How to Reduce Bad Cholesterol – Ldl Ko Kam Karne Ke Tarike

Aaj ke wakt mai bahut sare log badhe huye cholesterol ki samasya se pidhit hai jiske chalte dhamniya block ho jati hai aur heart attack jaisi shikayat samne aati hai.

Swasth sharir mai paryapt matra mai cholesterol hona chahiye. Iski badhi hui matra se sharir par nakaratmak prabhav padhte hai. Sharir mai cholesterol badhne ke koi khas lakshan nahi hote hai isliye umra ke jyada hone par har saal cholesterol ki janch karwa leni chahiye.

Heart attck aane par hi iski samasya ka pata chalta hai. Samay par yadi cholesterol ko control kar liya jaye to heart attack jaisi samasyao se bacha ja sakta hai.

Bahut se log ise control mai rakhne ke liye dawaiyo ka sevan karte hai. Lekin ham aapko bata de ki inn dawaiyo ka sevan karne se aapko kai sare side effects hone ka khatra bhi rehta hai. Isliye accha hoga ki aap ise prakratik tariko se control karne ki koshish kare. Aaiye jante hai How to Reduce Bad Cholesterol in Hindi.
 

How to Reduce Bad Cholesterol in Hindi: Jane Prakratik Tarike

 
How to Reduce Bad Cholesterol in Hindi
 
Hriday sambandhi samasyao se bachne ke liye, jin logo ki umra 20 se jyada hai unke rakt mai kul cholesterol 200mg/dl se kam hona chahiye. Ldl cholesterol ka star 100mg/dl se kam hona chahiye. Ldl, bure cholesterol ko kaha jata hai.

Wahi acche cholesterol ka star 60mg/dl se kam hona chahiye. Hamari galat jivan sheli kai had tak cholesterol ko badhane ke piche jimmedar hoti hai. Cigarette pina, bahut jyada tala hua khana, vyayam na karna, atyadhik vajan yeh sabhi aapke sharir mai bure cholesterol ko badhate hai.
 

Khaye Ande Ka Keval Safed Bhag

  • Bahut se log ande khana pasand karte hai. Lekin ande kp cholesterol ke liye thik nahi mana jata hai.
  • Lekin ek sodh ke anusar aap din ka ek anda kha sakte hai. Lekin ande ka keval safed bhag khaye, iske pile bhag mai cholesterol ki matra bahut jyada hoti hai.
  • Ande ko sauce ya cheese ke sath na khaye. Aamlet banakar bhi na khaye, boil kiya hua anda kha sakte hai.

 

Dietary Fiber

  • Phaliya, phal aur kai aahar mai dietary fiber moujud hota hai jo ldl cholesterol ko 5% kam karne mai madad karta hai.
  • Isse aapko aapka pet bhara hua mehsus hota hai, aur jyada calorie bhi nahi leni padhti hai.
  • Cholesterol Control karne ka yeh sabse aasan tarika to hai hi, sath hi yeh chize aapko aasani se kahi bhi mil jati hai.

 

Santre Ka Ras

  • Roj do santre ka taja ras peekar bhi bad cholesterol ko kam karne mai madad milti hai. Kyoki santre mai acchi matra mai vitamin C, folate aur flavonoids hote hai.
  • America mai kiye gaye sodh ke anusar jo hypercholesterolemic marij 750 ml pure santre ka ras pite hai, unme hdl cholesterol ki matra badhti hai jabki ldl cholesterol ki matra kam hoti hai.

 

Khane Ka Tel

  • Jin bhi logo ko cholesterol ki samasya hai unhe mungphali ka tel ya fir koi bhi heavy tel nahi lena chahiye.
  • Inn logo ko light tel ka istemal karna chahiye. Aapko bajar mai dil ki sehat ko acche rakhne wale tel jaise ki Saffola Tasty Losorb tel ka istemal kar sakte hai.
  • Jo log khane mai jaitun ke tel ka istemal karte hai unhe cholesterol ki samasya hone ke chances bahut kam hote hai.

 

Vyayam

  • Hdl cholesterol ko badhane ke liye vyayam sabse accha upay hai. Jin logo ko pehle heart attack aa chuka hai wo vyayam karke death risk ko 25% tak kam kar sakte hai.
  • Apni jivansheli ko sudharne ke liye physical activity bahut jaruri hai. Vyayam ke jariye aap apne swasthya ko kai had tak sudhar sakte hai.

 

Pyaj

  • Jin bhi logo ko cholesterol ki samasya hai laal pyaj unke liye behad hi faydemand hai. Hong Kong ke ek vegyanik ke dwara pyaj rakt se ldl cholesterol ko ghatati hai jabki hdl cholesterol ko badhati hai.
  • Prayog ke liye pyaj ka ras nikal le. Fir ek chammach pyaj ke ras mai shahad milaye aur ise pee le.
  • Iss mishran ko niyamit din mai ek baar le.
  • Apne aahar mai adrak aur lehsun ko bhi shamil kare. Isse aap kai had tak dil ki bimariyo se bach jaoge.

 

Haldi

  • Haldi bure cholesterol ko kam karne ki ek ramban aushdhi hai.
  • Jin logo ka cholesterol badha hua hota hai unhe apne aahar mai haldi jarur leni chaiye.

 
Upar aapne jana How to Reduce Bad Cholesterol in Hindi. Aap bhi bure cholesterol ko dur karne ke liye upar bataye gaye aahar ko shamil kare. Sath hi aapki acchi nind lena bhi jaruri hai. Thik se nind na lene par sharir se stress hormones nikalte hai, jo dhamniyo ko block karke jalan paida karte hai.

Loading...

You may also like...