Vipassana Meditation in Hindi: Bhavnatmak Santulan Banaye
Mediation ya dhyan wah vidhi hai, jiske dwara vyakti ki aatmik shakti badhti hai. Iss aatmik shakti ke badhne se vyakti sharirik aur mansik shanti ki anubhuti karta hai. Jab aap mediation karte hai to aapke andar sakaratmak urja ka pravah hota hai.
Rojana 20 minute dhyan karne par aapki sochne samajhne ki shakti badhti hai aur aapke nirnay lene ki kshmata badti hai. Ise karne se aapka tan-man aur sharir, shanty tatha khushi ka anubhav karta hai. Iske alawa ise karne se aapke andar bhavishya ko lekar jo chinta hoti hai wah khatam ho jati hai.
Wese aapko bata de dhyan ke kai prakar hote hai aur unhi me se ek Vipassana Meditation bhi hai. Iss meditation ke bare mai goutam budhh ne bataya hai. Isko vistarit roop se janne ke liye padhiye Vipassana Meditation in Hindi.
Vipassana Meditation in Hindi: Jane Dhyan Se Judi Kuch Baate
Vipassana dhyan, bharat ki bahut purani saadhnao mai se ek hai, jiska matlb hota hai jo jaisa hota hai, use thik waisa hi dekhna aur samajhna! Ise buddha ne jivan jine ki nai kala ko jine ke liye samjhaya. Iss dhyan ko karne se aap aapke jivan mai naye chamtakaro ki anubhuti kar sakte hai.
21st century mai meditation karne ke liye dhyan karne wale guru ko khojne mai jyada mehant nahi karni padti hai. Dhyan logo ke bich mai kafi failta ja raha hai aur ise koi bhi kahi par bhi kar sakta hai. Iss dhyan ko karna kaafi aasan hai.
Jab aap vipassana meditation ko karte hai to isme aapka pura dhyan sanso ke upar hona chahiye. Yeh mediation karne ki sabse aasan tarkib hai. Saans lena aapki jindagi jine ke liye sabse mahatvapurn prakriya hai, bina saans liye aap ek second bhi jinda nahi reh sakte hai.
Sahi baat to yeh hai prakrati ne aapko jo jindagi di hai usme bina kisi mehanat ke aap apne saans ko lete hai. Koi bhi vyakti yeh kabhi nahi ginta ki usne pure din mai kitni bar saans li aur kitni bar uska dil pump karte huye pure sharir mai rakt ka sanchar kar raha hai.
Mediation Practice saans lene ke sath hi puri hoti hai. Jo bhi spiritual school he unme hone wale sare mediation program saanso wale hi hote hai. Saans lena sirf itna nahi hai ki aap oxygen le rahe aur carbon dioxide bahar nikal rahe hai balki saans aapke sharir aur aapki aatma ke bich pool (bridge) ka kam karti hai.
Ham tab se saans lete hai jabse iss duniya mai aaye aur tab tak saan lete hai jab tak mar nahi jate. Jo bhi vyakti vipassana meditation karta hai use puri tarah se apni saanso ke prati sajag hona chahiye.
Vipassana Kya Hai?
To watch your breath with awareness. ~ Gautama Buddha
Vipassana Meditation Steps – Ise Karne Ka Tarika
- Iss dhyan ko karne ke liye aapko palthi marke aur aankh band karke baithna chahiye.
- Iss stithi mai baithne ke bad aapka pura dhyan saanso ki taraf rakhna hai.
- Aap ko dhyan dena hai jab aap saans ko andar le rahe hai aur aur fir saanso ko bahar ki tarah chod rahe hai.
- Jab aap yeh prakriya karte to apni saanso ko niyantrit karne ki koshish na kare.
- Iss prakriya mai yadi aap gehari saans ko le rahe hai to aap kam saanso ko bhi le sakte hai, bus aapki saanso ki prakriya prakratik hona chahiye.
Jane Vipassana Meditation Se Judi Kuch Mahatvapurn Baate
- Yeh bahut aasana prakriya hai tatha aap ise kahi bhi kisi bhi wakt kar sakte hai.
- Shuruvati samay mai ise niyamit rup tatha ek nishchit samay mai hi karna chahiye.
- Jab aap dhyan ko kare to akele shant kamre mai tatha aaramdayak stithi mai kare.
- Jab aap iss dhyan ko puri lagan se karte hai to kuch samay mai iske fayde aapko najar aane lagte hai.
- Iss dhyan ko karne mai sahi safalta tab milegi jab aap niyamit gatividhi jaise cycle chalana, khelna, tairna aadi mai aapka dhyan saanso ki taraf rahe.
Upar aapne jana Vipassana Meditation in Hindi. Uprokt di hui jankari mai aapko bataya gaya hai ki iss dhyan ko karne se aapko shararik aur mansik pareshaniyo se mukti milegi aur aap ek swasth jivan ji payenge.