Benefits of Meditation in Hindi: Jane Dhyan Karne Ke Anginat Fayde

Benefits of Meditation in Hindi: Meditation ek aesi takneek hai jisme aatmik shanti pane ke liye dhyan lagaya jata hai. Iska niyamit abhyas karne se kai fayde milte hai. Yeh aapke mastiksh ko shant aur sthir rakhne mai madad karti hai. Iske liye aapko keval apni aankhe band karke baithna hai, aur aapko dhire dhire gehra anubhav hoga.

Meditation ya dhyan hame na keval mansik shanti pradan karti hai. Balki ise karne se allergy, asthma, cancer, thakan aur bhi kai anginat samasyao mai fayda milta hai. Yaha tak ki kai manovegyanik (psychological) bimariyo se rahat dilane mai bhi meditation mahatvapurn bhumika nibhata hai.

Aapne apne aas pas kai logo ko meditation karte dekha hoga. Par jab aap khud ise karte hai to aapko yeh boring mehsus hota hai. Aapka dhayan apni aaspas ki chize, ya fir aap chuttiyo mai kya karenge, aesi chizo mai bhatakne lagta hai. Aapne hamesha suna hoga ki practice makes man perfect, to bus yun samajh lijiye jab aap meditation ko roj-roj karna shuru kar denge.

To aapko khud ba khud dhyan lagana aa jayega. Vaise to meditation karna anivarya nahi hai. Lekin iske itne fayde hai ki ham aapko ise karne ki hi salah denge. Aaiye jane Benefits of Meditation in Hindi.

Benefits of Meditation in Hindi: Dhyan Ke Swasth Labh
Benefits of Meditation in Hindi

Tanav Kam Kare

Aapko yeh baat jankar shayad aashcharya hoga ki sirf ek mahine ke meditation se dimag ko durust kiya ja sakta hai. Kuch adhyano se yeh baat samne aai hai ki meditation ke jariye kai dimagi bimariyo ko thik kiya ja sakta hai.

Adhyan ke doran dekha gaya ki, mastik ke vyavhar ko niyantrit karne wale hisse mai bhi meditation karne ke baad acche badlav paye gaye. Iss hisse mai naso ki kharab gatividhiya hi dimagi bimariyao yani ekagrata ki kami, avasad aur schizophrenia ka karan banti hai. Meditation se sharir se cortisol namak harmone ka strav sahi matra mai hota hai. Jisse aapka dimag shant rehta hai aur aapko tanav mukt rehne mai madad milti hai.

Pratiraksha Pranali Majbut Kare

Meditation se hamare sharir mai nai shakti ka sanchar hota hai. Iss shakti ke karan ham swayam ko pehle se jyada adhik swasth mehsus karne lagte hai. Ise karne se sar dard dur hota hai, uccha raktchaap niyantrit hota hai. Meditation karne se sharir majbut hota hai. Jisse bimariyo se ladne ki kshamta badhti hai. Yaha tak ki isse Alzheimer aur diabetes jaisi anya stithi se mukabla karne mai bhi madad milti hai.

Ekagrata Badhaye

Meditation karne se ekagrata badhti hai. Iske jariye aap kisi bhi problem ka hal dhund sakte hai. Ise niyamit karne se learning power badhti hai. Yane ki students ke liye yeh bahut hi accha hai. Brain ko integrate karne mai dhyan ka aham yogdan hai.

Wajan Ghataye

Meditation karne se vajan ghatana bhi aasam hota hai. Ek survey ke mutabit yeh baat samne aai hai ki jo log vajan ghatane ke icchuk hai. Agar wo pure man se meditation karte hai to unhe labh milta hai.

You May Also like: Yoga Mudra Benefits: Dhero Bimariyo Par Kabu Paiye

Benefits of Meditation in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Jane

  1. Isse mansik kshamta badhti hai aur sharir ke sath dimag ko bhi aaram milta hai.
  2. Isse mansik kshamta badhti hai aur sharir ke sath dimag ko bhi aaram milta hai.
  3. Dhyan lagane se nirnay lene ki kshamta badhti hai. Yeh khud par niyantran rakhna sikhati hai.
  4. Gathiya se grasit log agar niyamit roop se meditation karte hai to unhe aaram milta hai.
  5. Agar meditation ko lagatar kiya jaye to sangeet mai ruchi badhti hai. Aur hame dhayan kendrit karne mai madad milti hai.
  6. Agar aap ise niyamit roop se karte hai to gusse mai control khone wali aadat sudharti hai.
  7. Meditation karne se garbhavati mahilao mai depression kam hota hai. Aese mai meditation karne se kaafi aaram milta hai. Yeh ek prakar ka mindfulness yoga hai. Jo sharir mai sakaratmak urja ko lata hai.
  8. Bahut si teen agers bahut jaldi depression mai aa jate hai. Unhe lagta hai ki sari duniya ki dikkte bus unhe hi hai. Agar wo niyamit roop se meditation karte hai. To unme tanav dur hota hai. Aur wo khus rehte hai.
  9. Dhyan bujurgo mai hone wale akelepan ke ehsas ko kam karne mai madadgar hota hai. Kuch sodho mai yeh baat samne aai hai ki bujurgo mai akelapan unke swasthya ke liye dhoompran ke saman hi khatarnak hai. Aur ek badi samasya bhi hai.
  10. Agar kisi ko nind naa aane ki samasya hoti hai. To wah meditation kare. Meditation karne se mood aur emotion control mai rehte hai. Aur nind acchi aati hai.
Loading...

You may also like...