas me bhumika adaa karta hai. Aapki age bhi ek bahut bada karan hai spider veins ke liye.
You may also like: Gharelu Nushke: Migraine ke Rambaan Ilaaj
Spider Veins Symptoms: Varicose Aur Spider Veins Ke Lakshan
Ye asamanya Vein koi lakshan nahi chodti lekin pairo me marod, sujan, uncomfortable koi anubhav kar sakta hai. Kuch mamalo me dard, twacha ke phode ya rakt me thakka jamna ho sakta hai. Veins ke ubhar aapne se twacha ki satah par bhura rang aa jata hai.
Home Remedies for Spider Veins: Aasan Gharelu Upay
Jesa ki bataya gaya Spider Veins haani rahit hoti hai, kuch self se dekhbhaal Varicose Veins ke dwara hone wali asahajta ko kam karne me madad kar sakti hai aur varicose veins ke vikas se bachav aur dhima kar sakti hai.
Vyayam
Tahalna pairo me rakt sanchar ko badane ka behatrin tarika hai. Lambe samay tak baithne aur khade hone se bache.
Vajan aur Aahar
Atirikt vajan ko hatane ke dwara vajan par niyantran rakhe. Yeh namak ki kam matra ke upyog dwara kiya jata hai. Kam vajan pairo ki naso par dabav ko kam karta hai aur kam namak pani rukne ki vajah se uthne wali sujan ko kam kar deta hai.
Pehnava (Dressing Sense)
Uchi aidi ki apeksha kam aidi wali chappal ko chune. Kamar, pairo aur uske aas paas kase kapdo ko pahnana khun ke bahav ko kam kar deta hai aur naso ke sujan ko badata hai.
Lambe Samay Tak Khade Hone aur Baithne se Bache
30 Minutes se adhik der take ek stithi me na baithe. Stithi me badlav rakt sanchar ko badata hai.
Pairo ka Vyayam
Pairo ka vyayam ya chalna rakt sancharan ko badata hai aur Spider Veins se chutkara dilata hai.
Anti-Oxidant Aahar
Anti-oxidant aahar aapki naso ko majbut aur Swastha rakhta hai.
Alcohal
Alcohal naso ke failao ka karan hai jo niyamit ho sakta hai aur iss naso ko protsahan deta hai.
Vitamin C
Vitamin C ek accha anti oxidant hai jo koshikao ko kshatigrast hone se bachata hai. Yeh santre aur anya phalo me paya jata hai aur spider naso ke upchar me matavapurna bhumika nibhata hai. Amrud bhi Vitamin C se bharpur phal hai jo khoon ki naso ko majboot karne ke liye avashyak hai.
Uppar aapne dekha ki kese aasan gharelu nuskhe ke dwara aap apni Spider Veins ko proper kar sakte hai. To aaj ho apnaiye humare Home Remedies for Spider Veins aur rahiye swastha.
Get more details about Spider Veins from Home Remedies.